Madine me dil hai Hai dil me Madina Lyrics

Madine me dil hai Hai dil me Madina Lyrics

 

 

Naat Khwan: Tasleem Raza Barelvi

 

Madine me dil hai. Hai dil me Madina
meri Zindagi ka Karina alag hai
Har ek saans Salle ala padh rahi hai
Aye logo mera marna-jeena alag hai

 

मदीने में दिल है, है दिल में मदीना
मेरी ज़िन्दगी का करीना अलग है
हर एक सांस सल्ले अला पड़ रही है
ऐ लोगों मेरा मरना जीना अलग है

 

Kabhi unko murda batane chala hai
Kabhi unko apni tarah kah rha hai
Zamane me honge hazaron kamine
Magar ye wahabi kamina alag hain

 

कभी उनको मुर्दा बताने चला है
कभी उनको अपनी तरहां कह रहा है
ज़माने में होंगे हजारों कमीने
मगर ये वहाबी कमीना अलग है

 

Koi phool aise mahkata nahi hai
Kisi itr me aisi Khushboo nah hai
Jidhar se wo guzre mahak utthe rastey
Mere Nabi ka pasina alag hai

 

कोई फूल ऐसे महकता नहीं है
किसी इत्र में ऐसी खुशबू नहीं है
जिधर से वो गुज़रे महक उठ्ठे रस्ते
मेरे नबी का पसीना अलग है

 

Agar maa nahi hai to kuch bhi ni hai
Wo hai maa ka pyar jo sabse hasin hai
Hai bhai-bahan yun to hai sara ghar hai
Magar maa ke Qadmon me jeena alag hai

 

अगर मां नहीं है तो कुछ भी नहीं है
वो है मां का प्यार जो सबसे हसीं है
है भाई-बहन यूं तो है सारा घर ही
मगर मां के क़दमों में जीना अलग है

 

Khajooron ke saaye me baithe rahe hum
Na chhode kabhi bhi wo Rahmat ka mausam
Ye sach hai ki jannat bahut hee hasi hai
Magar mustafa ka Madina alag hai

 

खजूरों के साए में बैठे रहे हम
ना छोड़ें कभी भी वो रह़मत का मौसम
ये सच है कि जन्नत बहुत ही हसीं है
मगर मुस्तफ़ा का मदीना अलग है

 

Kabhi peeth par unke kode pade hain
Kabhi tapte seene pe pathar rakhe hain
Hai tasleem seena hamara bhi lekin
Bilal e habas ka wo seena alag hain

 

कभी पीठ पर उनके कोड़े पड़े हैं
कभी तपते सीने पे पत्थर रखे हैं
है तस्लीम सीना हमारा भी लेकिन
बिलाल ए हवस का वो सीना अलग है

 

 

 

“Eidul-Fitr” ke Din se Mutalliq Ahadees

👉 Eid ki namaz me takeer karna durust nahi. Tulu e Aftab ke bad awwal waqt me padh lena mustahab hai.
📚(Abu Dawood-1135)

👉 Eid ke din Ghusl karna mustahab (optional) hai
📚. (Moatta-1/177, Zaadul maad-1/442)

👉 Eid ke din libas me se sabse umda libas pehnna mustahab hai. 📚(Sahih Bukhari-886, 948, Tabrani-7609, Majmua az-zawaid-2/198)

👉Namaze Eid ul fitr se pehle kuch kha lena mustahab (optional) hai.
👉 Aur namaze Eid ul fitr se pehle taaq adad 1-3-5 (odd numbers) me “khajoor” kha lena bhi mustahab hai. 📚(Tirmizi-542, Bukhari-953)

👉 Namaze eid ke liye azan aur iqamat nahi hai.
📚(Muslim-887, Abu Dawud-1148)

👉Namaze Eid se pehle ya baad me koi nafl namaz nahi hai. 📚(Bukhari-989, Abu Dawud-1159, Tirmizi-537, Ibn Maja-1291)

👉 Bache bhi Eid Ki Namaz ada kare
📚(Bukhari-975)

Eid ke din Takbeeren kahna

👉 Eid ul fitr me Shawwal ka chand dekhne ke baad se namaaz eid ul fitr ki adaigi tak takbeeren kehni chahiye (ibne Abbas radiallahu anhu, tafsir fatehul qadir1/242) aur Eid ul azha me 1 zil hijja se 13 zul hijja ki sham tak takbeeren kehni chahiye.
📚(Bukhari-969, Majmua fatawa-24/221)

👉11) Takbeerat ke Alfaaz-

1- Allahu Akbar Allahu Akbar laa elaha illallahu, wallahu Akbar Allahu Akbar walillahil hamd
📚 (Ibne abi shaiba-1/488, Tabrani-9/355)

👉 Auraten bhi takbeerat kahen.
📚(Bukhari-970)

👉 Eid ke din roza rakhna mana hai.
📚 (Bukhari-1993)

👉 Eid ki “Mubarakbad kab or Kaise dena Chahiye?

Eid Mubarak kahna bhi Jayez hai.*✓✓✓✓✓✓✓✓
Lekin👇👇
👉 Eid ki namaz ke “baad” sahaba (رضی اللہ تعالیٰ عنہ) se baaz Aasaar milte hain. Woh ek dusre ko in alfaaz me mubarakbaad dete the:-
👈 “تقبل اللہ منا و منكم”
👉 Taqabbal Allahu minna wa minkum
(Allah apke or mere Aamal qubool farmaye)
👆 Dhayan rahe Yeh Dua Eid ki “Namaz ke baad” ki hai Pahle nahi❌
📚(Fatehul bari-2/446)
👉Ek raaste se namaaz padhne jaaye aur doosre raaste se ghar wapas aaye
Bakhshe bakshwaye huee.. Alhamdulillah
Dua…..

 

Leave a Reply