Shah E Wala Mujhe Taiba Bulalo Lyrics

Shah E Wala Mujhe Taiba Bulalo Lyrics

 

Shah E Wala Mujhe Taiba Bulalo Lyrics

Shah E Wala Mujhe Taiba Bulalo

Taiba Bula Lo Mujhe Taiba Bulalo

 

Devdhi Ka Apni Kutta Bana Lo

Qadmon Se Apne Mujh Ko Laga Lo

 

 

Sadqe Mein Sadqe Mein Sadqe Bula Lo

Furqat Ke Mare Ko Piyare Jhila Lo

 

 

Piyare Jhila Lo Mujhe Pyare Jhila Lo

Maula Jhila Lo Mujhe Aqa Jhila Lo

 

Duniyan Ke Jhaghdo Se Yaksar Chhuda Kar

Ghairon Ki Ulfat Ko Dil Se Mita Kar

 

 

Shah E Wala Mujhe Apna Bana Lo

Apna Bana Lo Mujhe Apna Bana Lo

 

 

Naikon Ke Sadqe Mein Hum Se Badon Ko

Zaro Nazaro Museebat Zadon Ko

 

 

Maula Nibha Lo Mere Maula Nibha Lo

Han Han Nibhalo Mere Maula Nibha Lo

 

Hote Ho Tum Kiyu Meus O Muztar

Kis Waste Ho Hairan O Shashdar

 

Dukh Dard Walo Suno Dukh Dard Walo

Taiba Se Har Ek Apni Dawa Lo

 

 

Ankhon Mein Ao Dil Me Samao

Parda Uthao Jalwa Dikhao

 

Hasrat Zada Ki Pyare Dua Lo

Hasrat Nikalo Meri Hasrat Nikalo

 

Dolat Hai Neya Mori Bhavar Mein

Maula Tirao Aike Nazar Mein

 

Moori Khabariya More Piya Lo

Moko Bachal Lo Piya Moko Bacha Lo

 

 

Taib Hon Najdi Aib Hon Najdi

Aur Ye Na Ho To Khaib Hon Najdi

 

 

Gaib Hon Najdi Maula Nikalo

Jaldi Nikalo Inhein Jaldi Nikalo

 

 

Ye Noori Muztar Tera Sanagar

Aur Iska Ghar Bhar Ho Hazir-E-Darr

 

Apne Gadagar Ko Dar Par Bula Lo

Amn O Aman Se Hamein Sarwar Bula Lo

Leave a Reply

%d bloggers like this: