जा कर कोई तयबा में ये आक़ा को बताए / Ja Kar Koi Taiba Mein Ye Aaqa Ko Bataye
जा कर कोई तयबा में ये आक़ा को बताए
गुज़रे हुए लम्हों की बहुत याद सताए
मत छेड़, सबा ! मुझ को अभी ज़ख़्म हरे हैं
ऐसा न हो फिर आँख से आँसू निकल आए
दुनिया में फ़क़त आप की हस्ती है वो हस्ती
जिस से कि उजाला ही उजाला नज़र आए
फिर माँ सी मुझे गोद की ठंडक हुई हासिल
है याद मुझे,गुंबद-ए-ख़ज़रा ! तेरे साए
मुजरिम हूँ, चला आया हूँ मैं आप के दर पर
बिन आप के मुजरिम को भला कौन बचाए
जब से सू-ए-बतहा का ये शैदाई हुआ है
तब से दिल-ए-बेताब कहीं चैन न पाए
मुझ से कोई ये माल, ये दौलत सभी ले कर
लौटा दे वो पल जो थे मदीने में बिताए
फिर आए बुलावा मुझे दरबार-ए-नबी से
अल्लाह कभी ख़ैर से ये दिन भी दिखाए
ईमान किसी शख़्स का कामिल नहीं होता
जब तक कि वो सरकार पे ईमान न लाए
अहमद रहे ता-‘उम्र इसी दर का ही नौकर
ऐ काश ! इसी दर पे इसे मौत भी आए
शायर:
मलिक अदनान अहमद और अन्य
ना’त-ख़्वाँ:
ख़ालिद हसनैन ख़ालिद
सय्यिद हस्सानुल्लाह हुसैनी
मुहम्मद उसामा ख़ालिद
मुहम्मद हम्ज़ा ख़ालिद
jaa kar koi tayba me.n ye aaqa ko bataae
guzre hue lamho.n ki bahut yaad sataae
mat chhe.D, saba ! mujh ko abhi zaKHm hare hai.n
aisa na ho phir aankh se aansu nikal aae
duniya me.n faqat aap ki hasti hai wo hasti
jis se ki ujaala hi ujaala nazar aae
phir maa.n si mujhe god ki ThanDak hui haasil
hai yaad mujhe, gumbad-e-KHazra ! tere saae
mujrim hu.n, chala aaya hu.n mai.n aap ke dar par
bin aap ke mujrim ko bhala kaun bachaae
jab se soo-e-bat.ha ka ye shaidaai huaa hai
tab se dil-e-betaab kahi.n chain na paae
mujh se koi ye maal, ye daulat sabhi le kar
lauTa de wo pal jo the madine me.n bitaae
phir aae bulaawa mujhe darbaar-e-nabi se
allah kabhi KHair se ye din bhi dikhaae
imaan kisi shaKHs ka kaamil nahi.n hota
jab tak ki wo sarkaar pe imaan na laae
Ahmad rahe taa-‘umr isi dar ka hi naukar
ai kaash ! isi dar pe ise maut bhi aae
Poet:
Malik Adnan Ahmad and Other
Naat-Khwaan:
Khalid Hasnain Khalid
Syed Hassan Ullah Hussaini
Muhammad Usama Khalid
Muhammad Hamza Khalid
Popular Posts
-
Ishq-e-Nabi Ka Jaam Pilao Na Lyrics 67 views
-
Dho Qalam Ko Mushk Se 29 views
-
Faslon Ko Khudara Mita Do Lyrics 15 views