Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam Lyrics
Mustafa Jaan E Rehmat Pe Laakhon Salaam
Shamme Bazme Hidayat Pe Laakhon Salaam
Mehre Charkhe Nubuvvat Pe Roushan Durood
Ghul E Baagh E Risaalat Pe Laakhon Salaam
Shehre Yaare Iram Tajdaare Haram
Nau Bahaar E Shafa’at Pe Laakhon Salaam
Shab E Asra Ke Dulha Pe Da-im Durood
Nausha E Bazme Jannat Pe laakhon Salaam
Arsh Ki Zebo Zeenat Pe Arshi Durood
Farsh Ki Teebo Nuzhat Pe laakhon Salaam
Noor E Ain E Latafat Pe Alt(a)f Durood
Jaibo Jaine Najafat Pe Laakhon Salaam
Sarve Naaz E Kidam Maghze Raaze Hikam
Yakka Taaze Fazilat Pe Laakhon Salaam
Nukta E Sirre Wahdat Pe Yakta Durood
Markaze Daure Kasrat Pe Laakhon Salaam
Sahibe Raj’ate Shamso Saqqul Qamar
Naib E Daste Qudrat Pe Laakhon Salaam
Jiske Zere Liwa Adamo Man Siva
Uss Sada E Siyadat Pe Laakhon Salaam
Arsh Ya Farsh Hai Jiske Zere Nagee(n)
Uski Qaahir Riyasat Pe Laakhon Salaam
Asle Har Buudo Bahbood Takhme Wajood
Qasim E Kanze Ne’amat Pe Laakhon Salaam
Fathe Baab E Nubuvvat Pe Behad Durood
Khatme Daur E Risalat Pe Laakhon Salaam
Sharke Anwaare Qudrat Pe Noori Durood
Fat-he Az Haare Qurbat Pe Laakhon Salaam
Be-Saheemo Q(a)simo Adeelo Maseel
Jouhar E Farde Izzat Pe Laakhon Salaam
Sirre Ghaib E Hidayat Pe Ghaibi Durood
Itre Jaibe Nihayat Pe Laakhon Salaam
Maahe Lahoote Khilwat Pe Laakhon Durood
Shahe Naasoot E Jalwat Pe Laakhon Salaam
Kanze Har Bekaso Benawa Par Durood
Harze Har Rafta Taaqat Pe Laakhon Salaam
Partave Isme Zaate Ahad Par Durood
Nuskha E Jaameiyyat Pe Laakhon Salaam
Mat-La’e Har Sa’adat Pe As’ad Durood
Maqtae Har Siyadat Pe Laakhon Salaam
Khalq Ke Dadras Sabke Fariyad Ras
Kahfe Roze Musibat Pe Laakhon Salaam
Mujhse Bekas Ki Daulat Pe Laakhon Durood
Mujhse Bebas Ki Quvvat Pe Laakhon Salaam
Shamme Bazme D(a)na Hu Mai Gum Kun Ana
Shar-He Matne Huviyyat Pe Laakhon Salaam
Intiha E Daayi Ibtida E Yakee
Jam’a Tafreeqo Kasrat Pe Laakhon Salaam
Kasrat E Baad E Qillat Pe Aksar Durood
Izzate Baade Zillat Pe Laakhon Salaam
Rabb E Aala Ki Ne’amat Pe Aala Durood
Haq Ta’ala Ki Minnat Pe Laakhon Salaam
Hum Ghareebo Ke Aaqa Pe Behad Durood
Hum Faqeeri Ki Sarwat Pe Laakhon Salaam
Farhate Jaane Mo’min Pe Behad Durood
Ghaize Qalbe Jalalat Pe Laakhon Salaam
Sab-Be Har Sabb Muntaha E Talab
Illate Julmo Illat Pe Laakhon Salaam
Masdar E Mujhariyyat Pe Azhar Durood
Mazhar E Masdariyyat Pe Laakhon Salaam
Jiske Jalwe Se Murjhayi Kaliyan Khili
Uss Ghul E Paak Mimbat Pe Laakhon Salaam
Qadde Be-Saaya Ke Saya E Marhamat
Jille Mamdud E Raafat Pe Laakhon Salaam
Tairan E Quds Jiski Hai Kumriya(n)
Us Sahi Sarve Kaamat Pe Laakhon Salaam
Wasf Jiska Hai Aayina E Haqnuma
Us Khuda Saaz Tal’at Pe Laakhon Salaam
Jiske Aage Sare Sarwara Kham Rahe
Uss Sare Taaje Rif’at Pe Laakhon Salaam
Wo Karam Ki Ghata Ghesu E Mushk Sa
Lakka E Abre Raafat Pe Laakhon Salaam
Lailatul Qadr Me Matlail Fajre Haq
Maang Ki Istiqamat Pe Laakhon Salaam
Lakht Lakhte Dile Har Jigar Chaak Se
Shaana Karne Ki Haalat Pe Laakhon Salaam
Duur O Nazdeek Ke Sunne Waale Wo Kaan
Kaan E La’le Karamat Pe Laakhon Salaam
Chashma E Mehr Me Mouje Noor E Jalaal
Us Raghe Hashemiyyat Pe Laakhon Salaam
Jiske Mathe Shafa’at Ka Sehra Raha
Us Jabeen E Sa’adat Pe Laakhon Salaam
Jinke Sajde Ko Mehraab E Kaaba Jhuki
Unn Bhavon Ki Latafat Pe Laakhon Salaam
Unki Aankhon Pe Wo Saaya Afghan Miza
Zilla E Qasr E Rahmat Pe Laakhon Salaam
Ashq Baari E Mizgan Pe Barse Durood
Silke Durre Shafa’at Pe Laakhon Salaam
Ma’ana E Qad Ra-aa Maqsad E Maa Tagaa
Nargis E Baaghe Qudrat Pe Laakhon Salaam
Jiss Taraf Uth Gayi Dam Me Dam Aa Gaya
Us Nigah E Inayat Pe Laakhon Salaam
Nichee Aankhon Ki Sharmo Haya Par Durood
Unchi Beene Ki Rifa’at Pe Laakhon Salaam
Jinke Aage Charage Qamar Jhilmilay
Un Azaaro Ki Tal’at Pe Laakhon Salaam
Unke Khad Ki Suhulat Pe Behad Durood
Unke Qad Ki Rishaqat Pe Laakhon Salaam
MUSTAFA JAANE RAHMAT PE LAKHON SALAAM
Jis Se Tareek Dil Jagmagane Lage
Us Chamak Waali Rangat Pe Laakhon Salaam
Chaand Se Muh Pe Taaba Darkhsha Durood
Namak Aagi Sabahat Pe Laakhon Salaam
Shabnam E Baagh E Haq Yani Rukh Ka Araq
Uski Sachhi Baraakat Pe Laakhon Salaam
Khat Ki Girde Dahan Wo Dilara Faban
Sabz E Nahre Rehmat Pe Laakhon Salaam
Rishe Khus Mu’atadil Marham E Reshe Dil
Hala E Mah E Nudrat Pe Laakhon Salaam
Patli Patli Ghul E Quds Ki Pattiya
Un Labon Ki Nazakat Pe Laakhon Salaam
Wo Dahan Jiski Har Baat Wahee E Khuda
Chashma E Ilmo Hiqmat Pe Laakhon Salaam
Jiske Paani Se Shadaab Jaan O Jinaa
Uss Dahan Ki Taravat Pe Laakhon Salaam
Jis Se Khari Kuve Shira E Jaan Bane
Us Julale Halavat Pe Laakhon Salaam
Wo Jabaan Jisko Sab Kun Ki Kunji Kahe
Uski Naafiz Huqumat Pe Laakhon Salaam
Uski Pyari Fasahat Pe Behad Durood
Sakee Dilkash Balaghat Pe Laakhon Salaam
Uski Baaton Ki Lazzat Pe Laakhon Durood
Uske Khutbe Ki Haibat Pe Laakhon Salaam
Woh Dua Jiska Joban Bahaar E Qubool
Us Naseem E Ijabat Pe Laakhon Salaam
Jinke Guchche Se Lachche Jhade Noor Ke
Un Sitaro Ki Nuzhat Pe Laakhon Salaam
Jiski Taskeen Se Rote Hue Has Pade
Us Tabassum Ki A’adat Pe Laakhon Salaam
Jis Me Nahre Hai Shiro Shakar Ki Rawa(n)
Us Gale Ki Nazarat Pe Laakhon Salaam
Dosh Bar Dosh Hai Jin Ke Shaane Sharaf
Aise Shaano Ki Shauqat Pe Laakhon Salaam
Hajre Aswad Ka’aba E Jaan O Dil
Yaani Mehre Nubuvvat Pe Laakhon Salaam
Ru-e Aaina E Ilme Pushte Huzoor
Pushti E Qasr E Millat Pe Laakhon Salaam
Haath Jis Samt Utha Ghanee Kar Diya
Mouje Behre Sama’at Pe Laakhon Salaam
Jisko Baare Do Aalam Ki Parwah Nahi
Aise Bazoo Ki Quvvat Pe Laakhon Salaam
Ka’aba E Deen O Imaan Ke Dono Sutoo(n)
Sayyedaine Risalat Pe Laakhon Salaam
MUSTAFA JAANE RAHMAT PE LAKHON SALAAM
Jiske Har Khat Main Hai Mouje Noor E Karam
Us Kafe Bahre Himmat Pe Laakhon Salaam
Noor Ke Chashme Lehraye Dariya Bahee
Ungliyon Ki Karamat Pe Laakhon Salaam
Eid E Mushkil Kusha E Ke Chamke Hilaal
Nakhoono Ki Basharat Pe Laakhon Salaam
Raf’a E Zikre Jalalat Pe Arfa’a Durood
Sharhe Sadre Sadarat Pe Laakhon Salaam
Dil Samajh Se Waraa Hai Magar Yu Kahu
Guncha E Raaze Wahdat Pe Laakhon Salaam
Kul Jahaan Milk Aur Jou Ki Roti Ghiza
Uss Shikam Ki Kana’at Pe Laakhon Salaam
Jo Ki Azme Shafa’at Pe Khinch Kar Bandhi
Us Qamar Ki Himayat Pe Laakhon Salaam
Ambiya Tah Kare Jaanu Unke Huzoor
Jaanuo Ki Wajahat Pe Laakhon Salaam
Saake Asl E Qidam ShaakhE Nakhle Karam
Sham’e Raah E Isabat Pe Laakhon Salaam
Khayi Quraan Ne Khaaqe Guzar Ki Qasam
Us Kafe Paa Ki Hur mat Pe Laakhon Salaam
Jis Suhani Ghadi Chamka Taibah Ka Chaand
Us Dil Afroz Sa’at Pe Laakhon Salaam
Pehle Sajde Pe Rouze Ajal Se Durood
Yaadgari E Ummat Pe Laakhon Salaam
MUSTAFA JAANE RAHMAT PE LAKHON SALAAM
Zar’e Shadab E Har Zar’e Pur Sheer Se
Barkaate Reja’at Pe Laakhon Salaam
Bhaiyo Ke Liye Tark Pistan Kare
Doodh Peeto Ki Nisfat Pe Laakhon Salaam
Mahde Waala Ki Qismat Pe Behad Durood
Burje Maah E Risalat Pe Laakhon Salaam
ALLAH ALLAH Wo Bachpane Ki Phaban
Us Khuda Bhaati Surat Pe Laakhon Salaam
Uth-Te BuTo Ki Nashwo Numa Par Durood
Khilte Guncho Ki Nikhat Pe Laakhon Salaam
Fazl E Paidaishi Par Hamesha Durood
Khelne Se Karahat Pe Laakhon Salaam
A’etela E Jabillat Pe Aala Durood
A’etedal E Tivayat Pe Laakhon Salaam
Be Banavat Adaa Par Hazaro Durood
Be Takalluf Malahat Pe Laakhon Salaam
Bhini Bhini Mahak Par Mahakti Durood
Pyari Pyari Nafasat Pe Laakhon Salaam
Meethi Meethi Ibarat Pe Shireen Durood
Achhi Achhi Isharat Pe Laakhon Salaam
Seedhi Seedhi Ravish Par Karoron Durood
Saadi Saadi Tabi’at Pe Laakhon Salaam
Roze Garmo Shabe Teera Wo Taar Me
Koho Sahra Ki Khalvat Pe Laakhon Salaam
Jiske Ghere Me Hai Ambiya O Malak
Us Jahangeer E Ba’sat Pe Laakhon Salaam
Andhe Sheeshe Jhalajhal Damakne Lage
Jalwa Rezi E Daawat Pe Laakhon Salaam
Lutf E Bedari E Shab Pe Behad Durood
Aalam E Khwab E Rahat Pe Laakhon Salaam
Kh(a)nda-e Subho Ishrat Pe Noori Durood
Giry(a) E Abre Rehmat Pe Laakhon Salaam
Nirmi E Khu E Leenat Pe Daim Durood
Garmi E Shaane Satavat Pe Laakhon Salaam
MUSTAFA JAANE RAHMAT PE LAKHON SALAAM
Jiske Aage Khinchi Gardane Jhuk Gayi
Us Khuda Dad Shoukat Pe Laakhon Salaam
Kisko Dekha Ye Moosa Se Pooche Koyi
Aankh Waalo Ki Himmat Pe Laakhon Salaam
Girde Mah Daste Anjum Me Rakhshan Hilaal
Badr Ki Daf’e Zulmat Pe Laakhon Salaam
Shore Takbeer Se Thar-Tharati Zamee(n)
Zumbishe Joushe Nusrat Pe Laakhon Salaam
Na’araha E Dileran Se Ban Gunjte
Gurrashe Kose Jur-at Pe Laakhon Salaam
Woh Chaka Chaak Khanjar Se Aati Sadaa
Mustafa Teri Soulat Pe Laakhon Salaam
Unke Aage Wo Hamza Ki Jaa(n)-Baaziya(n)
Shere Gurrane Satvat Pe Laakhon Salaam
Al Gharaz Unke Har mu Pe Laakhon Durood
Unki Har Khu Wa Khaslat Pe Laakhon Salaam
Unke Har Naam O Nisbat Pe Naami Durood
Unke Har Waqt O Haalat Pe Laakhon Salaam
Unke Maula Ki Un Par Karoron Durood
Unke As-habo Itrat Pe Laakhon Salaam
Paar-Haye Suhuf Ghuncha E Qudus
Ahle Bait E Nubuvvat Pe Laakhon Salaam
Aab E Tathir Se Jis Me Paude Jame
Uss Riyaze Najaabat Pe Laakhon Salaam
Khuun E Khairur Rusul Se Hai Jinka Khameer
Unki Be Lous Tinat Pe Laakhon Salaam
Uss Batul E Jigar Para E Mustafa
Haj-La Aara E Iffat Pe Laakhon Salaam
Jiska Aanchal Na Dekha Maho Meher Ne
Uss Rida E Nazahat Pe Laakhon Salaam
Sayyeda Zahira Tayyeba Tahira
Jaan E Ahmad Ki Raahat Pe Laakhon Salaam
Hasne Mujtaba Sayyedul Askhiya(n)
Raakib E Doshe Izzat Pe Laakhon Salaam
Ouj E Mehre Huda Mouje Bahre Nida
Ruh E Rouhe Sakhavat Pe Laakhon Salaam
Shahad Khware Lu-aab E Zabaan E Nabi
Chaashni Geer Ismat Pe Laakhon Salaam
Uss Shaheed E Balaa Shahe Ghulghu Kabaa
Bekase Dashte Gurbat Pe Laakhon Salaam
Durre Durje Najaf Mehre Burje Sharaf
Range Ru E Shahadat Pe Laakhon Salaam
Ahle Islaam Ki Maadarane Shafeeq
Baanuvane Tahaarat Pe Laakhon Salaam
Jalw(a)-Giyyane Baitush-Sharaf Par Durood
Pard Giyyane Iffat Pe Laakhon Salaam
Siyyema Pahli Maa Kah-Fe Amno Amaa(n)
Haq Gujare Rifaqat Pe Laakhon Salaam
Arsh Se Jispe Tasleem Naazil Hui
Us Saraa E Salamat Pe Laakhon Salaam
Manzillum Min Kasab La Nasab La Sakhab
Aise Koshak Ki Zeenat Pe Laakhon Salaam
Binte Siddeeq Araam E Jaan E Nabi
Us Hareem E Bara-at Pe Laakhon Salaam
MUSTAFA JAANE RAHMAT PE LAKHON SALAAM
Yaani Hai Sura E Noor Jinki Gawah
Unki PurNoor Surat Pe Laakhon Salaam
Jinme Ruhul Qudus Be-Ijazat Na Jaaye
Un Suradiq Ki Ismat Pe Laakhon Salaam
Sahm’e Taabaane Kaashaana E Ijtehaad
Mufti E Chaar Millat Pe Laakhon Salaam
Jaa(n)-Nisaran E Badro Uhad Par Durood
Haq Guzaaran E Bai’at Pe Laakhon Salaam
Wo Daso Jinko Jannat Ka Muzda Mila
Uss Mubarak Jama’at Pe Laakhon Salaam
Khaas Uss Saabik E Saire Kurbe Khuda
Ouhad E Kamiliyat Pe Laakhon Salaam
Sai-E Mustafa Mai-E Istafa
Izzo Naaze Khilafat Pe Laakhon Salaam
Asdaqus-Sadeqi Sayyedul Muttaqi
Chashmo Goshe Vejarat Pe Laakhon Salaam
Woh Umar Jis Ke Aada Pe Shaida Sakar
Uss Khuda Dost Hazrat Pe Laakhon Salaam
Fareeqe Haqqo Baatil Imamul Huda
Taighe Maslule Shiddat Pe Laakhon Salaam
Tarjumaan E Nabi Ham-Zabaan E Nabi
Jaan E Shaan E Adaalat Pe Laakhon Salaam
Jaahid E Masjid E Ahmadi Par Durood
Ddoulat E Jaishe Usrat Pe Laakhon Salaam
Durre Mansoor Quraan Ki Silke Bahee
Zouje Do Noor E Iffat Pe Laakhon Salaam
Yaani Usmaan Saahab Kamees E Huda
Hulla Pushe Shahadat Pe Laakhon Salaam
Murtaza Shere Haq Ashja-Ul Ashja-e
Saaqi E Sheero Sharbat Pe Laakhon Salaam
Asl E Nasl E Safaa Wajhe Wasle Khuda
Baab E Fasle Wilayat Pe Laakhon Salaam
Awwali Dafa E Ahle Rifzo Khuruj
Chaar Mi Rukne Millat Pe Laakhon Salaam
Shere Shamsheer-J(a)n Shahe Khaibar-Shikan
Parvat E Dost Qudrat Pe Laakhon Salaam
Maahi E Rifzo Tafzeel O Nasb O Khurooj
Haami E Deen O Sunnat Pe Laakhon Salaam
Momeni Peshe Fat-ho Pase Fat-h Sab
Ahle Khairo Adaalat Pe Laakhon Salaam
Jis Musalmaan Ne Dekha Unhe Ik Nazar
Uss Nazar Ki Basaarat Pe Laakhon Salaam
Jinke Dushman Pe Laanat Hai ALLAH Ki
Un Sab Ahle Muhabbat Pe Laakhon Salaam
Baaqi E Saakiyaan E Sharaab E Tahur
Zain E Ahle Ibadat Pe Laakhon Salaam
Aur Jitne Hai Shehzade Uss Shah Ke
Un Sab Ahle Makaanat Pe Laakhon Salaam
Unki Baala Sharafat Pe Aala Durood
Unki Waala Siyadat Pe Laakhon Salaam
Shafa’e Maaliki Ahmad Imam E Haneef
Chaar Baagh E Imamat Pe Laakhon Salaam
Kaamilan E Tareeqat Pe Kaamil Durood
Haamilan E Shariat Pe Laakhon Salaam
Ghouse Aazam Ima Muttuka Wannuka
Jalwa E Shaan E Qudrat Pe Laakhon Salaam
Kutbe Abdaalo Irshaad O Rushdurshaad
Muh-yi-e Deen O Millat Pe Laakhon Salaam
Mard E Khaile Tareeqar Pe Behad Durood
Farde Ahle Haqeeqat Pe Laakhon Salaam
Jiski Mimbar Bani Gardan E Awliyah
Uss Qadam Ki Karamat Pe Laakhon Salaam
Shah E Barkaato Barkaate Peshiniya(n)
Nou Bahar E Tareeqat Pe Laakhon Salaam
Sayyid Aale Muhammad Imamur Rashheed
Ghul E Rouze Riyazat Pe Laakhon Salaam
Hazrat E Hamza Shere Khuda Wa Rasool
Zeenat E Qaadriyat Pe Laakhon Salaam
Naam O Kaam O Tano Jaan O Haal O Makaal
Sabme Achhe Ki Surat Pe Laakhon Salaam
Noor-Jaan Itre-Majmu’a Aale Rasool
Mere Aaqa E Ne’amat Pe Laakhon Salaam
Zaibe Sajjada Sajjade Noori Nihaad
Ahmad E Noor Teenat Pe Laakhon Salaam
Be Azaabo Aetaabo Hisaabo Kitaab
Ta Abad Ahle Sunnat Pe Laakhon Salaam
Tere Un Dosto Ke Tufaile Khuda
Banda-E Nange Khilqat Pe Laakhon Salaam
Mere Ustaad Maa-Baap Bhai Behen
Ahle Wuldo Ashirat Pe Laakhon Salaam
Ek Mera Hi Rehmat Me D’awa Nahi
Shah Ki Saari Ummat Pe Laakhon Salaam
Kaash Mehshar Me Jab Unki Aamad Ho Aur
Bheje Sab Unki Shouqat Pe Laakhon Salaam
Mujhse Khidmat Ke Qudsi Kahe Haa Raza
Mustafa Jaan E Rehmat Pe Laakhon Salaam