Meri Ulfat Madine Se Yun Hi Nahi
Mere Aaqa Ka Rouza Madine Mein Hai
Mein Madine Ki Jaanib Na Kaise Khinchu
Mera Deen Or Duniya Madine Mein Hai
Arsh E Aazam Pe Jis Ki Badhi Shaan Hai
Roza E Mustafa Jis Ki Pehchaan Hai
Jis Ka Hum Palla Koi Mohalla Nahi
Ek Aisa Mohalla Madine Mein Hai
Phir Mujhe Mout Ka Koi Khatra Na Ho
Mout Kya Zindagi Ki Bhi Parwah Na Ho
Kaash Sarkaar Ek Baar Mujh Se Kahe
Aa Tera Jeena Marna Madine Mein Hai
Sarware Dee Jahaa Se Dua Hai Meri
Ye Budo Chashmey Tar Ilteja Hai Meri
Un Ki Fehreest Mein Mera Bhi Naam Ho
Jinn Ka Roz Ana Jaana Madine Mein Hai
Jab Nazar Suye Taiba Rawana Hui
Saath Dil Bhi Gaya Saath Jaan Bhi Gai
Mein Muneer Ab Rahunga Yaha Kisliye
Mera Sara Asasa Madine Mein Hai
——————————–
————- More ————-
———— Verses ————
——————————–
Phool Khilte Hain Padh Padh Ke Salle ‘Ala
Jhoom Kar Kah Rahi Hai Ye Bad-e-saba
Aesi Khushbu Chaman Ke Gulon Me Kahan
Jaisi Khushbu Nabi Ke Paseene Me Hai
Ek Hai Jannat Teri Ek Hai Hujra Tera
Mere Maula Bata Ab Main Jaaun Kahan
Bhej Di Rab Ne Jannat Usi Hujre Me
Ammi Ayesha(r.a) Ka Hujra Madine Me Hai
Ek Hai Chand Arsh Ka Ek Hai Chand Farsh Ka
Farsh Ke Chand Ka Jalwa Dekho Zara
Ek Ishare Se Tukde Hua Wo Qamar
Is Qamar Ka Qamar Bhi Madine Me Hai
Maine Maana Ke Jannat Bohot Hai Haseen
Chor Kar Mai Madina Na Jaaun Kahi
Kyu Ke Jannat Me Sab Hai Madina Nahi
Aur Jannat Madine Me Maojood Hai