Nabi Syed Ul Anbiya Ke Barabar Lyrics

 

Nabi Syed Ul Anbiya Ke Barabar Lyrics

 

Nabi Syed Ul Anbiya Ke Barabar Lyrics | Na Pehle Tha Koi Na Ab Hai Na Hoga Lyrics

Nusrat Fateh Ali Khan Qawwali Lyrics

ना पहले था कोई ना अब है ना होगा हिंदी लिरिक्स
Kul Ambiya Se Afzal Aali Maqaam Hain Woh
Allah Bhejta Hai Jispar Salaam Hain Woh
Aqsa Meiñ Ki Imaamat Saare Payambaroñ Ki
Saare Payambaron Ke Beshak Imaam Hain Woh

 

Nabi Syed Ul Anbiya Ke Barabar

Nabi Syed Ul Ambiya Ke Barabar
Na Pehle Tha Koi Na Ab Hai Na Hoga

 

Nabi Sayyed Ul Ambiya Ke Barabar
Na Pehle Tha Koi Na Ab Hai Na Hoga

Muhammad Ka Saani Muhammad Ka Hamsar
Na Pehle Tha Koi Na Ab Hai Na Hoga

 

Unsa Na Pahle Tha Koi Na Ab Hai Na Hoga
Unsa Na Pahle Tha Koi Na Ab Hai Na Hoga

 

Rasool Aur Bhi Aaye Jahaan Par Lekin,

Unsa Na Pahle Tha Koi Na Ab Hai Na Hoga
Na Pehle Tha Koi Na Ab Hai Na Hoga

 

Taaha O Yaseen Muzammil
Markaz E Kul Aur Husn E Mukammil

Na Pahle Tha Koi Na Ab Hai Na Hoga
Na Pehle Tha Koi Na Ab Hai Na Hoga

 

Noor E Mubeeñ Hain
Haq Ke Qareeñ Hain
Farsh Makeeñ Haiñ
Arsh Nasheeñ Hain

Unsa, Na Pahle Tha Koi Na Ab Hai Na Hoga
Na Pehle Tha Koi Na Ab Hai Na Hoga

 

Noor E Munawwar Awwal O Aakhir
Roshan Roshan Baatin Zaahir

Unsa Pahle Tha Koi Na Ab Hai Na Hoga
Na Pehle Tha Koi Na Ab Hai Na Hoga

 

Rasool E Mujtaba Kahiye
Muhammad Mustafa Kahiye
Khuda Ke Baad Bas Woh Hain
Phir Iske Baad Kya Kahiye

Na Unsa Pahle Tha Koi Na Ab Hai Na Hoga
Na Pehle Tha Koi Na Ab Hai Na Hoga

 

Muhammad Ka Saani Muhammad Ka Hamsar
Na Pehle Tha Koi Na Ab Hai Na Hoga

 

Agar Hai Toh Ik Zaat Allah Ki Hai
Jo Zaat E Muhammad Se A’ala Hai Warna

Muhammad Se Aala Muhammad Se Badh Kar
Na Pehlay Tha Koi Na Ab Hai Na Hoga

 

Jise Haq Ne Bulwaaya Arsh E Ula Par
Hua Fazl E Haq Se Jo Mehmaan E Daawar

Khuda Ki Khudaayi Mein Aisa Payambar
Na Pehle Tha Koi Na Ab Hai Na Hoga

 

Zulaikha Theeñ Jis Pe Fida Jaan O Dil Se
Wo Yusuf Bahut Khoobsurat The, Lekin

Rukhe Mustafa Se Haseeñ Roo E Anwar
Na Pehlay Tha Koi Na Ab Hai Na Hoga

 

Nabi Sare Mahboob Hain Kibriya Ke
Magar Ye Bhi Sach Hai Bajuz Mustafa Ke

Habib E Khuda Dono Aalam Ka Dilbar
Na Pahlay Tha Koi Na Ab Hai Na Hoga

 

Badaayi Me Purnam Wo Baad Az Khuda Hain
Shahe Ambiya Hain Shahe Dosara Hain

Bashar Unke Rutbe Ka, Allah Ho Akbar !
Na Pahle Tha Koi Na Ab Hai Na Hoga

 

Unsa, Na Pahle Tha Koi Na Ab Hai Na Hoga
———–

The Rutbe Me Pahle Par Aakhir Me Aaye
Bashar Unke Rutbe Pe Qurban Jaye
Muhammad Sa Afzal Muhammad Sa Aakhir
Na Pahlay Tha Koi Na Ab Hai Na Hoga

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *