Mangte Hain Karam Unka Lyrics
Mañgte Haiñ Karam Unka Sada Maañg Rahe Haiñ
Din Raat Madine Ki Dua Maañg Rahe Haiñ
Mañgte Haiñ Karam Unka Sada Maañg Rahe Haiñ
Mangte Haiñ, Unke Mangte Hain
Mangte Haiñ, Unke Mangte Hain
Husn Pe Jinke Jag Matwala
Naam Hai Jinka Kamli Wala, Hum
Unke Mañgte Haiñ
Mangte Haiñ, Unke Mangte Hain
Sanad Jo Rakhte Haiñ Mahshar Meiñ Muh Dikhane Ki, Hum
Unke Mañgte Haiñ
Mangte Hain, Unke Mangte Hain
Naaz Jis Baat Pe Hai, Wo Baat Yahi Hai, Ke Hum
Unke Mañgte Haiñ
Mañgte Haiñ, Unke Mañgte Haiñ
Hum Haiñ Ghulaam, Unki Ghulami Pe Naaz Hai
Unke Mañgte Haiñ
Mañgte Haiñ, Unke Mañgte Hain
Dozakh Ne Humko Dekh Ke Maalik Se Ye Kaha, Ai Maalik Chhod..
Unke Mañgte Haiñ
Mañgte Haiñ, Unke Mañgte Haiñ
Mañgte Haiñ, Kis Ke Mañgte Haiñ
Mañgte Haiñ, Kis Ke Mañgte Haiñ
Nigaahe Garm Se Humko Na Dekh Ai Dozakh
Kya Pata Nahiñ Ke Hum
Kis Ke Mañgte Haiñ
Mangte Hain, Kis Ke Mañgte Hain
Ai DekhNe Waalo Hameñ Hañs Hañs Ke Na Dekho, Kya Pata Nahiñ Ke Hum
Kis Ke Mañgte Haiñ
Mangte Hain, Un Ke Mañgte Haiñ
Mangte Hain, Unke Mangte Hain
Mangte Khali Haath Na Laute,
Kitni Mili Khairaat Na Poochho
Unka Karam Phir Unka Karam Hai, Unke Karam Ki Baat Na Poochho
Unke Mañgte Haiñ
Mangte Hain, Unke Mangte Hain
Mangte Hain Karam Unka Sada Maañg Rahe Haiñ
Din Raat Madine Ki Dua Maañg Rahe Haiñ
Kam Maañg Rahe Haiñ Na Sawa (Siwa) Maañg Rahe Haiñ
Jaisa Hai Ghani Waisi A’taa Maañg Rahe Haiñ
Mangte Hain Karam Unka Sada Maañg Rahe Haiñ
Jaisa Hai Ghani Waisi A’taa Maañg Rahe Haiñ
Jaisa Hai Ghani Waisi A’taa Maañg Rahe Haiñ…
Jaisa Hai Ghani..
Aahe! Aisa Hai Ghani
Woh To Aisa Hai Ghani!
Woh To Aisa Hai Ghani!
Khud Bheek De Aur Khud Kahe Mangte Ka Bhala Ho, Woh To
Aisa Hai Ghani
Zara Unka Duniya Meiñ Rahna To Dekho
Woh Patthar Ka Takiya Wo Kaali Kamaliya
Woh To Aisa Hai Ghani!
Woh To Aisa Hai Ghani
Zamaane Ka Dataa, Magar Ghar Meiñ Faaqa
Khudaayi Ka Maalik Magar Peit Khaali
Woh Aisa Hai Ghani !
Woh To Aisa Hai Ghani !
Koi Mere Mahboob Sa Duniya Meiñ Nahi
Baitha Hai Chataayi Pe Magar Arsh Nashiñ Hai
Woh To Aisa Hai Ghani !
Woh To Aisa Hai Ghani !
Jaisa Hai Ghani Waisi A’taa Maañg Rahe Haiñ…
Mangte Hain Karam Unka Sada Maañg Rahe Haiñ.
Har Ne’mat e Kaunain Hai Daman Meiñ Hamare
Hum Sadqa e Mahboob e Khuda Maañg Rahe Haiñ.
Mangte Hain Karam Unka Sada Maañg Rahe Haiñ
Hum Sadqa e Mahboob e Khuda Maañg Rahe Haiñ
Mangte Hain Karam Unka Sadaa Maañg Rahe Haiñ
Yuñ Kho Gaye Sarkaar Ke Altaf o Karam Meiñ
Ye Bhi To Nahiñ Hosh, Ke Kya Maañg Rahe Haiñ.
Mangte Hain Karam Unka Sadaa Maañg Rahe Haiñ
Ye Bhi To Nahiñ Hosh, Ke Kya Maañg Rahe Haiñ.
Mangte Hain Karam Unka Sadaa Maañg Rahe Haiñ
Ai Dard e Mohabbat Abhi, Kuchh Aur Fazooñ Ho
Deewane Tadapne Ki Adaa Maañg Rahe Haiñ
Mangte Hain Karam Unka Sada Maañg Rahe Haiñ
Deewane Tadapne Ki Adaa Maañg Rahe Haiñ.
Mangte Hain Karam Unka Sadaa Maañg Rahe Haiñ
Sarkar Ka Sadqa, Meri Sarkar Ka Sadqa
Sarkar Ka Sadqa, Meri Sarkar Ka Sadqa..
Meri Sarkar Ka Sadqa, Meri Sarkar Ka Sadqa
Meri Sarkar Ka Sadqa, Meri Sarkar Ka Sadqa
Ye Zami Aasmaañ, Ye Makaañ La Makaañ
Meri Sarkar Ka Sadqa, Meri Sarkar Ka Sadqa..
Donoñ Jahan Ka Noor Mohammad Ke Roop Meiñ
Qur’aan Ka Sha’oor Mohammad Ke Roop Meiñ
Allah Ka Zuhoor Mohammad Ke Roop Meiñ
Sach Hai Ke Ye Taghaiyyur e Duniyañ Khuda Se Hai
Lekin Ye Kaayenaat Faqat Mustafa Se Hai
Meri Sarkar Ka Sadqa, Meri Sarkar Ka Sadqa
Meri Sarkar Ka Sadqa, Meri Sarkar Ka Sadqa
Kalaam e Paak Ki Azmat Mere Huzur Se Hai
Khuda e Paak Ki Shohrat Mere Huzur Se Hai
Woh Chaahe Husn Ho Yusuf Ka, Chaahe Ishq e Bilaal
Mili Sabhi Ko Ye Azmat Mere Huzur Se Hai
Sarkar Ka Sadqa, Meri Sarkar Ka Sadqa
Meri Sarkar Ka Sadqa, Meri Sarkar Ka Sadqa
Rab Ne Farmaya Meri Qudrat Ki Had Koi Nahi
Aur Mere Mahboob Ki Rahmat Ki Had Koi Nahi
Jab Malak Samjhe Nahiñ To Aadmi Samjhega Kya!
Aamina Ke Laal Ki Azmat Ki Had Koi Nahiñ.
Wo Jo Zulfoñ Ko Apni Sanwaara Kareñ
Wo Jo Zulfoñ Ko Apni Sanwaara Kareñ
Chand Sooraj Bhi Mil Kar Utaara Kareñ
Meri Sarkar Ka Sadqa
Meri Sarkar Ka Sadqa..
Chamanistaañ Ka Gosha Gosha,
Kaliyoñ Ki Chatak, Phooloñ Ki Mahak
Aakash Se Lekar Dharti Tak
Zarroñ ki Damak, Taaroñ Ki Chamak,
Shabnam Ka Ye Moti barsaana
Shaakhoñ Ki Lachak, Chidiyoñ Ki Chahak
Saaqi Ki Nigaah e Mastana
Sheeshe Ki Khanak, Saaghar Ki Chhalak
Har Shai BaKhushi Hai NaghmaSara
Sarkaar e Do Aalam Ka Sadqa
Us Do Jag Ke Matwaale Ka
Ye Faiz Hai Kamli Wale Ka
Meri Sarkar Ka Sadqa..
Meri Sarkar Ka Sadqa..
Sarkar Ka Sadqa, Meri Sarkar Ka Sadqa
Mauhtaaj o Ghani Shaah o Gada Maañg Rahe Haiñ.
Mangte Hain Karam Unka Sadaa Maañg Rahe Haiñ
Mauhtaaj o Ghani Shaah o Gada Maañg Rahe Haiñ.
Mangte Hain Karam Unka Sadaa Maañg Rahe Haiñ
Ab Laaj Tere Haath Hai, Ai Rahmat e Kaunain
Ab Laaj Tere Haath Hai, Ai Rahmat e Kaunain
Gham Ke Maare Haiñ BeSahaare Haiñ
Kuchh Bhi Haiñ Aaqa Hum Tumhare Haiñ
Ab Laaj Tere Haath Hai, Ai Rahmat e Kaunain
Madfan Ko Madine Meiñ Jagah Maañg Rahe Haiñ
Mangte Hain Karam Unka Sada Maañg Rahe Haiñ
Asraar Karam Ke Faqat Un Par Hi Khule Haiñ
Asraar Karam Ke Faqat Un Par Hi Khule Haiñ
Koi Daata Bana, Koi Khwaja Bana,
Koi Ghaus Bana, Koi Dehli Meiñ Jaa Ke Nizaami Bana,
Koi Ganj e Shakar Ba-Khuda Ho Gaya
Asraar Karam Ke Faqat Un Par Hi Khule Haiñ
Jo Tere Waseele Se Dua Maañg Rahe Haiñ
Mangte Hain Karam Unka Sadaa Maañg Rahe Haiñ
Daamaan e Amal Meiñ Koi Neki Nahin Khalid
Bas Naat e Mohammad ﷺ Ka Sila Maañg Rahe Haiñ
Mangte Haiñ Karam Unka Sada Maañg Rahe Haiñ
Din Raat Madine Ki Dua Maañg Rahe Haiñ
Mañgte Haiñ Karam Unka Sada Maañg Rahe Haiñ