DEOBAND K GALAT TARAJUM AUR IMAM AHLE SUNNAT KI QURAN FEHMI

DEOBAND K GALAT TARAJUM AUR IMAM AHLE SUNNAT KI QURAN FEHMI

 

DEOBAND K GALAT TARAJUM… IMAM AHLE SUNNAT KI QURAN FEHMI
DEOBAND K GALAT TARAJUM”

IMAM AHLE SUNNAT KI
QURAN FEHMI

BISMILLAH ka tarjuma:

(Mehmood ul hasan deobandi):-
“shuru Allah k naam se jo behad meherban aur
nihayat rahem wala hai”

(shah Abdul qadir)
“shuru Allah nihayat rahem
wale k naam se”

(ASHRAF ALI thanvi)
“shuru karta hu Allah k naam
se jo baremaherban aur
nihayat rahem wale hain”

(moududi deobandi)
bhi same aur (saudia wale) bhi same,
in sab mouloviyo ne pehle
apna naam likha,

example:
main shuru karta hun,
baad mein Allah ka naam likha,

Ab padhiye
(AALA HAZRAT IMAAM
AHMAD RAZA KHAN
{radi allahu anhu})
ka tarjuma

“ALLAH k naam se shuru
jo bohot maherban rahmat wala”

¤Surah fatiha, ayat #5,

(Mehmood UL hasan DEOBANDI)
“batla humko sedhe rah”

(ASHRAF ALI thanvi)
“batlayiye humko rasta sedha”

(Moududi DEOBANDI)
“hume sedhi rah dikha”

(Shah Rafiuddin DEOBANDI)
“dikha humko rah sedhi”

sabhi wahabi ne
sedhi rah to dekhi haimagar chalata nahi

Ab padhiye
(AALA HAZRAT IMAAM
AHMAD RAZA KHAN
{radi allahu anhu})
ka tarjuma

“HUM KO SIDHA RASTA CHALA”

Jo wahabi log abhi sedhi rah dekhe hi nahi
wo chalenge kaise?

pehle khub achche
se dekh lo…phir chalna

Surah baqrah, ayat#9,

(ASHRAF ALI THANVI deobandi)
“chalbazi karte hain yeh Allah se aur
un logo se jo imaan la chuke”

(Shah rafiuddin DEOBANDI)
“fareb dete hain Allah ko aur imaan wale logo ko”

(Mehmood UL hasan deobandi)
“daghabazi karte hain Allah seaur imaan walo se”

(Moududi DEOBANDI)
“ALLAH aur imaan lane wale
logo se ye dhokabazi karte hain”

Kiya koi ALLAH ko dhoka de
sakta hai?
jo dhoka dena chahte hai
khud dhoke me pad jate hai
magar ALLAH ko koi dhoka
nahi de sakta.

Ab padhiye
(AALA HAZRAT IMAAM
AHMAD RAZA KHAN
{radi allahu anhu})
ka tarjuma

“wo de to nehi sakte par
dhoka dena chahte hain Allah ko”

Surah baqrah, ayat #15 ( #15 ),

(Sir sayed ahmad khan deobandi)
“ALLAH un munafiqon se that’ta karta hai”

(mirza Hairat dehlvi)
“ALLAH unki hansi udata hai”

(Mehmood UL hasan DEOBANDI)
“ALLAH unse hansi karta hai”

(waheed uz zaman wahabi)
“ALLAH UN se dil lagi karta hai”

(Fateh Muhammad Jhalendari)
“in munafiqo se khuda hansi karta hai”

ma’az ALLAH
in sab deobandi/ wahabio ne
Allah ko hansi,that’ta karne wala likha,
Maaz ALLAH
Kiya ALLAH
hansi,that’ta karta hai?

Ab padhiye
(AALA HAZRAT IMAAM
AHMAD RAZA KHAN
{radi allahu anhu})
ka tarjuma

“ALLAH in se istehza farmata hai jaisak
uski shan k laiq hai”

Surah taha,ayat#121,

(saudia wala tarjuma)
“adam ne apne rab ki
na farmani ki
pass wo behek gaya”

(Muhammad JunaGhari)aur
(Ashiq Ilahi)
“adam ne na farmani ki apne rab kipass wo gumrah huwa”

Ma’azAllah
in donone
tamam insano ke baap,
aur jo hai ALLAH ke NABI
HAZRAT AADAM(alaihissalam)
ko gumrah aur
behka huwa likha,

Ab padhiye
(AALA HAZRAT IMAAM
AHMAD RAZA KHAN
{radi allahu anhu})
ka tarjuma

“adam se laghzish huwi aur jo matlab chaha tha uski rah na payi”

ye hoti hai Ambia ki tazeem,

Surah aale Imran ayat#54,

(Mehmood ul hasan deobandi)
“makar kiya un kafiro ne aur
makar kiya Allah ne
aur Allah ka makar sab se behtar hai”

(Shah abdul qadir DEOBANDI)
“fareb kiya un kafiro ne aur
fareb kiya Allah ne aur Allah ka
daao sab se behtar hai”

(Shah Rafiuddin deobandi)
“makar kiya kafiro ne aur makar kiya
Allah ne aur Allah behtar makar karne wala hai”

Ma’azAllah
in sab ne Allah ko dhokayba’az,
farebi aur makar karne wala likha

Ab padhiye
(AALA HAZRAT IMAAM
AHMAD RAZA KHAN
{radi allahu anhu})
ka tarjuma

“un kafiro ne makar kiya aur
Allah ne in ki halakat kikhufia
tadbeer farmayi hai aur
Allah behtar tadbeer farmane wala hai”

ye hoti hai bandagi,

 

Surah aale imran ayat#140,

(Abdul Majid deobandi)
“ta k Allah imaan walo ko jaan le”

(ashraf Ali thanvi)
“ta k Allah imaan walon ko jaan leve”

(Shah Abdul qadir deobandi)
“ta k malum kare jin ko
imaan hai Allah”

Ma’az Allah
in sab moulviyo ne
Allah k bare mein likha
Allah Jaanle,pata karle,
malum karle,

kiya Allah aalimul Ghaib nahi?

Ab padhiye
(AALA HAZRAT IMAAM
AHMAD RAZA KHAN
{radi allahu anhu})
ka tarjuma

“ta k Allah pehchan karwa de imaan walo ki”

Humara khuda to sab kuch azal se jaanta hai,
kia deobandi ye tarjuma likhne k bad bhi muslman rahe?
Faisla apka

Surah Ale imran ayat#142

(Abdul Majid deobandi)
“abhi Allah ne unlogo ko
to jana hi nahi
jinho ne jehad kiya aur
sabr karne walo ko bhi nehi jana”

(Fatah muhammad Jhalandri deobandi)
“halan keh abhi tum mein
se jehad karne walo ko
to Allah ne achchi tarah
malum nehi kiya aur
ye bhi maqsud hai k wo sabit qadam rehne walo ko malum kare”

(Shah Abdul Qadir deobandi)
“aur abhi malum nehi kia Allah ne
jo ladne wale hain tum mein aur
malum kare sabit rehne wale”

ma’az Allah
in sab moulvio ne
Allah k bare mein likha k Allah jaanle,malum kare,

Alhamdulillah aqiada e ahle sunnat hai
k Allah alimul ghaib hai
aur sab kuch jaanta hai
koi jaankari ALLAH se chhupi nehi.

Ab padhiye
(AALA HAZRAT IMAAM
AHMAD RAZA KHAN
{radi allahu anhu})
ka tarjuma

“aur abhi Allah ne tumhare ghazio kaimtehan liya hi nahi hai aur na sabr karne walon ki azmaish ki hai”

isay kehte hain ilm,
sirf Arbi padh lene se
Quran ka tarjuma
nahi kia ja sakta
jab tak khouf e khuda
aur ishq e Ilahi na ho

Surah anaam, ayat#114

(Fatah Muhammad Jhalandri)
“tum hargizae nabi shak karne walo mein se na hona”

(Mehmud ul hasan DEOBANDI)
“tum mat hona shak karne walo me se”

(ashraf ali thanvi)
“aap shuba karne walo me se na hona”

(Shah rafiuddin DEOBANDI)
“pass mat ho shak lane walo mein se”

MA’AZ,ALLAH
in sab moulvio ne
Nabi ko shak karne walo
k sath mila diya,

Ab padhiye
(AALA HAZRAT IMAAM
AHMAD RAZA KHAN
{radi allahu anhu})
ka tarjuma

“aye sunne wale tu hergiz
shak karne walo mein se na hona”

yahan Imam e ahle
sunnat ne sunne
walo ko mukhatib kiya
Nabi ki shan
mein gustakhi nahi ki,

Surah touba, ayat#79

(Abdul Majid Daryabadi)
“in se tamassur karte hain Allah
in se tamassur karega”

(Moududi DEOBANDI)
“ye un logo ka mazaq urate hain
jo imaan wale in k pas aate hain
Allah in ka mazaq udata hai”

(Mehmud ul Hasan)
“phir un per that’te karte hain aur
Allah unse that’te karta hai”

ma’az,ALLAH
in sab deobandi ne
Allah ko hansi mazaq
aur that’ta karne wala likha,

jab k aqida e ahle sunnat
hai k Allah
Hansi mazaq karne se paak hai

Ab padhiye
(AALA HAZRAT IMAAM
AHMAD RAZA KHAN
{radi allahu anhu})
ka tarjuma

“aur ye in se mazaq karte hain
momino se
mujahido se
Allah inko in k mazaq aur hansi ki saza dega”

Surah touba, ayat#67,

(Fatah muhammad DEOBANDI)
“ye khuda ko bhul gaye
khuda in ko bhul gaya”

(Moududi DEOBANDI)
“ye Allah ko bhul gaye aur
Allah ne inhe bhula diya”

(Shah rafiuddin DEOBANDI)
“pass bhul gaye Allah ko
Allah ne inhe bhula diya”

(Mehmud ul hasan DEOBANDI)
“pass ye Allah ko bhul gaye
Allah ne inhe bhula diya”

MA’AZ,Allah
sum’ma
ma’az,ALLAH
in sab moulvio ne
Allah ko bhul ne wala likha,
jab bhulna ek a’aib hai aur

jab k aqida e ahle sunnat
hai k
Allah har a’aib se paak hai,

Ab padhiye
(AALA HAZRAT IMAAM
AHMAD RAZA KHAN
{radi allahu anhu})
ka tarjuma
“wo Allah ko chhor baithe
Allah ne unhe chhor diya”

ye hota hai quran ki rooh
ko samjhna,

Surah muhammad, ayat#19

(Shah rafiuddin DEOBANDI)
“bakshish mango apne gunaho k liye aur momineen aur moninaat
ke gunaho k liye”

(Fatah Muhammad DEOBANDI)
“apne gunaho ki muafi mang
aurmomin mardo aur aurto k gunaho kimuafi mang”

(Moududi DEOBANDI)
“apne kusur ki muafi
mango ayenabi,
aur momin mardo aur aurto k kusur ki muafi mango”

(Mehmud ul hasan DEOBANDI)
“apne gunah k waaste
mango muafi aur
momin mardo aur aurto k liye”

(ASHRAF ALI thanvi)
“apni khatao ki muafi
mangte raho aur
momin mardo aur aurto
ki khatao ki muafi mangte raho”

MA’AZ,ALLAH
MA’AZ,ALLAH
in sab moulvio ne
Nabi alaihssalam ko
gunahgar likha aur likha
k apne gunaho ki muafi mango,

jab k aqida e ahle sunnat
hai k
Hamare pyare NABI
(sallallahu alaihe wa sallam)
har gunah se paak hain

Ab padhiye
(AALA HAZRAT IMAAM
AHMAD RAZA KHAN
{radi allahu anhu})
ka tarjuma

“apne khaaso’n aur a’am musalman
mardo aur aurto
k gunaho ki muafi mango”

YE BAD AQIDA WALE
KHUD TO BADALTE NAHI
QURAN KO BADAL DETE HAIN

isi liye yeh farman
bhi hai
ALLAH ka k
“beshak quran ko padh kar
log hidayat patey hain aur
log gumrah bhi hojate hain”

Ab aap hi faisla kijiye
Yeh deobandi log kiya
abhi bhi musalman hai
ya kafir??
faisla aap ka

magar
(Jo kafir k kufr mein
shak kare wo b kafir)

 

 

Leave a Reply