duniya e butkada na faza e haram pasand Lyrics

duniya e butkada na faza e haram pasand Lyrics

 

duniya e butkada na faza e haram pasand
na haram ki justaju hai na khayaal e maikada hai
teri bandaparwari ne mujhe kya bana diya hai

main yahin karunga sajde yahi mera mudda hai
jo mila nahi haram se tere dar se wo mila hai

tum saamne ho ishq mera sarfaraaz hai
mere liye tumhari paristish namaaz hai
teri ataa e khaas ne pahuncha diya kahaan
dono jahaan se tera gada beniyaz hai

meri taraf bhi koi nigah khusrave jamaal
teri nigah sabke liye dil nawaaz hai

duniya e butkada na faza e haram pasand
mujhko teri gali hai khuda ki kasam pasand

jhuka ke sar tere aastane pe mujhe har mudda mila hai
teri gali kaise chchodun teri gali se mujhko khuda mila hai

jinne kaaba nu jaana jaan paye
mujhko teri gali hai khuda ki kasam pasand

kaabe mein koi sar ko jhukaye to hame kya
humne tera darbar e karam dhoondh liya hai

paa liya maine maqsood e hasti teri nisbat mujhe mil gayi hai
kya garaz mujhko dair o haram se meri nazaron mein teri gali hai

husnabi achchi lagi na sarwari achchi lagi
do jahaanon mein mujhko bas tere gali achchi lagi

mohtaj kisi ka hoon main mangta hoon kisi ka
mangta hoon to mangta hoon main murshid ki gali ka

duniya teri gali mein ukba teri gali mein
kis cheez ki kami hai maula teri gali mein

dair o haram ki azmatein tasleem hain magar
meri jabeen ko hai tera nakshe kadam pasand

na butkade na kaabe se lau lagi meri
tumhare nakshe kadam se hai bandagi meri

jahaan jahaan bhi mile nakshe paa e yaar mujhe
wahin namaaz e muhabbat ada hui meri

mere sanam meri sajdon ki aabru rakhna
jabeen e shauk tere dar pe jhuk gayi meri

aye shaikh tu bata tera jaata hai isme kya
karle meri khataein jo uska karam pasand

is husn e intekhaab ke qurbaan jaayiye
teer e nigah e yaar ko aaye hain ham pasand

tumhara teer e nazar dil ke paar ho ke raha
ke dil ne dam bhi na maara shikar ho ke raha

uthi na figan thi adna naaz nighaein
qurban to nigahein to shawam baaz nigahein

jo baat tujh mein hai wo kisi aur mein kahaan
tere siwa nahi koi teri kasam pasand

pooja karun tumhari ye shauk mere jee ka
dil ke maamle mein kyun dakhal ho kisi ka

jag mein aakar idhar udhar dekha
tu hi aaya nazar jidhar dekha

haseen dekhe jameel dekhe
par ek tumsa tumhi ko dekha

imaan ka but tod de tasbi musalla tod de
dekhe koi zaahid agar teri ada e dilbar

kaafir hua hoon jab se main aankhon se parde hat gaye
har cheez mein aayi nazar aye but teri jalwagiri

meri nazar ko chaahiye deedar tere husn ka
dekhun agar jalwa tera bas eid ho jaaye meri

hain but bahut se butkada qayanaat mein
lekin dil o nazar ne kiya ik sanam pasand

gair dekha hai na gairon ki nazar dekhi hai
meri nazaron mein faqat teri nazar dekhi hai

maine wo kufr kiya kufr bhi kufr e aazam
teri soorat ke siwa koi agar dekhi hai

meri to qayanaat faqat tere dam se hai
gham e aashiqi se pehle mujhe kaun jaanta tha
teri yaad ne bana di meri zindagi fasaana

deedar ke qaabil to kahaan meri nazar hai
ye teri inayat hai ke rukh is taraf hai

teri ik nigah ki qeemat meri saari zindaagani
tu agar qabool kar le hai ye teri meharbaani

tera dard mera darmaan tera gham mera taraana
tere dam se baj raha hai mera saaz e zindaagani

meri to qayanaat faqat tere dam se hai
hai qayanaat mein mujhe ik tera dam pasand

na falak na chaand taare na sahar na raat hoti
na tera jamaal hota na ye qayanaat hoti

ya rabb ho khaak e koocha e jaana mujhe naseeb
takht shahi azeeb na jaho hasham pasand

har haal mein azeez hai saajid raza e dost
arzo sama se soor na lauh o qalam pasand

 

 

Leave a Reply