Aabroo E Ummat Hain Sayyida Ke Ghar Wale Lyrics
आबरू-ए-उम्मत हैं सय्यिदा के घर वाले | वक़्त की ज़रुरत हैं सय्यिदा के घर वाले / Aabroo-E-Ummat Hain Sayyida Ke Ghar Wale | Waqt Ki Zaroorat Hain Sayyida Ke Ghar Wale
आबरू-ए-उम्मत हैं सय्यिदा के घर वाले
वक़्त की ज़रुरत हैं सय्यिदा के घर वाले
ख़त्म हो गई होती ज़लज़ले में ये दुनिया
इस ज़मीं पे रहमत हैं सय्यिदा के घर वाले
कह रहा है दुनिया से सर हुसैन-ए-आ’ज़म का
लाइक़-ए-इमामत हैं सय्यिदा के घर वाले
ज़ुल्म ने बहुत चाहा नस्ल ख़त्म हो जाए
आज भी सलामत हैं सय्यिदा के घर वाले
हम ने ख़ूब देखा है बारगाह-ए-ख़्वाजा में
मरकज़-ए-सख़ावत हैं सय्यिदा के घर वाले
दामन-ए-सहाबा है अब भी मेरे हाथों में
हाँ मेरी ज़मानत हैं सय्यिदा के घर वाले
भूक बारह सालों की कह रही है दुनिया से
जबल-ए-इस्तेक़ामत हैं सय्यिदा के घर वाले
ऐ यज़ीद के हामी ! मुँह कहाँ छुपाएगा
मालिकान-ए-जन्नत हैं सय्यिदा के घर वाले
जिस्म ज़िंदा रहता है ख़ून की हरारत से
ख़ून की हरारत हैं सय्यिदा के घर वाले
हम ‘अली के दीवानें हौसला न हारेंगे
हौसलों की ताक़त हैं सय्यिदा के घर वाले
मेरे सीने में इक दिल, नूर ! मेरे उस दिल में
बर-सर-ए-हुकूमत हैं सय्यिदा के घर वाले
शायर:
ग़ुलाम नूर-ए-मुजस्सम
ना’त-ख़्वाँ:
ग़ुलाम नूर-ए-मुजस्सम
Aabroo-E-Ummat Hai.N Sayyida Ke Ghar Waale
Waqt Ki Zaroorat Hai.N Sayyida Ke Ghar Waale
Khatm Ho Gai Hoti Zalzale Me.N Ye Duniya
Is Zamee.N Pe Rahmat Hai.N Sayyida Ke Ghar Waale
Keh Raha Hai Duniya Se Sar Husain-E-Aa’zam Ka
Laaiq-E-Imaamat Hai.N Sayyida Ke Ghar Waale
Zulm Ne Bahut Chaaha Nasl Khatm Ho Jaae
Aaj Bhi Salaamat Hai.N Sayyida Ke Ghar Waale
Ham Ne Khoob Dekha Hai Baargaah-E-Khwaja Me.N
Markaz-E-Sakhaawat Hai.N Sayyida Ke Ghar Waale
Daaman-E-Sahaaba Hai Ab Bhi Mere Haatho.N Me.N
Haa.N Meri Zamaanat Hai.N Sayyida Ke Ghar Waale
Bhook Baarah Saalo.N Ki Keh Rahi Hai Duniya Se
Jabl-E-Isteqaamat Hai.N Sayyida Ke Ghar Waale
Ai Yazeed Ke Haami ! Munh Kahaa.N Chhupaaega
Maalikaan-E-Jannat Hai.N Sayyida Ke Ghar Waale
Jism Zinda Rehta Hai Khoon Ki Haraarat Se
Khoon Ki Haraarat Hai.N Sayyida Ke Ghar Waale
Ham ‘Ali Ke Deewane.N Hausla Na Haarenge
Hauslo.N Ki Taaqat Hai.N Sayyida Ke Ghar Waale
Mere Seene Me.N Ik Dil, Noor ! Mere Us Dil Me.N
Bar-Sar-E-Hukoomat Hai.N Sayyida Ke Ghar Waale
Poet:
Gulam Noor E Mujassam
Naat-Khwaan:
Gulam Noor E Mujassam