ये नाज़ ये अंदाज़ हमारे नहीं होते / Ye Naaz Ye Andaz Hamare Nahin Hote
ये नाज़ ये अंदाज़ हमारे नहीं होते
झोली में अगर टुकड़े तुम्हारे नहीं होते
जब तक कि मदीने से इशारे नहीं होते
रौशन कभी क़िस्मत के सितारे नहीं होते
दामान-ए-शफ़ा’अत में हमें कौन छुपाता
सरकार ! अगर आप हमारे नहीं होते
मिलती न अगर भीक, हुज़ूर ! आप के दर से
इस ठाट से मँगतों के गुज़ारे नहीं होते
बे-दाम ही बिक जाइए बाज़ार-ए-नबी में
इस शान के सौदे में ख़सारे नहीं होते
ये निस्बत-ए-सरकार का ए’जाज़ है वर्ना
तूफ़ाँ से नुमूदार किनारे नहीं होते
हम जैसे निकम्मों को गले कौन लगाता
सरकार ! अगर आप हमारे नहीं होते
वो चाहें बुला लें जिसे ये उन का करम है
बे-इज़्न मदीने के नज़ारे नहीं होते
ख़ालिद ! ये तसद्दुक़ है फ़क़त ना’त का वर्ना
महशर में तेरे वारे नियारे नहीं होते
शायर:
ख़ालिद महमूद नक़्शबंदी
ना’त-ख़्वाँ:
ओवैस रज़ा क़ादरी
ज़ोहैब अशरफ़ी
ye naaz ye andaaz hamaare nahi.n hote
jholi me.n agar Tuk.De tumhaare nahi.n hote
jab tak ki madine se ishaare nahi.n hote
raushan kabhi qismat ke sitaare nahi.n hote
daamaan-e-shafaa’at me.n hame.n kaun chhupaata
sarkaar ! agar aap hamaare nahi.n hote
milti na agar bheek, huzoor ! aap ke dar se
is ThaaT se mangto.n ke guzaare nahi.n hote
be-daam hi bik jaaiye baazaar-e-nabi me.n
is shaan ke saude me.n KHasaare nahi.n hote
ye nisbat-e-sarkaar ka e’jaaz hai warna
toofaa.n se numoodaar kinaare nahi.n hote
ham jaise nikammo.n ko gale kaun lagaata
sarkaar ! agar aap hamaare nahi.n hote
wo chaahe.n bula le.n jise ye un ka karam hai
be-izn madine ke nazaare nahi.n hote
KHaalid ! ye tasadduq hai faqat naa’t ka warna
mehshar me.n tere waare niyaare nahi.n hote
Poet:
Khalid Mahmood Naqshbandi
Naat-Khwaan:
Owais Raza Qadri
Zohaib Ashrafi