Poetry

 

Your dream doesn’t have a expiration date.

 

Your dream doesn't have a expiration date.
Your dream doesn’t have a expiration date.

 

Your dream doesn’t

Have a expiration date.

Take a deep breath,

and try again.

A toungue has no bones

 

A toungue has no bones
A toungue has no bones

 

A tongue has no bones
But it is strong enough
to break a heart
Be’ careful with your words.

 

Some times it is better to be alone

 

Some times it is better to be alone
Some times it is better to be alone

 

 

Some times it is
better to be alone
beacuse it gives
To Be
Who You Are

 

 

True Love never die

True love
never dies
it only
gets
stronger
with time

 

Real love
begins where
nothing
is expected
in return .

Islam is not a name or a title

Islam
is not a
Name or a title
it is a
way of life

It’s very easy to say “busy”

 

It's very easy to say "busy"
It’s very easy to say “busy”

 

It’s very easy
to say “busy”
When someone
need you .
but its very painful
to hear “busy’
when you need
someone.

I can’t stop my heart from falling in love with you

 

I can't stop my heart from falling in love with you
I can’t stop my heart from falling in love with you

I can’t stop my heart from

falling in love with you

Two things to remember in life

 

Two things to
remember in life :

Two things to remember in life
Two things to remember in life

 

“Take care of your
thoughts when you
are alone.”
And
“Take care of yours
words when you
are with people.”

I want to love you

I want to
love you
each day
as if its
the last day
ot my life.

It is better to be alone

It is better
to be
alone,
Than being
With someone
Who makes
makes you
feel alone

I am sharing a rose on my wall for my mother

I am sharing a rose
on my wall for my
Mother
She is the most
loving, caring and
amazing woman i
have ever known

 

Your dream doesn’t have a expiration date.

Your dream doesn’t

Have a expiration date.

Take a deep breath,

and try again.

 

God doesn’t give you

God doesn’t give you the
people you want, he gives you
the people you need.
To Help you, to hurt you,
to leave you, to love you and to
make you the person you
were meant to be

 

Enjoy the little things in life

Enjoy the little
things in life…….
For one day you’ll look
back and realize they
were the big things.

 

 

Bhoolna bhi nemat hai khuda ki

 

Bhoolna bhi nemat hai khuda ki
Bhoolna bhi nemat hai khuda ki

Bhoolna bhi nemat hai khuda ki

warna insan ko pagal bana dain yadain

 

 

koi hamdarad na tha koi bhi dard na tha

-1-
koi hamdarad na tha ,
koi bhe dard na tha,

Achanak ik hamsafar mila,
phir usi se har dard mila,

-2-
Maray he hathoon par
Mare taqdeer likhi hai

Aur mare he taqdeer par
Mera bas nahin chalta

 

 

Naqsh yaadon ka mitaati hai to ro parti hay

 

Naqsh yaadon kay mitaati hai to ro parti hay
wo mera khatt jo jalati he to ro parti hay

khoon dikhta he mery marty hoye supno ka
khuwab ankhon main basati he to ro parti hay

log poochty hen jo gehri udaasi ka sabab
baat logon se chupaati hay to ro parti hay

yaad karti he mujhy toot kar us lamhe
shaam chehra jo dikhaati hai to ro parti hai

wo bary zubt bhary hosly wali lerki
ghum ko tahreer banati he to ro parti hai

 

 

Na gharaz kissi say, na waasta, mujhay kaam apnay hi kaam say

Na gharaz kissi say, na waasta, mujhay kaam apnay hi kaam say

Tere zikr say, teri fikr say, teri yaad say, tere naam say

 

 

Waqif e gham , mutabasam , mutakalm, mager khamosh

Waqif e gham , mutabasam , mutakalm, mager khamosh

tum ne dekhi hain kahin asi khamosh aankhen

 

 

Qadam ruk se gaye hain phool biktey dekh kar
Qadam ruk se gaye hain phool biktey dekh kar
Woh aksar kaha krta tha muhabbat phool jaisi hai

 

 

Leta hon tera naam tu ulaj jata hon sanso’on se
Leta hon tera naam tu ulaj jata hon sanso’on se

smjh nahi ata zindagi sanso se hai ya tere naam se

 

When You fall in Love with someone,

When You fall in Love with someone,
Don’t think just start enjoying it.
Because after some time.
You will not be in position to enjoy anything.

 

 

Mohabbat jeet hoti hai

Mohabbat jeet hoti hai

Magar yeh haar jate hai

 

 

woh kehti hai suno janaa mohabbat mom ka ghar hai

 

woh kehti hai suno janaa
mohabbat mom ka ghar hai
tapish bad’gumani ki
kahin pighla na de is ko

main kehta hoon
jis dil main zara bhi bad’gumani ho
wahan kuch aur ho to
mohabbat ho nahin skti

woh kehti hai
sada aisay hi
kiya tum mujh ko chayo ge
keh main is main kami ko bhi
gawara kar nahin sakti

main kehta hoon
mohabbat kiya hai
yeh tum ne sikhya hai
mujhay tum se mohabbat key siwa
kuch bhi nahin ata

woh kehti hai
judaai se bhout darta hai dil mera
keh khud ko tum se hat kar dekhna
mumkin nahin hai ab

main kehta hoon
yahi khadshay bhout mujh ko satatay hain
magar sach hai mohabbat main
judai sath chalti hai

woh kehti hai
batayo kiya mere bin jee sako ge tum
meri batain , meri yadein , meri aankhain
bhula do ge

main kehta hoon
kabhi is baat par socha nahin main ne
agar ik pal ko bhi sochon to
saansein rukney lagti hain

woh kehti hai
tumhain mujh se
mohabbat is qadar kyun hai
keh main ik aam si larki
tumhain kyn khaas lagti hoon

main kehta hoon
kabhi khud ko meri aankhon se tum dekho
meri deewani kyn hain
yeh khud hi jaan jayo gi

woh kehti hai
mujhay waraftagi se dekhtay kyn ho
keh main khud ko bhout
qeemti mehsoos karti hoon

main kehta hoon
mata-e-jaan bhout anmol hoti hai
tumhain jab dekhta hoon zindagi
mehsoos karta hoon

woh kehti hai
mujhay alfaz ke jugno nahin milty
keh tumhain bata sakon
keh dil main meray
kitni mohabbat hai

main kehta hoon
mohabbat to nighahon se jhalakti hai
tumhari khamoshi mujh se
tumhari baat karti hai

woh kehti hai
batayo na kis ko khoney se dartay ho
batayo kon hai woh jissy
yeh mausam bulatay hain

main kehta hoon
yeh meri shairy hai aaina hai dil ka
zara dekho batayo kiya
tumhain is main nazar aya

woh kehti hai
suno !! bhout batain banatay ho
magar sach hai yeh batain
bhout hi shaad rakhti hain

main kehta hoon
yeh sab batain yeh fasanay ik bahana hain
keh pal kuch zindagi ke
tumharay sath kat jayein
phir us ke baad khamoshi ka
dilkash raqs hota hai
nighaein bolti hain
lab khamosh rehtay hain

Tu ne dekha hai kabhi ek nazar shaam ke baad

 

Tu ne dekha hai kabhi ek nazar shaam ke baad
Tu ne dekha hai kabhi ek nazar shaam ke baad

 

 

Tu ne dekha hai kabhi ek nazar shaam ke baad
kitane chup-chaap se lagte hain shajar shaam ke baad

itne chup chaap ke raste bhi rahein ge laa- ilm
chor jaayeinge kisi roz yeh nagar shaam ke baad

main ne aise hi gunaah teri judai mein kiye
jaise tufaan mein koi chor de ghar shaam ke baad

sham se pahle vo mast apni uraanon mein raha
jis ke hathon mein the tote hue par shaam ke baad

raat biti to gine aable aur phir socha
kon tha baais-e- aaghaz-e-safar sha m ke baad

tu hai sooraj tujhe maloom kahan raat ka dukh
tu kisi roz mere ghar mein utar sha m ke baad

laut aaye na kisi roz wo aawara mizaaj
khol rakhte hain isi aas pe dar shaam ke baad.

 

 

Yeh jo meri lehad pe rotay hain na

Yeh jo meri lehad pe rotay hain na

Abhi uth jaon to jeeney na dain

 

Yeh dasht-e-hijar , yeh wehshat , yeh shaam kay saaye

 

Yeh dasht-e-hijar , yeh wehshat , yeh shaam kay saaye
Yeh dasht-e-hijar , yeh wehshat , yeh shaam kay saaye

 

 

یہ دشتِ ہجر، یہ وحشت، یہ شام کے سائے
خدا یہ وقت تری آنکھ کو نہ دِکھلائے

Yeh dasht-e-hijar , yeh wehshat , yeh shaam kay saaye
Khuda yeh waqat teri aankh ko na dikhlaye

اُسی کے نام سے لفظوں میں چاند اُترے ہیں
وہ ایک شخص کہ دیکھوں تو آنکھ بھر آئے

 

Usi kay naam se lafzon main chaand utray hain
Woh aik shakhs keh dekhon to aankh bhar aye

جو کھو چکے ہیں اُنہیں ڈھونڈنا تو ممکن ہے
جو جا چکے ہیں اُنہیں کوئی کس طرح لائے!

Jo kho chukay hain unhain dhoondna to mumkin hai
Jo jaa chukay hain unhain koi kis tarah laye

؂کلی سے میں نے گلِ تر جسے بنایا تھا
رُتیں بدلتی ہیں کیسے، مجھے ہی سمجھائے

Kali se main ne jissay gul-e-tar banaya tha
Rutain badalti hain kaisay , mujhay hi samjhaye

جو بے چراغ گھروں کو چراغ دیتا ہے
اُسے کہو کہ مِرے شہر کی طرف آئے

Jo be’chragh gharon ko chragh deta hai
Ussay kaho keh meray shaher ki taraf aye

یہ اضطرابِ مسلسل عذاب ہے امجد
مِرا نہیں تو کسی اور ہی کا ہو جائے!

“Yeh iztraab-e-musalsal azaab hai “Amjad
Mera nahin to kisi aur hi ka ho jaye

 

Raat ke kisi lamhay jab tumhare yaad aye

Raat ke kisi lamhay jab tumhare yaad aye
To batyo mujh ko main kiya karoon
Tumhain meethi neend se jaga doon
ya tumharay seenay pe sar rakh doon
tumhare gehri band aankhain kholoon
Aur un main sam jayoon
Ya tumhain bina aankhain jhapkay dekhta jayoon
Keh kahin yeh khwaab toot na jaye
Keh tumhara sath choot na jaye
Suno
Mujhay tumharay sath Guzara ik lamha bhe bhula gawara nahin
Suno
Utho aur aik baar mujhay aankh bhar ke dekho
Aur mujh ko kaho Keh
Tum sirf meri ho

 

Kitni sada Kitni Piyari Kaanch ke choori jaisi larki

 

Kitni sada Kitni Piyari
Kaanch ke choori jaisi larki
Collage ke aik kamray main bathei
Janay kiya soch rahe the
us ka hath kalai par tha
Woh kuch kuch khuf zada the
Ab kiya ho ga ?
Main bhe us ke pass aa betha
Us ko ghour se dekh raha tha
Main ne us ka hath pakra
Aur pyar se poocha
Kiya qissa hai
Us ke Aankhain bheeg gayein
Aur woh dheemi se awaz main boli
Wasi
Dekho choori toot gaye

 

 

Pagal Ankhon wali larki itnay mehangay khawab na dekho

 

pagal aankhon wali arki
itney mehnge khwaab na dekho
kaanch se nazuk khwaab tumharay
toot gaye to
pach’tao gi
soch ka sara ujla kundan
zabat ki raakh main ghul jaye ga
kachay pakay rishton ki kushboo ka reaisham
khul jaye ga
tum kiya jano
khwaab safar ki dhoop ke sheeshay
khwaab adhoori raat ka dozukh
khwaab khyalon ka pachtawa
khawabon ki manzal ruswaei
khwabon ka hasil tanhaei
tum kiya jano
mehnge khwaab khreedney hon to
aankhain bechna parti hain
rishtay bhoolna partay hain
andeshon ki raakh na phanko
piyaas ki aot saraab na dekho
itnay mehnge khwaab na dekho
thak jayo gi

Apni he Dhun main rehte the ik larki

 

Apni he Dhun main rehte the
Ik larki shokh aur chanchal se
Phoolon se batain karti the
Title ke rang pakarti the
Ik dhanak the us ke anchal pe
Phir janay kiya toofan aya
Titli ke rang bikhar gaye
aanchal ke rang utar gaye
Jab poocha kisi ne ae larki
Tum ne yeh chup kyn sadh li
Woh kuch na boli
Bas ro de
Aur Khaak Pe
Hath ke ungli se
Ik Lafz
Mohabbat
Likh dala

 

 

 

 

koi tum se poochay kon hon main

 

koi tum se poochay kon hon main
tum keh dena koi khaas nahin
ek dost hai kacha pakka sa
ek jhoot hai adha sacha sa
jazbaat ko dhankay ek parda bas
ek bahana hai acha sa
jeevan ka ek aisa sathi hai
jo door ho keh pass nahin
koi tum se poochay kon hoon main
tum keh dena koi khaas nahin
hawa ka ik suhana jhona hai
kabhi nazuk to kabhi toofano sa
shakal dekh kar jo nazrein jhuka le
kabhi apna to kabhi begano sa
zindagi ka ik hamsafar
jo samandar hai par dil ko piyaas nahin
koi tum se poochay kon hoon main
tum kehdena koi khaas nahin
ek sathi jo ankahi batain keh jata hai
yadon main jis ka ek dhundla chahera reh jata hai
yeh to us ke na honey ka kuch gham nahin
par kabhi kabhi ankhon se ansoo ban kar beh jata hai
youn rehta to meri tasveer main hai
par in aankhon ko uski talaash nahin
koi tum se poochay kon hon main
tum keh dena koi khaas nahin

 

Dost kiya khoob wafaon ka sila detay hain

 

Dost kiya khoob wafaon ka sila detay hain
har naye mor par ek zakhm naya detat hain

tum se to khair ghari bhar ki mulakaat rahi
log barson ki rafakat ko bhula detay hain

kaise mumkin hai ke dhuwan bhi na ho aur dil bhi jalay
parti hai to patthar bhi sada detay hain

kaun hota hai musibat mein kisi ka Ae sanam
aag lagti hai to patte bhi hawa detay hain

jin pe hota hai bahut dil ka bharosa jane kyon
waqt psrnay pe wohi log daga detay hain

 

Her shakhas nahin hota her shakhas ke qabil

Her shakhas nahin hota her shakhas ke qabil

Her shakhas ko apnay liye socha nahin kartay

 

Kaash main teray haseen haath ka kangan hota

 

Kaash main teray haseen haath ka kangan hota
tu bare piyar say chaao sey bare maan ke sath

Apni nazuk si kalaai mein charhati mujh ko
aur bay taabi say furqat ke khizaan lamhom mein

Tu kisi soch mein dobi jo ghomati mujh ko
main tere hath ki khushboo say mehak sa jata

Jab kabhi mood mein aa kar mujhe choma karti
tere hontoon ki main hidat say dehak sa jata

Raat ko jab bhi tu neendon ke safar par jati
mar-marein hath ka takiya banaya karti

Main tere kan say lag kar kai batein karta
teri zulfon ko tere gaal ko choma karta

Jab bhi tu band-e-qaba kholne lagti janan
apni ankhon ko tere husan se khaira karta

Mujh ko bey taab sa rakhta teri chahat ka nasha
main teri rooh ke gulshan mein meehakta rehta

Main tere jism ke aangan mein khanakta rehta
kuch nahi to yahi be naam sa bhandhan hota

Kash main tere haseen haath ka kanghan hota

 

 

Sissakti zindage meri mohabbat ke bhanwar main hai

Bheegi Aankhain
Sissakti zindage meri mohabbat ke bhanwar main hai
Kahan jayon yeh dukh le kar muqadar bhe safar main hai
meray hamraaz yaroon ne mujhay barbad kar dala
yahi Ik dard barsoon se meray khoon-e-jiger main hai
mera dawa hai duniya main wafa to mit chuki kab ke
koi mujh ko batlay wafa ab kis nagar main hai

 

Woh sansoon ke garmi, Woh teray badan ke khushboo

Woh sansoon ke garmi, Woh teray badan ke khushboo
Abhi tak jaan-e-jaan yeh dil-e-nadaan yaad karta hai

 

 

Bazm-e-wafa main apni ghreebi na poochiye

Bazm-e-wafa main apni ghreebi na poochiye

Ik dard-d-dil hai woh bhi kisi ka diya hua

 

Apni Janab se Dil ko saaf kiya

Apni Janab se Dil ko saaf kiya

Ja mohabbat tujhay maaf kiya

 

 

Haan Mohabbat tamaam us par hui

Haan ! Mohabbat tamaam us par hui
Ab jo ho ge woh dil lagi ho gi !

 

Aik Tum Ko agar Chura Loon To

Aik Tum Ko agar Chura Loon To
Zamana Ghreeb Ho Jaye

 

Na theen aur koi bi Ranjishain, Sirf Aadaton mein tazaad tha

Na theen aur koi bi Ranjishain, Sirf Aadaton mein tazaad tha

K Usey pasand theen Shokhiyaan, Mujhe sadgi main kamal tha

 

Ussi Maqaam Pe Kal Mujh Ko Dekh kar Tanha

Ussi Maqaam Pe Kal Mujh Ko Dekh kar Tanha

Bhout Udaas Huay Phool Bechney Walay

 

Is Baar Woh Talkhee Hai Keh roothay Bhe nahin Hum

Is Baar Woh Talkhee Hai Keh roothay Bhe nahin Hum

Ab Keh Woh Larai Hai Keh Jhagra Nahin Karain ge

 

Jalnay lagti hai zubaan kehtay hi “dagh

“Jalnay lagti hai zubaan kehtay hi “dagh

Uff nikal jaati hai meray naam par

Kal halki halki barish thi

Kal halki halki barish thi
kal sard hawa ka ruqs bhi tha

kal phool bhi nikhray nikhray thay
kal un me aap ka aks bhi tha

kal badal kaalay gehrey thay
kal chaand pay laakhoon pehrey thay

kuch tukray aap ki yadoon kay
bari dair say dil me thehray thay

kal yaadain uljhi uljhi theen
or kal tak yeh na suljhi theen

kal yaad bohot tum aay thay
kal yaad bohot tum aay thay

 

Kitni ajeeb hai is shehr ki tanhai bhi

 

Kitni ajeeb hai is shehr ki tanhai bhi
Kitni ajeeb hai is shehr ki tanhai bhi

 

Kitni ajeeb hai is shehr ki tanhai bhi

Hazaron log hain magar phir bhi koi tum sa nahi

 

phir us k bad gir gya sone ka bhao bhi

phir us k bad gir gya sone ka bhao bhi

aik sham us ne hath se kamgan jo otaara

 

Tum ko sochon Ibadaton ke tarah

 

Tum ko sochon Ibadaton ke tarah
Tum ko sochon Ibadaton ke tarah

 

Tum ko sochon Ibadaton ke tarah

teri yadain sawab jaisi hain

 

Nazdeek hi rhta hy wo par milne nhi aata

Nazdeek hi rhta hy wo par
milne nhi aata….!!

Nazdeek hi rhta hy wo par
milne nhi aata….!!

P0ch0 t0 muSkura k kehta hai
Tum Se t0 MOHBAT hai
Tum Se kya
milna…??

 

Log atay hain chalay Jatay hain Magar…..

“لوگ آتے ہیں چلے جاتے ہیں،مگر زندگی کبھی نہیں رکتی۔
کسی کے آنے سے یا جانے سے وقت کو کوئی فرق نہیں پڑتا ۔
وہ اسی رفتار سے گزرتا رہتا ہے۔ اور ہمیں پتا ہی نہیں چلتا
کہ کب ہمارے دن پورے ہو جاتے ہیں۔ تب ہم سوچتے ہیں کہ
کیا بس یہ دوپل تھی زندگی۔”

Log aatay hain chalay jaatay hain magar
Zindagi kabhi nahin rukti , kisi kay aanay se ya jaanay se
Waqat ko koi faraq nahin parta . Woh isi raftaar se
Guzarta rehta hai , aur hamain pata hi nahin chalta
Keh kab hamaray din pooray ho jaatay hain . tab
hum sochtay hain keh
“kiya bas 2 pal thi zindagi

Tum Haqeeqat Ho Ya Fareaib Meri Ankhon Ka

Tum Haqeeqat Ho Ya Fareaib Meri Ankhon Ka

Na Dil se Nikaltay Ho Na Zindage Main Atay Ho

 

 

Ik Mohabbat Ka Mashghala Le Kar

 

Ik Mohabbat Ka Mashghala Le Kar
Ik Mohabbat Ka Mashghala Le Kar

 

 

Ik Mohabbat Ka Mashghala Le Kar

Zindage Khoob Tabha Ke Main ne

Yeh Soch Ke Dil Phir se Hai Amada-e-Ulfat

Yeh Soch Ke Dil Phir se Hai Amada-e-Ulfat

Keh Her Baar Mohabbat Main Khasara Nahin Milta

 

Alfaaz Gira detay Hain Jazbaat Ke Keemat

Alfaaz Gira detay Hain Jazbaat Ke Keemat

Her Baat Ko Alfaaz Main Tola Nahin Kartay

 

Koi To Aisi Baat Karo

Koi To Aisi Baat Karo

Jis Se Lagay Tum Meray Ho

Zawaal Yeh Keh teray Sath Nahin

Zawaal Yeh Keh teray Sath Nahin
Kamaal Yeh Keh Jee Rahay Hain Hum

 

Bahut socha bahut samjha bahut hi der tak parkha

Bahut socha bahut samjha bahut hi der tak parkha

ki tanha ho ke jee lena mohabbat se to behtar hai…!!!

 

 

Khwaish Nahin Zara Bhe Mujhay Naam waam Ke

 

Khwaish Nahin Zara Bhe Mujhay Naam waam Ke
Meray Qalam Ko Piyas Hai Kousar Ke Jaam ke

 

Na theen aur koi bi Ranjishain, Sirf Aadaton mein tazaad tha

Na theen aur koi bi Ranjishain, Sirf Aadaton mein tazaad tha

K Usey pasand theen Shokhiyaan, Mujhe sadgi main kamal tha

Mohabbat Hai Keh Nafrat Koi Itna to samjhay

Mohabbat Hai Keh Nafrat Koi Itna to samjhay !!!!

Kabhi main dil se Larte Hoon Kabhi Dil Mujh Se Larta Hai

Mousam Badal Raha Hai Apna Khyal rakhna Ae Dost

Mousam Badal Raha Hai Apna Khyal rakhna Ae Dost
Mousam Badal Raha Hai Apna Khyal rakhna Ae Dost

Mousam Badal Raha Hai Apna Khyal rakhna Ae Dost

Kyn Keh Badaltay Mousam Aur Badaltay Log Bhout Takleef Detay Hain

 

Tabeeb ban kar jo aa gaye ho

Tabeeb ban kar jo aa gaye ho
main neem jaan tha to tum kahan thay

tumhari ulfat ki be’hissi pe
main noha khwan tha to tum kahan thay?

Har aik gul tha khizan raseeda
k aag har su lagi hue thi

bahaar aai tu aa gaye ho
yahan dhuwaan tha to tum kahan thay?

Lahu se hum ne diye jalaye
to phir kahin se seher bhi aai

andhaira jab tak taweel raaton ka hukmran tha to tum kahan thay?

Shaoor_e_guftar aa gaya hai,
na mery lehjay mein zehar gholo

mujhay ab apni zuban milli hai
main be’zuban tha to tum kahan thay?

Main to saahil tha chalta bhi to kaisay chalta

Main to saahil tha chalta bhi to kaisay chalta
Woh bhi mojon ki tarah aaya to pal bhar ko tehra

Chand pag’la tha jo chala aaya meri jaanib
Main to badal tha hamesha se be’ghar thehra

 

 

Bhala kaisay main jeeta, agar tujh ko bhula deta

 

Bhala kaisay main jeeta, agar tujh ko bhula deta

Teri ruswai ke dar se labon ko see liya warna

Tere sheher-e- munafiq ki main bunyadain hila deta

Kiya tark-e-wafa us ne, to hogi uski majboori

Jisay barson dua di thi, usay kiya bad-dua deta

Khabar hoti agar mujh ko nahin hai tu muqadar main

Usi lamhay main haathon ki lakeeron ko mitta daita

 

Bhar aayi meri aankhen jab uska naam aaya

Bhar aayi meri aankhen jab uska naam aaya
ishq nakam sahi phir bhi bohat kaam aaya

humne mohabbat me aisi bhi guzaari raatein
jab tak aansu na bahe dil ko na aaraam aaya

 

 

Raat sari guzarti hai inhi hisaabon mein

Raat sari guzarti hai inhi hisaabon mein

mohabbat thi… nahi thi…? Hai…. Nahi hai

 

 

I,ll burn myself to warm you

I,m a paper
you can write you,re feelings
scribble you,re anger
use me
absorb you,re tears
dont throw me after use
because when you feel cold
I,ll burn myself to warm you

 

Always remember to forget

Always Remember

Always remember to forget
The things that made you sad
But never forget to remember
The things that made you glad.

Always remember to forget
The friends that proved untrue
But don’t forget to remember
Those that have stuck by you.

Always remember to forget
The troubles that have passed away.
But never forget to remember
The blessings that come each day

 

 

Sun to sahi jahan main hai tera fasana kiya

Sun to sahi jahan main hai tera fasana kiya

Kehti hai tujh ko khalq-e-khuda ghaibaana kiya

 

Kiya hai pyar jissay hum ne zindagi ki tarha

Kiya hai pyar jissay hum ne zindagi ki tarha
Wo ashnaa bhi mila hum ko ajnabi ki tarhaa

Barhaa ke pyaas meri us ne chor diya
Wo kar raha tha muravat bhi dillagi ki tarha

Kissy khabar thi barhy gi kuch aur tareeki
Chuppay ga wo kisi badli mein chaandni ki tarha

Jis ke pehlu mein ho us ka naseeb acha hai
Meri dastaan mein tum se bhi raqeeb acha hai

Kabhi na socha tha ‘qateel’ hum ne us ke liye
Kare ga hum pe sitam wo bhi har kisi ki tarha

 

 

Tujhay Waqat Ho to yeh bazi khel ke dekh le

Tujhe waqt ho tu ye bazi khel k dekh lay
Hai ajeeb nasha muhabbaton main shikast ka

 

 

Mujh se milna teri he qismat main tha shayed

Mujh se milna teri he qismat main tha shayed
Mujh se milna teri he qismat main tha shayed

 

Mujh se milna teri he qismat main tha shayed

itni haseen meray hathon ke lakeerain to nahin

 

Teri Surat ko Ik Baar Dekhnay Walay

Teri Surat ko Ik Baar Dekhnay Walay

Suna Hai Koi Aur Nasha Nahin Kartay

 

Kaash main teray haseen haath ka kangan hota

 

Kaash main teray haseen haath ka kangan hota
Kaash main teray haseen haath ka kangan hota

 

 

Kaash main teray haseen haath ka kangan hota
tu bare piyar say chaao sey bare maan ke sath

Apni nazuk si kalaai mein charhati mujh ko
aur bay taabi say furqat ke khizaan lamhom mein

Tu kisi soch mein dobi jo ghomati mujh ko
main tere hath ki khushboo say mehak sa jata

Jab kabhi mood mein aa kar mujhe choma karti
tere hontoon ki main hidat say dehak sa jata

Raat ko jab bhi tu neendon ke safar par jati
mar-marein hath ka takiya banaya karti

Main tere kan say lag kar kai batein karta
teri zulfon ko tere gaal ko choma karta

Jab bhi tu band-e-qaba kholne lagti janan
apni ankhon ko tere husan se khaira karta

Mujh ko bey taab sa rakhta teri chahat ka nasha
main teri rooh ke gulshan mein meehakta rehta

Main tere jism ke aangan mein khanakta rehta
kuch nahi to yahi be naam sa bhandhan hota

Kash main tere haseen haath ka kanghan hota

 

 

Tu ne dekha hai kabhi chand par behta pani

Tu ne dekha hai
Kabhi chaand pe behta hua paani?

Main ne dekha hai
Yeh manzar us ke ruksaar pe aksar

 

Yeh jo shairon ki amad amad hai

Yeh jo shairon ki amad amad hai

Tujh se batoon ke sab bahanay hain

 

Aaj bhe dekh liya us ne keh main zinda hoon

Aaj bhe dekh liya us ne keh main zinda hoon

Choor aya hoon usay aaj bhe heraani main

 

 

Khwaab main bhe woh nahin atay

Khwaab main bhe woh nahin atay

Nafratain in dino urooj pe hain

 

Tum is sharat par ayo

Tum is sharat par ayo
Chalo azaad karta hoon
Keh jab bhe loat kar wapis
Meri janab jo ayo ge
Mujhay apna he payo ge

 

 

 

Ab to shayed he mujh se mohabbat karay koi

 

Ab to shayed he mujh se mohabbat karay koi

meri aankhon main tum tum saaf nazar atay ho

 

Parhnay walon ka qehat hai warna

 

Parhnay walon ka qehat hai warna

Girtay ansoo poori kitab hotay hain

 

 

Aik Pal ka jeena bhi qayamat tha Nadeem

Aik Pal ka jeena bhi qayamat tha Nadeem

Aur dua taweel umar ki milti rahi

 

 

Barish ke mousam main , us ko yaad karnay ke

 

Barish ke mousam main , us ko yaad karnay ke
Aadat purani hai
Ab ke baar socha hai , aadatain badal dalain
Phir khyal aya
Adatain badalney se barshain nahin ruktain

 

Main us ke sath jufat ho jayoon

Main us ke sath jufat ho jayoon

Dua mange the taaq raton main

 

Suna hai sab kuch mil jata hai dua se

Suna hai sab kuch mil jata hai dua se

Miltay ho khud ya mangoon khuda se

 

 

I love you more then words

I love you more then words can explain and
no one will ever change my mind. Even when
the world comes crashing down I’m still here
to hold you and love you