Zindagi Ye nahin Hai Kisi Ke Liye Lyrics In Hindi And Roman English

Wallah Wallah Wallah | Zindagi Ye nahin Hai Kisi Ke Liye Lyrics In Hindi And Roman English
By sagirbadi313 / August 13, 2025
वल्लाह वल्लाह वल्लाह
वल्लाह वल्लाह वल्लाह

ज़िंदगी ये नहीं है किसी के लिए
ज़िदगी है नबी की नबी के लिए

ना समझ मरते हैं ज़िदगी के लिए
जीना मरना है सब कुछ नबी के लिए

चाँदनी चार दिन है सभी के लिए
है सदा चाँद ‘अब्दुन्नबी के लिए

अंत-फ़ी-हिम के दामन में मुन्किर भी है
हम रहे इशरते-दाइमी के लिए

दाग़े-इश्क़े-नबी ले चलो क़ब्र में
है चराग़े-लहद रोशनी के लिए

ऐश कर लो यहाँ, मुन्किरों ! चार दिन
मर के तरसोगे इस ज़िदगी के लिए

नक़शे-पाए-सगाने-नबी देखिये
ये परा है बहुत रहबरी के लिए

मस्लके-आला हज़रत सलामत रहे
एक पहचान दीने-नबी के लिए

मस्लके-आला हज़रत पे क़ाइम रहो
ज़िंदगी दी गई है इसी के लिए

सुल्हे-कुल्ली नबी का नहीं, सुन्नियो !
सुन्नी मुस्लिम है सच्चा नबी के लिए

वो बुलाते हैं कोई यो आवाज़ दे
दम में जा पहुँचूँ मैं हाज़री के लिए

ऐ नसीमे-सबा ! उन से कह दे ज़रा
मुज़्तरिब है गदा हाज़री के लिए

जिन के दिल में है इश्क़े-नबी चमक
वो तरसते नहीं चाँदनी के लिए

जिन के दिल में है इश्क़े-नबी की चमक
वो हैं नज्मे-ज़माँ रोशनी के लिए

“अख़्तरे-क़ादरी” ख़ुल्द में चल दीया
ख़ुल्द वा है हर इक क़ादरी के लिए

Wallah ! Wallah ! Wallah
Wallah ! Wallah ! Wallah

Zindagi ye nahin hai kisi ke liye
Zindagi hai nabi ki ke liye

Na-samajh marte hain, zindagi ke liye
Jeena marna sab kuchh ke liye

Chandani chaar din, hai sabhi ke liye
Hai sada chand ‘Abdu-nnabi ke liye

Ant-fee-him ke daaman main munkir bhi hai
Ham rahe ‘Ishrat e daaimi ke liye

Aaish kar lo yahaa.n, munkiron chaar din
Mar ke tarsoge is zindagi ke liye

Naqsh e paa e sagaan e dekhiye
Ye pata hai bahut rahbari ke liye

Dagh e ishq e le chalo qabar main
Hai charaagh e lahad roshani ke liye

Maslak e Aala Hazrat salaamat rahe
Aek pahchan deen e ke liye

Maslak e Aala Hazrat pe qaaim raho
Zindagi di gaai hai isi ke liye

Sul’h e kulli naa nahin, sunniyon
Sunni muslim hai sachcha ke liye

Wo bulaate hain koi ye aavaz de
Dam main ja pahunchun main haazari ke liye

Ae naseem e saba ! Unse kah de zara
Muztarib hai gada haazari ke liye

Jin ke dil main hai ishq e ki chamak
Wo taraste nahin chandani ke liye

Jin ke dil main hai ishq e ki chamak
Wo hain najm e zamaa.n roshani ke liye

“Akhtar e qadri” Khuld main chal diya
Khuld waa hai har ik qaadari ke liye

Shayar : Akhtar Raza Khaan Baraili
Naat Khaan : Owais Raza Qadri,
Asad Iqbal Kalkatwi,
Hafiz Tahir Qadri,

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top