Eid e Nabvi Ka Zamana AA Gaya Naat Lyrics

Eid e Nabvi Ka Zamana AA Gaya Naat Lyrics

 

Eide Nabvi Ka Zamanah A Gea

Lab Peh Khushiyon Ka Tharana A Gea

 

Har Sitarey Ko Mili He Roshani

Har Kali Ko Muskurana A Gea

 

Har Tharaf Salle Ala Ki Dhoom He

Wajd Me Sara Zamana A Gea

 

Parcham Deen Muhammad Ho Buland

Kafir Ko Gardan Jukana A Gea

 

Kyun Na Ho Qismat Key Maron

Pas Rehmat Ka Khazana A Gea

 

Aj Chamkado Dar-O-Deewar Ko

Ashiqon Ka Din Suhana A Gea

 

Shad Hunton Peh He Nat Mustafa

Hath Bakhshish Ka Bahanah A Gea

 

Leave a Reply