Ilahi Teri Chaukat Per Lyrics

Ilahi Teri Chaukat Per Lyrics

 

Junaid Jamshed Naat – Ilahi Teri Chaukat Per Lyrics
Ilahi teri chaukhat per bhikari ban ke aya hoon is beautiful munajat by Junaid Jamshed and its lyrics as shown below.

Zahir ki ankh se na tamasha kare koi,
Ho dekhna to deeda-e-dil wah kare koi,
Parh bethay kiya samajh ker bhala toor per kaleem
Takkat ho deed ki to taqaza kare koi

Ilahi teri chokhat per bhikari ban ke aya hoon,
Sarapa faqr hoon, ijz-o-nadamat saath laya hoon,

Ilahi teri chokhat per bhikari ban ke aya hoon,
Sarapa faqr hoon, ijz-o-nadamat saath laya hoon,

Bhikari woh ke jis ke paas jholi hai na payala hai,
Bhikari woh jisey hiras-o-hawas nay maar dala hai,

Mata-e-deen-o-danish, nafs ke hathon se lutwa ker.
Sakoon-e-qalb ki daulat hawas ki bhent chadwa ker,

Lutta ker sari poonji ghaflat-o-issyan ki daldal mein,
Sahara lene aya hoon tere kaabay ke aanchal mein,

Gunahon ki lipatt sey, kaynat-e-qalb afsurda,
Iraaday muzmehehal, himmat shikasta hoslay murda,

Kahan say laoon takat dil ki sachi tarjumani ki,
Ke kis jhanjhal mein guzri hein ghariyan zindagani ki.

Khulasa yeh ke bus jull bhun ker apni roo-sayahi sey,
Sarapa faqr ban ker apni haalat ki tabahi sey,

Tere darbar mein laya hoon apni ab zaboon-haali,
Teri chokhat ke laeq har amal se hath hein khali,

Yeh Tera ghar hai ye Tere mehr ka darbar hai Maula
Sarapa noor hai, ik mohbat-e-anwaar hai Mola.

Teri chokhat ke jo adab hein, main unn se khali hoon,
Nahi jis ko saleeqa manganey ka, woh sawali hoon

Zuban ghalt-e-nadamat dil ki na’kas tarjumani per,
Khudaya reham meri iss zaban-e-ijz-zabani per,

Ye ankhein khushk hein, Ya Rabb inhein rona nahi aata,
Sulagtay daagh hein dil mein jinhein dhona nahi aata.

Ilahi teri chokhat per bhikari ban kay aaya hoon,
Sarapa faqr hoon, ijz-o-nadamat saath laya hoon,
Sarapa faqr hoon, ijz-o-nadamat saath laya hoon.

 

لفظ مولیٰ کے بہت سے معنی ہیں: دوست، مددگار، آزاد شدہ غلام، اور غلام کو آزاد کرنے والا۔ یہاں اس حدیث پاک میں مولیٰ کے معنی خلیفہ یا بادشاہ نہیں بلکہ یہاں مولیٰ بمعنی دوست اور محبوب ہے یا بمعنی مددگار۔ اور واقعی حضرت سیدنا مولیٰ علی المرتضی کرم اللہ تعالی وجہہ الکریم مسلمانوں کے دوست بھی ہیں، مددگار بھی، اس لیے آپ کرم اللہ تعالی وجہہ الکریم کو ’’ مولیٰ علی‘‘ کہتے ہیں۔ (مرآۃ المناجیح، جلد ۸، صفحہ ۴۲۵)

There are several meanings of the word “Mawla” – for example, friend, helper, a freed slave, the one who frees a slave. In this Hadith, the word Mawla does not imply caliph or king, but it implies friend and ally, or in other words, a ‘helper’. In fact, Sayyiduna Ali al-Murtada [may Allah ennoble his face] is not only a friend and ally of Muslims but also a helper, which is why he is called ‘Mawla Ali’. [Mirat al-Manajih, Vol. 8, Page 425]

Lafz-e Mawla ke bahut se ma’ani hain: Dost, madadgaar, azaad shuda ghulam, aur ghulam ko azad karne wala. Yahan is Hadees-e-Pak mein Mawla ke ma’na khalifah ya badshah nahin balke yahan Mawla ba-ma’na dost aur mahboob hay, ya ba-ma’na madadgaar. Aur waqa’i Hazrat Sayyiduna Mawla Ali al-Murtaza (KarramAllahu Ta’ala Wajhah-ul-Kareem) musalmanon ke dost bhi hain, madadgaar bhi, isi liye Aap (KarramAllahu Ta’ala Wajhah-ul-Kareem) ko ‘‘Mawla Ali’’ kehte hain. [Mirat-ul-Manajih, Jild 8, Safha 425]

 

🕋 Fateh Makkah Afw-O-Darguzar Ki Azeem Misaal Hai🕋

Nabi-E-Kareem ﷺ Ne Apne Dushmano Ko Muaaf Kardiya. Allah Ki Tauheed Qayam Ki Aur Uske Ghar Ko Shirk/Buto Se Paak Kiya. Allah Ta’ala Ne Dikhaya Ke Fatah Haq Ki Hi Hoti Hai, Aap Apni Koshish Jari Rakhein Aur Faisla Allah Pe Chord Dein ✨

(Fathul Bari, Jild 4, Safa 230)

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply