dil hai sanam khaana mera jab se basi soorat teri lyrics

dil hai sanam khaana mera jab se basi soorat teri lyrics

 

 

dil hai sanam khaana mera jab se basi soorat teri
kya karun daulat e ukba ki tamanna karke
mutmayin hoon main dar e yaar pe sajda karke

kufr ko manzil e maqsood banaaya hamne
yaar ki zulf se imaan ka sauda karke

hamne yeh bandagi ka tareeka bana liya
apne sanam ko yaad kiya sar jhuka liya

dil hai sanam khaana mera jab se basi soorat teri
kaafir hoon tere ishq mein masliq hai mera kaafiri

bann gaye butparast ham soorat e yaar dekh kar
kaafir hoon main tere ishq mein

kaafir e ishq hoon main banda e islam nahi
butparasti ke siwa aur mujhe kaam nahi

banda e ishq am musalmani mara darkar nest
har rag e oo daar kashta haajat e zunnar nest

imaan ka but tod de tasbi musalla chhor de
dekhe koi zaahid agar teri ada e dilbari

meri ibaadat hai yahi chhorun na tera butkada
puja karun teri sanam takta rahun soorat teri

yun bazm e zindagi mein ujaala karenge ham
tujhko bitha ke saamne pooja karenge ham

pooja karun tumhari hai shauk mere ji ka
dil ke maamle mein kyhun dakhl ho kisi ka

meri namaaz yahi hai ke poojta hoon tumhein
mujhe khabar nahi aadaab e bandagi kya hai

kaafir hua hoon jabse main aankhon se parde hat gaye
har cheez mein aayi nazar aye but teri jalwagiri

 

 

Leave a Reply