Meri Baat Ban Gayi Hai Teri Baat Karte Karte Lyrics

Meri Baat Ban Gayi Hai Teri Baat Karte Karte Lyrics

 

 

मेरी बात बन गई है तेरी बात करते करते / Meri Baat Ban Gai Hai Teri Baat Karte Karte

 

मेरी बात बन गई है तेरी बात करते करते
तेरे शहर में मैं आऊँ तेरी ना’त पढ़ते पढ़ते

तेरे ‘इश्क़ की बदौलत मुझे ज़िंदगी मिली है
मुझे मौत आए, आक़ा ! तेरा ज़िक्र करते करते

मेरे सूने सूने घर में कभी रौनक़ें ‘अता हों
मैं दीवाना हो ही जाऊँ तेरी राह तकते तकते

किसी चीज़ की तलब है न है आरज़ू भी कोई
तूने इतना भर दिया है कश्कोल भरते भरते

है जो ज़िंदगानी बाक़ी, ये इरादा कर लिया है
तेरे मुन्किरों से, आक़ा ! मैं मरूँगा लड़ते लड़ते

मेरी ऐसी हाज़री हो कि कभी न वापसी हो
मिले सदक़ा पंज-तन का तेरी ना’त पढ़ते पढ़ते

नासिर की हाज़री हो कभी आस्ताँ पे तेरे
कि ज़माना हो गया है मुझे आहें भरते भरते

ना’त-ख़्वाँ:
हाफ़िज़ ताहिर क़ादरी
ग़ुलाम मुस्तफ़ा क़ादरी

 

meri baat ban gai hai
teri baat karte karte
tere shahar me.n mai.n aau.n
teri naa’t pa.Dhte pa.Dhte

tere ‘ishq ki badaulat
mujhe zindagi mili hai
mujhe maut aae, aaqa !
tera zikr karte karte

mere soone soone ghar me.n
kabhi raunaqe.n ‘ata ho.n
mai.n deewaana ho hi jaau.n
teri raah takte takte

kisi cheez ki talab hai
na hai aarzoo bhi koi
tune itna bhar diya hai
kashkol bharte bharte

hai jo zindagaani baaqi
ye iraada kar liya hai
tere munkiro.n se, aaqa !
maroonga la.Dte la.Dte

meri aisi haazri ho
ki kabhi na waapsi ho
mile sadqa panj-tan ka
teri naa’t pa.Dhte pa.Dhte

Naasir ki haazri ho
kabhi aastaa.n pe tere
ki zamaana ho gaya hai
mujhe aahe.n bharte bharte

Naat-Khwaan:
Hafiz Tahir Qadri
Ghulam Mustafa Qadri

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply