Salaam Lyrics

 

QASEEDA BURDAH SHAREEF
MUSTAFA JAANE REHMAT PE LAAKHON SALAAM
KAABE KE BADRUDDUJA TUM PE KARODON DUROOD
TUM PAR LAAKHON SALAAM
AYE DEEN E HAQ KE REHBAR TUM PAR SALAAM HAR DAM
MERE ALLAH KE NIGAAR SALAAM
YA SHAFEE’ AL WARA SALAAMUN ‘ALAIK
AYE SHEHENSHAH E MADINA ASSALAATO WAS SALAAM
MAZHARE SIRRE WAHDAT PE LAAKHON SALAAM (TAZMEEN)
SAAHIBE TAAJE IZZAT PE LAAKHON SALAAM (TAZMEEN)
DARD E DIL NAAM LENE SE HOTA HAI KAM (TAZMEEN)
MUSTAFA SHAAN E QUDRAT PE LAAKHON SALAAM
SHAFAYE ROZE MEHSHAR PE LAAKHON SALAAM
AYE SHAFI E UMAM TUM PE BEHAD SALAAM
TAJDAARE HARAM AYE SHEHENSHAH E DEEN
DUROOD TUM PAR SALAAM TUM PAR
AYE SABA MUSTAFA SE KEH DENA
KHAIRUL BASHAR PAR LAAKHON SALAAM
AAQA LELO SALAAM AB HUMARA
AYE HABEEB E AHMAD E MUJTABA
HO IMAAMUL AMBIYA PAR DAM BA DAM LAAKHON SALAAM
MEHBOOB E KIBRIYA SE MERA SALAAM KEHNA
CHAMAN KE MAST NAZAARE SALAAM KEHTE HAI
FAKHRE ‘ISAA NAAZ E AADAM ASSALAATO WASSALAAM
SALAAM US PAR KE JISNE BEKASON KI DASTAGIRI KI

TALA AL BADRU ALAINA (YA NABI SALAAM ALAIKA)
MUSTAFA KHAIRUL WARA HO (YA NABI SALAAM ALAIKA)
APNE GIRTE KO SAMBHALO (YA NABI SALAAMUN ALAIKA)
HASHR MEIN SAB EK KINARE (YA NABI SALAAM ALAIKA)
JAAKANI KE WAQT AANA (YA NABI SALAAM ALAIKA)
AAP HAI MEHBOOB E AALAM (YA NABI SALAAM ALAIKA)
CHANDA KARE TUM KA SALAAM
MADINE KE ZAAIR SALAAM UNSE KEHNA
AYE BAYABAANE ARAB TERI BAHARON KO SALAAM
YA RASOOLALLAH TERE DAR KI FAZAON KO SALAAM
MADINA TUJHE SALAAM
DIL SE HAZAAR BAAR MADINA TUJHE SALAAM
SALAAT AL BADARIYYA – SALAATULLAH SALAAMULLAH
HUSSAIN TUM KO ZAMAANA SALAAM KEHTA HAI
MERE HUSSAIN TUJHE SALAAM
SULTANE KARBALA KO HUMARA SALAAM HO
AALE AHMED KI AZMAT PE LAAKHON SALAAM
KARBALA KE JAAN NISAARON KO SALAAM
BADHE SHABBIR JAB RAN MEIN
SAYYADI GAUSE AAZAM SALAAMUN ‘ALAIK
GAUSE AAZAM KI AZMAT PE LAAKHON SALAAM
GAUSE AAZAM LO MUREEDON KA SALAAM
KHWAJA E KHWAJGAAN TUM PE LAAKHON SALAAM
AYE SHAAHE DEEN KE NAAIB E ZEESHAA(N) SALAAM LO
KHWAJA E KHWAJGAA(N) TUM PE LAAKHON SALAAM
4
INTRODUCTION
Compiler’s Note
All Praise is due to Almighty Allah our Lord our Creator our
cherisher the Sustainer of the entire universe the Master of the Day
of Judgement. Innumerous peace, blessings and salutations upon
the Best of Allah’s creation Imaamul Ambiya Sayyiduna
Muhammad Rasoolullah Sallallahu alaihi wa sallam. Peace and
blessings upon his Companions, his Noble Family Ahlul Bait and
Awliya Allah.
By the grace of Almighty Allah, blessings of his Beloved Sayyiduna
Rasoollallah sallallahu alaihi wa sallam and karam of Ghaus o
Khwaja o Raza and my Shaykh e Tareeqat Daai e Kabeer Ata e
Huzoor Mufti e Aazam e Hind Waqaar e Ahle Sunnat Ha!z o Qari
Maulana Muhammad Shakir Noorie Ameere Sunni Dawate Islami,
I hereby present the Book on Salaam transliterated from urdu to
english.
Anyone with Imaan and love for Allah’s Beloved Rasool Sallallahu
alaihi wa sallam will surely send innumerous durood and salaam
upon him. Undoubtedly reciting durood and salaam is the best way
of getting closer to our Beloved Rasool Sallallahu alaihi wa sallam.
Alhamdulillah this compilation is a collection of Salaam recited
world wide in Masaajid and Mahaa!l every where.
Especially Qaseeda Burda Shareef of Hazrat Shaykh Sharfuddin
Buseeri Rahimahullah and Mustafa Jaane Rehmat pe Laakhon
Salaam of Imaame Ahle Sunnat Imam Ahmed Rida Al Qadri Al
Hana! Rahimahullah.
This book comprises of Salaam in the court of Rasoolullah
sallallahu alaihi wa sallam, Ahlul Bait, Imame Hussain, Sayyiduna
Abdul Qaadir Jeelani and Sultanul Hind Khwaja Moinuddeen
Chishti Radiallahu Ta’ala anhum ajmaeen.
5
I pray that this compilation serves as a means of blessings and
means of increasing love for our Intercessor our Beloved Rasool
salallahu alaihi wa sallam and would like to dedicate this book as
an isaale sawaab for my grand parents, My Marhoom father, my
fellow muballigheens who passed away and kul Mu’mineen and
Mu’minaat and muslimeen wal muslimaat.
May Almighty Allah grant peace and prosperity to everyone of us
and grant us the taufeeq to send innumerous Durood and Salaam
till the last breath of our life.
Ameen Ya Rabbal Aalameen Bijahi Nabiyyil Kareem.
Kaash Mehshar Mein Jab Unki Aamad Ho Aur
Bheje Sab Unki Shaukat Pe Laakhon Salaam
Mujhse Khidmat Ke Qudsi Kahe(n) Haa(n) Raza
Mustafa Jaane Rehmat Pe Laakhon Salaam
Taalib e Dua,
Sayed Khalil Noorie
(Muballigue Sunni Dawate Islami)
6
Mawla Ya Salli Wa Sallim Daa’iman, Abadan
‘Ala Habeebika Khaiyril Khalqi Kullihimi.
Muhammadun Sayyidul Kawnaini Wath-Thaqalain,
Wal Fareeqaini Min ‘Urbiw-Wa Min ‘Ajami.
Amintazak-Koori Jiraa Nim Bidhee Salami
Maazaj Ta Dam An Jaraa Mim Muqlatim Bidami
Nabiyyunal Aamirun-Naahi Fala Ahadun,
Abarra Fi Qawli La Minhu Wa La Na’ami.
Huwal Habeebul-Ladhee Turja Shafaa’atuhu
Li Kulli Hawlim-Minal Ahwali Muqtahimi.
Ya Akramal Khalqi Maali Man Aloozubihi
Siwaaka Inda Huloolil Haadisil Amami
Da’a Ilallahi Fal Mustamsi Koona Bihi
Mustamsi Koona Bi Hablin Ghairi Munfasimi.
Faqan Nabiyyina Fi Khalqiw-Wa Fi Khuluqin
Wa Lam Yudaanuhu Fi ‘Ilmiw-Wa La Karami.
Famablaghul ‘Ilmi Feehi Annahu Basharun
Wa Annahu Khairu Khalqillahi Kullihimi.
Thummar Rida An Abi Bakriw Wa An Umarin
Wa An Aliyyiw Wa An Usmana Zil Karami
Wal Aali Was-Sahbi Summat-Tabieena Lahum
Ahlit-Tuqa Wan-Nuqa Wal Hilmi Wal Karami
Ya Rabbi Bil Mustafa Ballig Maqaa-Sidana
Wag Fir Lana Ma Mada ya Waasi Al Karami
QASEEDA BURDAH
SHAREEF
7
MUSTAFA JAANE REHMAT
PE LAAKHON SALAAM
(Aala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan Alaihi Rehma)
Mustafa Jaane Rehmat Pe Laakhon Salaam
Shame Bazme Hidayat Pe Laakhon Salaam
Mehre Charkhe Nubuwwat Pe Raushan Durood
Gule Baaghe Risaalat Pe Laakhon Salaam
Shehre Yaare Iram Taajdaare Haram
Nau Bahaare Shafa’at Pe Laakhon Salaam
Shabe Asra Ke Dulha Pe Daayim Durood
Naushaye Bazme Jannat Pe Laakhon Salaam
Arsh Ki Zaibo Zeenat Pe Arshi Durood
Farsh Ki Teebo Nuzhat Pe Laakhon Salaam
Noore Aine Latafat Pe Altaf Durood
Zaibo Zaine Nazafat Pe Laakhon Salaam
Sarve Naaze Qidam Magze Raaze Hikam
Yakka Taaje Fazeelat Pe Laakhon Salaam
Nuqtaye Sirre Wahdat Pe Yakta Durood
Markaze Daure Kasrat Pe Laakhon Salaam
Saahibe Raj’ate Shamso Shaq ul Qamar q
Naaibe Daste Qudrat Pe Laakhon Salaam
Jiske Zere Liwa Aadamo Man Siwa
Us Sazaye Siyadat Pe Laakhon Salaam
Arsh Ta Farsh Hai Jiske Zere Nagee(n)
Uski Qaahir Riyasat Pe Laakhon Salaam
Asle Har Boodo Behbood Takhme Wujood
Qasime Kanze Ne’mat Pe Laakhon Salaam
8
Fathe Baabe Nubuwwat Pe Behad Durood
Khatme Daure Risalat Pe Laakhon Salaam
Sharqe Anwaare Qudrat Pe Noorie Durood
Fatqe Azhaare Qurbat Pe Laakhon Salaam
Be Saheemo Qaseemo Adeelo Maseel
Jauhare Farde Izzat Pe Laakhon Salaam
Sirre Ghaibe Hidaayat Pe Ghaibi Durood
Itre Jaibe Nihaayat Pe Laakhon Salaam
Maahe Laahoote Khalwat Pe Laakhon Durood
Shaahe Naasoote Jalwat Pe Laakhon Salaam
Kanze Har Bekaso Benawa Par Durood
Hirze Har Rafta Taaqat Pe Laakhon Salaam
Partawe Isme Zaate Ahad Par Durood
Nuskhaye Jaami-iyyat Pe Laakhon Salaam
Matlaye Har Sa’aadat Pe As’ad Durood
Maqtaye Har Siyaadat Pe Laakhon Salaam
Khalq Ke Daad-Ras Sab Ke Faryaad-Ras
Kahfe Roze Museebat Pe Laakhon Salaam
Mujhse Bekas Ki Daulat Pe Laakhon Durood
Mujhse Bebas Ki Quwwat Pe Laakhon Salaam
Shame Bazme Danahoo Me Gum Kun Ana
Sharhe Matne Huwiyyat Pe Laakhon Salaam
I n t i h a a y e D u y i I b t i d a a y e Y a k i
Jam’ay Tafreeqo Kasrat Pe Laakhon Salaam
Kasrate Baa’de Qillat Pe Aksar Durood
Izzate Baa’de Zillat Pe Laakhon Salaam
Rabbe Aa’la Ki Ne’mat Pe Aa’la Durood
Haq Ta’ala Ki Minnat Pe Laakhon Salaam
9
Hum Gareebo Ke Aaqa Pe Behad Durood
Hum Faqeero Ki Sarwat Pe Laakhon Salaam
Farhate Jaane Momin Pe Behad Durood
Gaize Qalbe Jalaalat Pe Laakhon Salaam
Sababe Har Sabab Muntahaye Talab
Illate Jumla Illat Pe Laakhon Salaam
Masdare Mazhariyyat Pe Azhar Durood
Mazhare Masdariyyat Pe Laakhon Salaam
Jiske Jalwe Se Murjhaayi Kaliyan Khile
Us Gule Paak Mambat Pe Laakhon Salaam
Qadde Be Saaya Ke Saaya e Marhamat
Zille Mamdoode Raafat Pe Laakhon Salaam
Taairaane Qudus Jis Ki Hain Kumriyaan
Us Sahi Sarve Qaamat Pe Laakhon Salaam
Wasf Jiska Hai Aainaye Haq Numa
Us Khuda Saaz Tal’at Pe Laakhon Salaam
Jiske Aage Sare Sarwaran Kham Rahen
Us Sare Taaje Rif’at Pe Laakhon Salaam
Woh Karam Ki Ghata Gesu e Mushq- Sa
Lakkaye Abre Raafat Pe Laakhon Salaam
Lailatul Qadr Me Matla-il Fajr Haq
Maang Ki Istiqaamat Pe Laakhon Salaam
Lakht Lakhte Dile Har Jigar Chaak Se
Shaana Karne Ki Haalat Pe Laakhon Salaam
Dooro Nazdeek Ke Sunne Waale Woh Kaan
Kaane Laa’le Karaamat Pe Laakhon Salaam
Chashmaye Mehar Mein Mauje Noore Jalaal
Us Rage Haashimiyyat Pe Laakhon Salaam
10
Jis Ke Maathe Shafa’at Ka Sehra Raha
Us Jabeene Sa’aadat Pe Laakhon Salaam
Jinke Sajde Ko Mehraabe Kaaba Jhuki
Un Bhawon Ki Latafat Pe Laakhon Salaam
Unki Aankhon Pe Woh Saaya Afgan Muzah
Jullaye Qasre Rehmat Pe Laakhon Salaam
Ashk Baariye Muzgaa(n) Pe Barse Durood
Silke Durre Shafa’at Pe Laakhon Salaam
Maaniye Qad-Ra-Aa Maqsade Ma-Ta-Ga
Nargise Baaghe Qudrat Pe Laakhon Salaam
Jis Taraf Uth Gayi Dam Mein Dam Aa Gaya
Us Nigaahe Inaayat Pe Laakhon Salaam
Neechee Aankhon Ki Sharmo Haya Par Durood
Unchi Beenee Ki Rif’at Pe Laakhon Salaam
Jinke Aage Charage Qamar Jhil Milaye
Un Izaaro Ki Tal’at Pe Laakhon Salaam
Unke Khud Ki Suhoolat Pe Behad Durood
Unke Qad Ki Rashaaqat Pe Laakhon Salaam
J i s S e T a r e e k D i l J a g m a g a n e L a g e
Us Chamak Waali Rangat Pe Laakhon Salaam
Chand Se Muh Pe Taabaa(n) Darakhshaa(n) Durood
Namak-Aagee(n) Sabahat Pe Laakhon Salaam
Shabnam e Baagh e Haq Ya’ni Rukh Ka Araq
Unki Sachchi Baraaqat Pe Laakhon Salaam
Khat Ki Girde Dahan Woh Dilaara Faban
Sabzaye Nahre Rehmat Pe Laakhon Salaam
Reeshe Khush Mo’tadil Marhame Raishe Dil
Haalaye Maahe Nudrat Pe Laakhon Salaam
11
Patli Patli Gule Quds Ki Pattiyaan
Un Labo Ki Nazaakat Pe Laakhon Salaam
Woh Dahan Jiski Har Baat Wahiye Khuda
Chashmaye Ilmo Hikmat Pe Laakhon Salaam
Jiske Paani Se Shadab Jaano Jinaa(n)
Us Dahan Ki Taraawat Pe Laakhon Salaam
Jis Se Khaari Koonye Sheeraye Jaa(n) Bane
Us Julaale Halawat Pe Laakhon Salaam
Woh Zabaan Jis Ko Sab Kun Ki Kunji Kahe
Us Ki Naa!z Hukumat Pe Laakhon Salaam
Uski Pyari Fasahat Pe Behad Durood
Uski Dilkash Balaagat Pe Laakhon Salaam
Uski Baaton Ki Lazzat Pe Laakhon Durood
Uske Khutbe Ki Haibat Pe Laakhon Salaam
Woh Dua Jis Ka Joban Bahare Qabool
Us Naseeme Ijaabat Pe Laakhon Salaam
Jinke Guchche Se Lachche Jhade Noor Ke
Un Sitaaron Ki Nuzhat Pe Laakhon Salaam
Jiski Taskee(n) Se Rote Huwe Has Pade(n)
Us Tabassum Ki Aadat Pe Laakhon Salaam
Jis Mein Nehre Hai Sheero Shakar Ki Rawaa(n)
Us Gale Ki Nazaarat Pe Laakhon Salaam
Dosh Bar Dosh Hai Jinse Shaane Sharaf
Aise Shaano Ki Shaukat Pe Laakhon Salaam
H a j a r e A s w a d e K a a b a y e J a a n o D i l
Yaa’ni Mohre Nubuwwat Pe Laakhon Salaam
R o o y e A a i n a y e I l m P u s h t e H u z o o r
Pushtiye Qasre Millat Pe Laakhon Salaam
12
Haath Jis Samt Uththa Gani Kar Diya
Mauje Behre Samaahat Pe Laakhon Salaam
Jisko Baare Do Aalam Ki Parwa Nahi
Aise Baazu Ki Quwwat Pe Laakhon Salaam
Kaaba e Deen o Imaa(n) Ke Dono Sutoo(n)
Saaidaine Risaalat Pe Laakhon Salaam
Jis Ke Har Khat Me Hain Mauje Noore Karam
Us Kafe Behre Himmat Pe Laakhon Salaam
Noor Ke Chashme Lehraaye(n) Dariyaa Bahe(n)
Ungliyon Ki Karaamat Pe Laakhon Salaam
Eid e Mushkil Kushaayi Ke Chamke Hilaal
Naakhoono Ki Basharat Pe Laakhon Salaam
Raf’aye Zikre Jalaalat Pe Arfaa’ Durood
Sharhe Sadre Sadarat Pe Laakhon Salaam
Dil Samajh Se Waraa Hai Magar Yun Kahoon
Gunchaye Raaze Wahdat Pe Laakhon Salaam
Kul Jahaa(n) Milk Aur Jau Ki Roti Gizaa
Us Shikam Ki Qanaa’at Pe Laakhon Salaam
Jo Ki Azme Shafa’at Pe Khinch Kar Bandhi
Us Kamar Ki Himayat Pe Laakhon Salaam
Ambiya Teh Kare Zaanoo Unke Huzoor
Zaanuo(n) Ki Wajahat Pe Laakhon Salaam
Saaqe Asle Qadam Shaakhe Nakhle Karam
Sham’e Raahe Isaabat Pe Laakhon Salaam
Khaayi Qur’aa(n) Ne Khake Guzar Ki Qasam
Us Kafe Paa Ki Hurmat Pe Laakhon Salaam
Jis Suhaani Ghadi Chamka Taiba Ka Chaand
Us Dil Afroz Saa’at Pe Laakhon Salaam
13
Pehle Sajde Pe Roze Azal Se Durood
Yaadgaariye Ummat Pe Laakhon Salaam
Zar’e Shaadabo Har Zar’e Pur-sheer Se
Barakaate Razaa’at Pe Laakhon Salaam
Bhaaiyon Ke Liye Tarke Pistaa(n) Kare(n)
Doodh Peeto(n) Ki Nisfat Pe Laakhon Salaam
Mehde Waala Ki Qismat Pe Sad-ha Durood
Burje Maahe Risaalat Pe Laakhon Salaam
Allah Allah Woh Bachpane Ki Faban
Us Khuda Bhaati Soorat Pe Laakhon Salaam
Uthte Booton Ki Nashwo Numaa Par Durood
Khilte Guncho(n) Ki Nakhat Pe Laakhon Salaam
Fazle Paidaaishi Par Humesha Durood
Khelne Se Karahat Pe Laakhon Salaam
A e ’ t i l a a y e J i b i l l a t P e A a l i D u r o o d
Ae’tidaale Taviyyat Pe Laakhon Salaam
Be Banawat Ada Par Hazaaro Durood
Be Takalluf Malaahat Pe Laakhon Salaam
Bheene Bheene Mehak Par Mehakti Durood
Pyari Pyari Nafasat Pe Laakhon Salaam
Meethi Meethi Ibaarat Pe Sheeri Durood
Achchi Achchi Isharat Pe Laakhon Salaam
Seedhi Seedhi Ravish Par Karodon Durood
Saadi Saadi Tabeeat Pe Laakhon Salaam
Roze Garmo Shabe Tee-ra wa Taar Mein
Koho Sehra Ki Khalwat Pe Laakhon Salaam
Jis Ke Ghere Mein Hain Ambiyaaon Malak
Us Jahangeer Bi’sat Pe Laakhon Salaam
14
Andhe Sheeshe Jhalajhal Damakne Lage
Jalwa Reziye Da’wat Pe Laakhon Salaam
Lutfe Bedaariye Shab Pe Behad Durood
Aalame Khwabe Raahat Pe Laakhon Salaam
Khanda e Subhe Ishrat Pe Noorie Durood
Girya e Abre Rehmat Pe Laakhon Salaam
Narmiye Khooye Leenat Pe Daaim Durood
Garmiye Shaane Satwat Pe Laakhon Salaam
Jiske Aage Khinchi Gardane(n) Jhuk Gayi
Us Khuda Daad Shaukat Pe Laakhon Salaam
Kisko Dekha Ye Moosa Se Pooche Koi
Aankh Wale Ki Himmat Pe Laakhon Salaam
Girde(n) Mah Daste Anjum Mein Rakhsha(n) Hilaal
Badr Ki Dafa e Zulmat Pe Laakhon Salaam
Shore Takbeer Se Thar Tharati Zamee(n)
Jumbishe Jaishe Nusrat Pe Laakhon Salaam
N a ’ r a h a y e D i l e r a a ( n ) S e B a n G o o n j t e
Gurrishe Kose Jur-at Pe Laakhon Salaam
Woh Chaqachaq Khanjar Se Aati Sada
Mustafa Teri Saulat Pe Laakhon Salaam
Unke Aage Woh Hamza Ki Jaa(n) Baaziyaa(n)
Shere Gurraane Satwat Pe Laakhon Salaam
Al Garaz Unke Har Ek Mu Pe Durood
Unki Har Khoo Wa Khaslat Pe Laakhon Salaam
Unke Har Naamo Nisbat Pe Naami Durood
Unke Har Waqt o Haalat Pe Laakhon Salaam
Unke Maula Ki Un Par Karoodon Durood
Unke Azhaabo Itrat Pe Laakhon Salaam
15
Paarhaaye Suhuf Gunch-Haaye Qudus
Ahle Baite Nubuwwat Pe Laakhon Salaam
Aabe Tatheer Se Jis Mein Paudhe Jame
Us Riyaaze Najaabat Pe Laakhon Salaam
Khoone Khairur-Rusul Se Hai Jin Ka Khameer
Unki Be Laus Teenat Pe Laakhon Salaam
Us Batoole Jigar Paara e Mustafa
Hajla Aaraaye Iffat Pe Laakhon Salaam
Jiska Aanchal Na Dekha Maho Mehar Ne
Us Ridaaye Nazaahat Pe Laakhon Salaam
S a y y i d a h Z a a h i r a T a y y i b a T a a h i r a
Jaane Ahmed Ki Raahat Pe Laakhon Salaam
Hasane Mujtaba Sayyidul Askhiyaa
Raakibe Doshe Izzat Pe Laakhon Salaam
Auje Mehre Huda Mauje Behre Nadaa
Rooh Roohe Sakhawat Pe Laakhon Salaam
Shehad Khware Luaabe Zabaane Nabi
Chaashni Geere Ismat Pe Laakhon Salaam
Us Shaheede Balaa Shaahe Gulgoo(n) Qabaa
Bekase Dashte Gurbat Pe Laakhon Salaam
Durre Durje Najaf Mehre Burje Sharaf
Range Ruye Shahadat Pe Laakhon Salaam
Ahle Islaam Ki Maa-daraane Shafeeq
Baanuwaane Tahaarat Pe Laakhon Salaam
Jilau Giyyaane Baitush-Sharaf Par Durood
Parwagiyyane Iffat Pe Laakhon Salaam
Siyyamaa Pehli Maa Kahfe Amno Amaa(n)
Haq Guzaare Rafaqat Pe Laakhon Salaam
16
Arsh Se Jis Pe Tasleem Naazil Hui
Us Saraaye Salaamat Pe Laakhon Salaam
Manzilun Min Qasabb Laa Nasabb Laa Sakhabb
Aise Kushk Ki Zeenat Pe Laakhon Salaam
Binte Siddique Aaraame Jaane Nabi
Us Hareeme Bara’at Pe Laakhon Salaam
Yaa’ni Hai Soora e Noor Jin Ki Gawah
Unki Pur Noor Soorat Pe Laakhon Salaam
Jin Mein Roohul Qudus Be Ijaazat Na Jaaye
Un Suraadiq Ki Ismat Pe Laakhon Salaam
Shama’e Taabaan e Kaashanaye Ijtihaad
Muftiye Chaar Millat Pe Laakhon Salaam
Jaa(n) Nisaarane Badro Uhad Par Durood
Haq Guzarane Bai-at Pe Laakhon Salaam
Woh Daso Jinko Jannat Ka Muzda Mila
Us Mubarak Jama’at Pe Laakhon Salaam
Khaas Us Saabiqe Saire Qurbe Khuda
Au-hade Kaamiliyyat Pe Laakhon Salaam
S a a y a e M u s t a f a M a a y a e I s t a f a
Izzo Naaze Khilafat Pe Laakhon Salaam
Yaa’ni Us Afzalul Khalq Ba’darrusul
Saani Yasnaine Hijrat Pe Laakhon Salaam
Asdaqus-sadiqeen Sayyidul Muttaqeen
Chashmo Goshe Vizaarat Pe Laakhon Salaam
Woh Umar Jis Ke Aa’da Pe Shaida Sakar
Us Khuda Dost Hazrat Pe Laakhon Salaam
Faariqe Haqq o Baatil Imaamul Huda
Taige Masloole Shiddat Pe Laakhon Salaam
17
Tarjumaane Nabi Hum Zabaane Nabi
Jaane Shaane Adalat Pe Laakhon Salaam
Zaahide Masjide Ahmadi Par Durood
Daulate Jaishe Usrat Pe Laakhon Salaam
Durre Mansoor Qur’aa(n) Ki Silke Bahi
Zauje Do Noor Iffat Pe Laakhon Salaam
Yaa’ni Usmaan Sahib Qameese Huda
Hulla Poshe Shahadat Pe Laakhon Salaam
Murtuza Shere Haq Ashja-Ul-Ashjaee(n)
Saaqiye Sheero Sharbat Pe Laakhon Salaam
Asle Nasle Safa Wajhe Wasle Khuda
Baabe Fasle Wilaayat Pe Laakhon Salaam
Awwalee(n) Daafe’ae Ahle Rafzo Khurooj
Chaarumee Rukne Millat Pe Laakhon Salaam
Shere Shamsheer Zan Shaahe Khaibar Shikan
Partawe Daste Qudrat Pe Laakhon Salaam
Maahiye Rafzo Tafzeelo Nasbo Khurooj
Haamiye Deeno Sunnat Pe Laakhon Salaam
Mominee(n) Peshe Fat-ho Pase Fatha Sab
Ahle Khairo Adalat Pe Laakhon Salaam
Jis Musalamaa Ne Dekha Unhe Ik Nazar
Us Nazar Ki Basaarat Pe Laakhon Salaam
Jin Ke Dushman Pe Laa’nat Hai Allah Ki
Un Sab Ahle Muhabbat Pe Laakhon Salaam
Baaqiye Saaqiyaane Sharaabe Tahoor
Zaine Ahle Ibaadat Pe Laakhon Salaam
Aur Jitne Hai Shehzaade Us Shah Ke
Un Sab Ahle Makaanat Pe Laakhon Salaam
18
Unki Baala Sharafat Pe Aala Durood
Unki Waala Siyadat Pe Laakhon Salaam
Shafayi Maalik Ahmed Imaame Haneef
Chaar Baaghe Imaamat Pe Laakhon Salaam
Kaamilaane Tareeqat Pe Kaamil Durood
Haamilaane Shariat Pe Laakhon Salaam
Gause Aazam Imaamuttuqa Wannuqaa
Jalwaye Shaane Qudrat Pe Laakhon Salaam
Qutbe Abdaalo Irshaado Rushdur-rashaad
Muhiyye Deeno Millat Pe Laakhon Salaam
Marde Khaile Tareeqat Pe Behad Durood
Farde Ahle Haqeeqat Pe Laakhon Salaam
Jis Ki Mimbar Huyi Gardane Auliyaa
Us Qadam Ki Karaamat Pe Laakhon Salaam
Shahe Barakaato Barakaate Pesheeniyaa(n)
Nau Bahaare Tareeqat Pe Laakhon Salaam
Sayyid Aale Muhammad Imaamur Rasheed
Gule Rauze Riyaazat Pe Laakhon Salaam
Hazrate Hamza Shere Khuda Wa Rasool
Zeenate Qaadiriyyat Pe Laakhon Pe Salaam
Naamo Kaamo Tano Jaano Haalo Maqaal
Sab Mein Achche Ki Soorat Pe Laakhon Salaam
Noore Jaa(n) Itr Majmuaa Aale Rasool
Mere Aaqa e Ne’mat Pe Laakhon Salaam
Zaibe Sajjaada Sajjaad Noorie Nihaad
Ahmade Noor Teenat Pe Laakhon Salaam
B e A z a a b o I t a a b o H i s a a b o K i t a a b
Taa Abad Ahle Sunnat Pe Laakhon Salaam
19
Tere In Doston Ke Tufail Aye Khuda
Bandaye Nange Khalqat Pe Laakhon Salaam
Mere Ustaad Maa Baap Bhai Behen
Ahle Wuldo Asheerat Pe Laakhon Salaam
Ek Mera Hi Rehmat Me Daa’wa Nahi
Shaah Ki Saari Ummat Pe Laakhon Salaam
Kaash Mehshar Mein Jab Unki Aamad Ho Aur
Bheje Sab Unki Shaukat Pe Laakhon Salaam
Mujhse Khidmat Ke Qudsi Kahe(n) Haa(n) Raza
Mustafa Jaane Rehmat Pe Laakhon Salaam
20
KAABE KE BADRUDDUJA
TUM PE KARODON DUROOD
Kaabe Ke Badrudduja Tum Pe Karodon Durood
Taiba Je Shamsudduha Tum Pe Karodon Durood
Shafa’ye Roze Jazaa Tum Pe Karodon Durood
Daafaye Jumla Balaa Tum Pe Karodon Durood
Jaano Dile As!ya Tum Pe Karodon Durood
Aabo Gile Ambiya Tum Pe Karodon Durood
Laaye(n) To Yeh Doosra Do Saraa Jis Ko Mila
Kushke Arsho Dana Tum Pe Karodon Durood
Aur Koi Ghaib Kya Tum Se Nihaa(n) Ho Bhala
Jab Na Khuda Hi Chupa Tum Pe Karodon Durood
Toor Pe Jo Sham’a Tha Chand Tha Saaeer Ka
Nayyire Faaraa(n) Huwa Tum Pe Karodon Durood
Dil Karo Thanda Mera Woh Kafe Pa Chaand Sa
Seene Pe Rakh Do Zara Tum Pe Karodon Durood
Zaat Hui Intikhaab Wasf Huye Laajawaab
Naam Huwa Mustafa Tum Pe Karodon Durood
Ghaayato Illat Sabab Bahre Jahaa(n) Tum Ho Sab
Tum Se Bana Tum Bina Tum Pe Karodon Durood
Tum Se Jahaa(n) Ki Hayaat Tum Se Jahaa(n) Ka Sabaat
Asl Se Hai Zil Bandha Tum Pe Karodon Durood
Magz Ho Tum Aur Post Aur Hain Baahar Ke Dost
Tum Ho Daroone Sara Tum Pe Karodon Durood
21
Kya Hain Jo Behad Hain Laus Tum To Ho Gais Aur Gaus
Cheente Mein Hoga Bhala Tum Pe Karodon Durood
Tum Ho Hafeezo Mugees Kya Hai Woh Dushman Khabees
Tum Ho To Phir Khauf Kya Tum Pe Karodon Durood
Woh Shabe Me’raj Raaj Woh Safe Mehshar Ka Taaj
Koi Bhi Aisa Huwa Tum Pe Karodon Durood
Jaano Jahaane Maseeh Daad Ki Dil Hai Jareeh
Nabze(n) Chooti Dum Chala Tum Pe Karodon Durood
Uf Woh Rahe Sang Laakh Aah Yeh Pa Shaakh Shaakh
Aye Mere Mushkil Kusha Tum Pe Karodon Durood
Tum Se Khula Baabe Jood Tum Se Hai Sab Ka Wujood
Tum Se Hai Sab Ki Baqaa Tum Pe Karodon Durood
Khasta Hoon Aur Tum Ma-aaz Basta Hoon Aur Tum Malaaz
Aage Jo Shah Ki Raza Tum Pe Karodon Durood
Garche Ho Behad Kusoor Tum Ho Afuwwo Ghafoor
Bakhsh Do Jurmo Khata Tum Pe Karodon Durood
Mehre Khuda Noor Noor Dil Hai Siyah Din Hai Door
Shab Mein Karo Chaandna Tum Pe Karodon Durood
Tum Ho Shaheedo Baseer Aur Main Gunah Par Dileer
Khol Do Chashme Hayaa Tum Pe Karodon Durood
Cheent Tumhari Sahar Chhoot Tumhari Qamar
Dil Mein Racha Do Ziya Tum Pe Karodon Durood
Tum Se Khuda Ka Zuhoor Usse Tumhara Zuhoor
Lim Hai Yeh Woh In Huwa Tum Pe Karodon Durood
Be Hunaro Be Tameez Kis Ko Huye Hai Azeez
E k T u m h a r e S i w a T u m P e K a r o d o n D u r o o d
A a s H a i K o i N a P a a s E k T u m h a r i H a i A a s
Bas Hai Yehi Aasra Tum Pe Karodon Durood
22
Taa-rame Aa’la Ka Arsh Jis Kafe Pa Ka Hai Farsh
Aankh Pe Rakh Do Zara Tum Pe Karodon Durood
Kehne Ko Hai Aamo Khaas Ek Tumhi(n) Ho Khalaas
Band Se Kar Do Riha Tum Pe Karodon Durood
Tum Ho Shifaaye Maraz Khalqe Khuda Khud Garaz
Khalq Ki Haajat Bhi Kya Tum Pe Karodon Durood
Aah Woh Raahe Siraat Bandon Ki Kitni Bisaat
Al Madad Aye Rehnuma Tum Pe Karodon Durood
Be Adabo Bad Lihaaz Kar Na Saka Kuch Hifaaz
Afw Pe Bhoola Raha Tum Pe Karodon Durood
Lo Tahe Daaman Ki Sham’a Jhonko Mein Hai Roze Jam’a
Aandhiyon Se Hashr Uthaa Tum Pe Karodon Durood
Seena K Hai Daag Daag Keh Do Kare Baag Baag e
Taiba Se Aa Kar Saba Tum Pe Karodon Durood
Gesu-o- Qad Laam Alif Kar Do Bala Munsarif
La Ke Tahe Taig ‘La’ Tum Pe Karodon Durood
Tum Ne Ba Range Falaq Jaibe Jahaa(n) Kar Ke Shaq
Noor Ka Tadka Kiya Tum Pe Karodon Durood
Naubate Dar Hain Falak Khaadime Dar Hain Malak
Tum Ho Jahaa(n) Baadshah Tum Pe Karodon Durood
Khilq Tumhari Jameel Khulq Tumhara Jaleel
Khalq Tumhari Gada Tum Pe Karodon Durood
Taiba Ke Maahe Tamaam Jumla Rusul Ke Imaam
Nau Shahe Mulke Khuda Tum Pe Karodon Durood
Tum Se Jahaa(n) Ka Nizaam Tum Pe Karodon Salaam
Tum Pe Karodon Sana Tum Pe Karodon Durood
Tum Ho Jawwaado Kareem Tum Ho Raufo Raheem
Bheek Ho Daata Ata Tum Pe Karodon Durood
23
Khalq Ke Haakim Ho Tum Rizq Ke Qaasim Ho Tum
Tum Se Mila Jo Mila Tum Pe Karodon Durood
Naafe’o Daafe’ Ho Tum Shaafe’ O Raafe’ Ho Tum
Tum Se Bas Afzoo(n) Khuda Tum Pe Karodon Durood
Shaa!yo Naa! Ho Tum Kaa!yo Waa! Ho Tum
Dard Ko Kardo Dawa Tum Pe Karodon Durood
Jaaye Na Jab Tak Ghulaam Khuld Hai Sab Par Haraam
Milk To Hai Aap Ka Tum Pe Karodon Durood
Mazhare Haq Ho Tumhi Muzhire Haq Ho Tumhi
Tum Mein Hai Zaahir Khuda Tum Pe Karodon Durood
Z o r D i – h e N a r a s a a ( n ) T a k y a G a h e B e k a s a a ( n )
Baadshahe Maa Waraa Tum Pe Karodon Durood
Barse Karam Ki Bharan Phoolen Ni’am Ke Chaman
Aisi Chala Do Hawa Tum Pe Karodon Durood
Ik Taraf Aa’daaye Dee(n) Ek Taraf Haasidee(n)
Banda Hai Tanha Shaha Tum Pe Karodon Durood
Kyun Kahoo Bekas Hoon Main Kyun Kahoo Bebas Hoon Main
Tum Ho Main Tum Par Fida Tum Pe Karodon Durood
Gande Nikamme Kameen Mehnge Ho(n) Kodee Ke Teen
Kaun Humein Paalta Tum Pe Karodon Durood
Baat Na Dar Ke Kahi(n) Ghaat Na Ghar Ke Kahi(n)
A i s e T u m h i P a a l n a T u m P e K a r o d o n D u r o o d
Aiso Ko Ne’mat Khilaao Doodh Ke Sharbat Pilaao
Aiso(n) Ko Aisi Gizaa Tum Pe Karodon Durood
Girne Ko Hoon Rok Lo Ghota Lage Haath Do
A i s o n P a r A i s i A t a T u m P e K a r o d o n D u r o o d
Apne Khatawaaron Ko Apne Hi Daaman Mein Lo
Kaun Kare Yeh Bhala Tum Pe Karodon Durood
24
Kar Ke Tumhare Gunaah Maange Tumhari Panaah
Tum Kaho Daaman Mein Aa Tum Pe Karodon Durood
Kar Do ‘Adoo Ko Tabaah Haasidon Ko Roo Baraah
Ahle Wilaa Ka Bhala Tum Pe Karodon Durood
Hum Ne Khata Mein Na Ki Tum Ne Ata Mein Na Ki
Koi Kami Sarwara Tum Pe Karodon Durood
Kaam Ghazab Ke Kiya Us Pe Hai Sarkaar Se
Bandon Ko Chashme Raza Tum Pe Karodon Durood
A a n k h A t a K i j i y e U s M e i n Z i y a D i j i y e
Jalwa Kareeb Aa Gaya Tum Pe Karodon Durood
Kaam Woh Le Lijiye Tum Ko Jo Raazi Kare
Theek Ho Naame Raza Tum Pe Karodon Durood
25
TUM PAR LAAKHON
SALAAM
Sab Se Aala Izzat Wale,
Ghalba-o-Qahr-o-Taaqat Wale
Hurmat Wale Karamat Waale
Tum Par Laakhon Salaam.
Aap Ka Chaha Rab Ka Chaha,
Rab Ka Chaha Aap Ka Chaha
Rab Se Aisi Chahat Waale
Tum Par Laakhon Salaam.
Arshe Ulaa Par Rab Ne Bulaya,
Apna Jalwaye Khaas Dikhaya
Khalwat Waale Jalwat Waale
Tum Par Laakhon Salaam.
De Diye Tum Ko Apne Khazaane
Rabb e Izzat Rabb e Ulaa Ne
Dono Jahaa(n) Ki Ne’mat Waale
Tum Par Laakhon Salaam
Soorat e Aqdas Se Haq Zaahir
Kalma Padhte Dekh Ke Kaa!r
Aye Haqqani Soorat Waale
Tum Par Laakhon Salaam
Aap Ka Saaya Kaise Hota
Aap Hai Noore Haq Ka Saaya
Zille Rehmat Tal’at Waale
Tum Par Laakhon Salaam
(Mufti e Aazam e Hind Hazrat Abdul Mustafa
Raza Khan Alaihir Rehma)
26
Aap Ka Dam Hai Farsh Ki Nuzhat
Aur Qadam Hai Arsh Ki Zeenat
Husn o Jamaal o Lataafat Waale
T u m P a r L a a k h o n S a l a a m
R a b K e P y a r e R a j d u l h a r e ,
Hum Hai Tumhare Tum Ho Humare
Aye Daamaan-e-Rehmat Waale
T u m P a r L a a k h o n S a l a a m .
Khwaab Mein Jalwa Apna Dikhao
Noorie Ko Tum Noorie Banao
Aye Chamkeeli Rangat Waale
T u m P a r L a a k h o n S a l a a m
27
AYE DEEN E HAQ KE REHBAR
TUM PAR SALAAM HAR DAM
Aye Deen e Haq Ke Rehbar Tum Par Salaam Har Dam
Mere Sha!’ye Mehshar Tum Par Salaam Har Dam
Is Bekas o Hazee Par Jo Kuch Guzar Rahi Hain
Zaahir Hai Sab Wo Tum Par Tum Par Salaam Har Dam
Duniya o Aakhirat Mein Jab Mai Rahu Salaamat
Pyaare Padhu Na Kyun Kar Tum Par Salaam Har Dam
Banda Tumhare Dar Ka Aafat Mein Mubtala Hain
Rehme Habeeb e Daawar Tum Par Salaam Har Dam
L i l l a h A b H a m a r i F a r i y a d K o P o h o c h i y e
Behad Hai Haal Abtar Tum Par Salaam Har Dam
Jallaade Nafse Bad Se Dije Mujhe Rihayi
Ab Hai Gale Pe Khanjar Tum Par Salaam Har Dam
Koyi Nahi Hai Mera Main Kis Se Daad Chahoon
Sultaan e Banda Parwar Tum Par Salaam Har Dam
Bulwa Ke Apne Dar Par Ab Mujh Ko Dije Izzat
Phirta Hu Khwar Dar Dar Tum Par Salaam Har Dam
Koi Nahi Hamara Ham Kis Ke Dar Pe Jaayen
Aye Bekason Ke Yaawar Tum Par Salaam Har Dam
Mohtaaj Se Tumhare Karte Hain Sab Kanara
Bas Ik Tumhi Ho Yaawar Tum Par Salaam Har Dam
Apne Gada e Dar Ki Lije Khabar Khudara
Kije Karam Hasan Par Tum Par Salaam Har Dam
28
Shehenshahe Sukhan Ustade Zaman Hazrat Allama
Hasan Raza Khan Alaihir Rehma
MERE ALLAH KE NIGAAR
SALAAM
Mere Allah Ke Nigaar Salaam
Daste Qudrat Ki Shahkaar Salaam
Dono Aalam Ke Tajdaar Salaam
Jaane Har Jaano Jaandaar Salaam
Nikhate Har Chaman Hazaar Salaam
Jaane Har Bulbule Hazaar Salaam
Khaake Taiba Bane Meri Hasti
Arz Karta Hai Khaaksaar Salaam
Phir Madine Mein Kab Bulaoge
Tum Se Kehta Hai Intezaar Salaam
Khuld Kehti Hai Yoon Madine Se
Tujh Pe Aye Khuld Ki Bahaar Salaam
Apni Ulfat Ka Aisa Jaam Pila
Jiska Badhta Rahe Khumaar Salaam
Darde Ulfat Mein De Mazaa Aisa
Dil Na Paaye Kabhi Karaar Salaam
Teri Khatir Zaleel Hona Hai
Meri Izzat Mere Waqaar Salaam
Apne Akhtar Ka Lo Salaam Shaha
Tum Pe Aye Jaan Aye Karaar Salaam
Huzoor Tajushshariah Hazrat Mufti
Akhtar Raza Khan Qadri Azhari Alaihir Rehma
29
YA SHAFEE’ AL WARA
SALAAMUN ‘ALAIK
Ya Shafee ‘al Wara Salaamun ‘Alaik
Ya Nabi yal Huda Salaamun ‘Alaik
Khatamul Ambiya Salaamun ‘Alaik
Sayyidal As!ya Salaamun ‘Alaik
Ahmadu Laisa Mithluka Ahadun
Marhaba Marhaba Salaamun ‘Alaik
Aa’zamul Khalqi Ashrafush Shurafaa
Afdhalul Ambiya Salaamun ‘Alaik
Mahbatul Wahyi Manzalil Qur’an
Sahibal Ih’tida Salaamun ‘Alaik
Kushifat Minka Dhulmatul Dhulama
Anta Badruddujaa Salaamun ‘Alaik
Tal’at Minka Kawkabul Irfan
Anta Shamsudduha Salaamun ‘Alaik
Lailat Asra Bihi Qalatil Ambiya
Marhaba Marhaba Salaamun ‘Alaik
Maqsudi Ya Habeebi Laisa Siwak,
Anta Maqsuduna Salaamun ‘Alaik
Innaka Maqsadi wa Maljaaee
Innaka Mudda’aa Salaamun ‘Alaik
Sayyidi Ya Habeebi Maulaee
Laka Roohi Fida Salaamun ‘Alaik
(Hazrat Sayed Shah Barkatullah Ishqi Alaihir Rehma)
30
Sayyidi Ya Habeebi Maulaee
Laka Qalbi Fida Salaamun ‘Alaik
Waajibul Hubbuka Alal Makhlook
Ya Habeebal Ula Salaamun ‘Alaik
Matlabi Ya Habeebi Laisa Siwak
Anta Matloobuna Salaamun ‘Alaik
Ishfa Lana Ya Habeebi Yaumal Jaza
Anta Sha!una Salaamun ‘Alaik
S a l a w a a t u l l a h i A l a l M u s t a f a
Afzalul Ambiya Salaamun ‘Alaik
Jud Alaina Bi Gausinal Jeeli
Jadda Gausulwara Salaamun Alaik
Haaza Awwalu Ghulamuka Ya Sayyidi
Minhum Ya Mustafa Salaamun ‘Alaik
Haaza Qaulu Ghulamika Ishqi
Minhu Ya Mustafa Salaamun Alaik
31
AYE SHEHENSHAH E MADINA
ASSALAATO WAS SALAAM
Aye Shahenshah-e-Madina Assalaato Wassalaam
Zeenate Arshe Mualla Assalaato Wassalaam
But Shikan Aaya Ye Keh Kar Sar Ke Bal But Gir Pade
Jhoom Kar Kehta Tha Kaaba Assalaatu Wassalaam
Rabbi Habli Ummati Kehte Huwe Paida Huwe
Haq Ne Farmaya Ke Bakhsha Assalaatu Wassalaam
Gunche Chatke Phool Mehke Cheh-Chahaayi Bulbule
Gul Khila Baaghe Ahad Ka Asssalaatu Wassalaam
Raushni Me Aamina Ne Jin Ki Dekha Mulke Shaam
Wah Wah Kya Chaand Nikla Assalaatu Wassalaam
Sar Jhuka Kar Ba Adab Ishqe Rasoolallah Mein
Keh Raha Hai Har Sitaara Assalaato Wassalaam
Mo’mino Padhthe Raho Tum Apne Aaqa Par Durood
Hai Farishto Ka Wazeefa Assalaato Wassalaam
Dast Basta Sab Farishte Padhte Hai Un Par Durood
Kyun Na Ho Phir Wird Apna Assalaato Wassalaam
Sar Kalam Kardo Mera Ya Kaat Lo Meri Zabaan
Meri Nas Nas Mein Basa Hai Assalaato Wassalaam
Jab Firishtay Qabr Mein Jalwa Dhikhaye Aap Ka
Ho Zabaan Par Pyaare Aaqa Assalaato Wassalaam
Mai Woh Sunni Hu Jameel-e-Qadri Marne Ke Baad
Mera Laasha Bhi Kahega Assalaato Wassalaam
(Maddahe Habeeb Hazrat
Jameel ur Rehmaan Qadri Alaihir Rehma)
32
MAZHARE SIRRE WAHDAT
PE LAAKHON SALAAM
Mazhare Sirre Wahdat Pe Laakhon Salaam
Mambaye Har Fazeelat Pe Laakhon Salaam
Sadre Bazme Nabuwwat Pe Laakhon Salaam
Mustafa Jaane Rehmat Pe Laakhon Salaam
Sham’e Bazme Hidaayat Pe Laakhon Salaam
Taajdaare Shafa’at Pe Raushan Durood
Us Saraapa Hidaayat Pe Raushan Durood
Behre Joodo Sakhawat Pe Raushan Durood
Mehre Charkhe Nabuwwat Pe Raushan Durood
Gule Baaghe Risaalat Pe Laakhon Salaam
Baa’ise Khalqe Kul Sarware Mohtaram
Markaze Ilm o Iklaaq o Hilm o Hikam
Sayyade Ambiya Sarwe Baaghe Karam
Shehre Yaare Iram Taajdaare Haram
Nau Bahaare Shafa’at Pe Laakhon Salaam
Dono Aalam Ke Aaqa Pe Daayim Durood
Be Panaaho Ke Mawaa Pe Daayim Durood
Shafaye Roze Uqba Pe Daayim Durood
Shabe Asra Ke Dulha Pe Daayim Durood
Nausha e Bazme Jannat Pe Laakhon Salaam
Jhuk Gaye Jis Ke Qadmon Pe Shaahon Ke Sar
Jis Ki khaatir Khule Aasmanon ke Dar
Arsh Par Jo Huwe Shaan Se Jalwagar
Saahibe Raj’ate Shams o Shaqqul Qamar
Naaibe Daste Qudrat Pe Laakhon Salaam
Noor Se Jis Ke Hai Khalq Ki Ibteda
Z a a t W a a l i R i s a a l a t K i H a i I n t e h a
Rehmate Aalamee(n) Wasf Jis Ka Huwa
Jis Ke Zere Liwa Aadam o Man Siwa
Us Sazaaye Sayaadat Pe Laakhon Salaam
(Tazmeen)
33
Sayyade Awalee(n) Sayyade Aakhiree(n)
Saadiq o w’ad Mehboob e Haq o Yaqee(n)
Sarware Ambiya Khatimul Mursalee(n)
Arsh Ta Farsh Hai Jis Ke Zere Nagee(n)
Uski Qaahir Riyaasat Pe Laakhon Salaam
Hashr Mein Jis Ko Haasil Hui Dast-ras
B e b a s i P a r K i s i K a N a h i A a j B a s
Bebason Ke Liye Zaate Waala Hai Kas
Khalq Ke Daad-ras Sab Ke Fariyaad-ras
Kahfe Roze Museebat Pe Laakhon Salaam
Ne’mate Deen o Duniya Ki Jis Se Mili
Zulmate Jin Se Qufr o Tagiyaa(n) Ki Miti
Amn Ki Jis Ke Sadqe Hawaye Chali
Jis Ke Jalwe Se Murjhayi Kaliyan Khili
Us Gule Paak e Mambat Pe Laakhon Salaam
Jis Ka Roo e Mubarak Hua Wad-duha
Jis Ke Dandaa(n) Se Wash Shams Hai Ziya
Jis Ke Gesu Pe Wal Lail Saadiq Hua
Wasf Jis Ka Hai Aainaye Haq Numa
Us Khuda Saaz Tal’at Pe Laakhon Salaam
Jis Ki Haibat Se But Aundhe Muh Gir Padhe
Jis Ke Farmaan Par Ped Kalma Padhe
Jaanwar Jis Ke Qadmon Pe Sajda Kare
Jis Ke Aage Sar e Sarwara Kham Rahe
Us Sar e Taaje Rif’at Pe Laakhon Salaam
Nafsi Nafsi Jis Ka Jis Dam Ho Har Simt Daur
Bebasi Par Har Ek Apni Karta Ho Gaur
Dast e Rehmat Pe Leke Shafa’at Ka Taur
Kaash Mehshar Mein Jab Unki Aamad Ho Aur
Bheje Sab Unki Shaukat Pe Laakhon Salaam
Tu Bhi Burhaan Ho Shaykh Ka Humnawa
Eid ul Islaam Ke Saath Us Jaa Khada
Jis Ki Nisbat Mere Shaykh Ne Ye Kaha
Mujhse Khidmat Ke Qudsi Kahe Haan Raza
Mustafa Jaane Rehmat Pe Laakhon Salaam
34
SAAHIBE TAAJE IZZAT
PE LAAKHON SALAAM
MUSTAFA JAANE REHMAT PE LAAKHON SALAAM – TAZMEEN
Saahibe Taaje Izzat Pe Laakhon Salaam
Waaqife Raaze Fitrat Pe Laakhon Salaam
Qasime Kanze Ne’mat Pe Laakhon Salaam
Mustafa Jaane Rehmat Pe Laakhon Salaam
Sham’e Bazme Hidaayat Pe Laakhon Salaam
Jisko Bechain Rakhta Tha Ummat Ka Gham
Nek o Bad Par Raha Jiska Yaksa Karam
Woh Habeeb e Khuda Woh Shafee’ e Umam
Shehre Yaare Iram Tajdaar e Haram
Nau Bahaar e Shafa’at Pe Laakhon Salaam
Sarware Do Jahaa(n) Shaahe Jinn o Bashar
Jiski Chaukhat Pe Jhukte Hain Shaahon Ke Sar
Abde Khaaliq Magar Khalq Ka Taajwar
Saahibe Raj’ate Shams wa Shaqqul Qamar
Naaibe Daste Qudrat Pe Laakhon Salaam
Woh Khuda wande Aqleeme Jood o Sakha
Haadiye Ins o Jaan Shaah Har Do Saraa
Sar Bar Aawarda e Halqa e Ambiya
Jis ke Zere Liwa Aadam o Man Siwa
Us Sazaa e Siyaadat Pe Laakhon Salaam
Ahde Ti$i Mein woh Dilbarana Chalan
Dilsitaa(n) Khamoshi Mo’jizaana Sukhan
Husn Mein Dilkashee Chaal Mein Baankpan
Allah Allah Woh Bachpane Ki Phaban
Us Khuda Bhaatee Soorat Pe Laakhon Salaam
Surmagee Aankh Maazaagh Ki Raazdaa(n)
Halqaye Zulf Ummat Ka Darul Amaa(n)
Haath Fayyaz Uqda Kusha Ungliyan
Patli Patli Gule Quds Ki Pattiyaa(n)
Un Labon Ki Nazakat Pe Laakhon Salaam
35
Noor Afsha Hua Jab Woh Bat-ha Ka Chand
Dekhne Aaye Sab Roo e Zeba Ka Chand
Aasmaa(n) Par Pada Maand Duniya Ka Chand
Jis Suhani Ghadi Chamka Taiba Ka Chand
Us Dil Afroz Saa’at Pe Laakhon Salaam
Jis Ghadi Yaad Baab e Haram Aa Gaya
Soze Furqat Se Aankhon Mein Nam Aa Gaya
Mauj Mein Jab Woh Eesa Hasham Aa Gaya
Jis taraf Uth Gayi Dam Mein Dam Aa Gaya
Us Nigaahe Inaayat Pe Laakhon Salaam
Ranje Tanhaayi Tanha Se Pooche Koi
Darde Shabbir Zahra Se Pooche Koi
Teh Mein Kya Hai Ye Dariya Se Pooche Koi
Kis Ko Dekha Ye Moosa Se Pooche Koi
Aankh Walon Ki Himmat Pe Laakhon Salaam
Jiski Taqdees Ka Rang Gehra Raha
Jiske Dar Par Farishton Ka Pehra Raha
Mag!rat Ki Sanad Jis Ka Chehra Raha
Jis Ke Maathe Shafa’at Ka Pehra Raha
Us Jabeen e Sa’adat Pe Laakhon Salaam
Bandagi Jis Ke Sadqe Thikaane Lage
Jis Ke Dekhe Khuda Yaad Aane Lage
Jis Se Rote Hue Muskuraane Lage
Jis Se Taareek Dil Jagmagaane Lage
Us Chamak Wali Rangat Pe Laakhon Salaam
Roo e Raushan Pe Padti Nazar Ki Qasam
Aamina Ke Chamakte Qamar Ki Qasam
Mujh Ko Sarkaar Ke Sange Dar Ki Qasam
Khaayi Qur’a(n) Ne Khaake Guzar Ki Qasam
Us Kafe Paa Ki Hurmat Pe Laakhon Salaam
Jis Ka Haami Khuda wande Aalam Raha
Fateh Ka Jiske Haathon Mein Parcham Raha
Jis Ka Rutba Jahaan Mein Musallam Raha
Jis Ke Aage Sare Sarwara(n) Kham Raha
Us Sar e Taaj e Rif’at Pe Laakhon Salaam
36
Jis Ke Aage Salaateen e Aalam Jhukein
Jis Ke Ik Bol Par Ahle Dil Mar Mitein
Jis Ki Ta’meel e Irshad Qudsi Karein
Woh Zabaa(n) Jis Ko Sab Kun Ki Kunji Kahein
Uski Naa!z Hukumat Pe Laakhon Salaam
Waqt e Deedar Chashm e Tamaasha Jhuki
Dekh Kar Jalwa Gar Mauje Dariya Jhuki
Jis Ki Aamad Pe Deeware Kisraa Jhuki
Jis Ke Sajde Ko Mehraabe Kaaba Jhuki
Un Bhawon Ki Lataafat Pe Laakhon Salaam
Khair e Duniya Nahi Khair e Uqba Nahi
Uske Daste Tasarruf Mein Kya Kya Nahi
Jiski Taaqat Ka Koi Thikaana Nahi
Jisko Baar e Do Aalam Ki Parwa Nahi
Aise Baaz Ki Quwwat Pe Laakhon Salaam u
Kaun Hai Wo Karam Jis Pe Unka Nahi
Sab Ke Hain Sirf Mere Hi Aaqa Nahi
Ek Mai Hi Ghulam Unka Tanha Nahi
Ek Mera Hi Rehmat Mein Daawa Nahi
Shah Ki Saari Ummat Pe Laakhon Salaam
Khwaja Taash e Naseer e Sana Khwa(n) Raza
Woh Baraily Ke Ahmad Raza Kha(n) Raza
Laake Saf Mein Mujhe Unke Darbaa(n) Raza
Mujh Se Khidmat Ke Qudsi Kahe Haa Raza
Mustafa Jaane Rehmat Pe Laakhon Salaam
37
DARD E DIL NAAM LENE
SE HOTA HAI KAM
MUSTAFA JAANE REHMAT PE LAAKHON SALAAM (TAZMEEN)
Jisne Hum ko Diya Hai Khuda Ka Payaam
Jiska Aala Hai Rutba Hai Aala Maqaam
Jinke Sadqe Mein Hai Ye Zamee(n) Aasmaan
Jinki Tareef Mein Hai Ye Saara Qur’aan
Saare Nabiyo Mein Aala Hai Jinka Maqaam
Kyun Na Un Par Padhe Jhoom Kar Hum Salaam
Mustafa Jaane Rehmat Pe Laakhon Salaam
Sham’e Bazme Hidaayat Pe Laakhon Salaam
Dard e Dil Naam Lene Se Hota Hai Kam
Isliye Naam Aaqa Ka Lete Hai Hum
Jhoom Kar Likh Raha Hai Raza Ka Kalam
Shehre Yaare Iram Taajdaare Haram
Nau Bahaare Shafa’at Pe Laakhon Salaam
Aaya Saa’il To Muh Ka Niwaala Diya
N a z a r A l t a f D a a l i G a n i K a r D i y a
Anpe Nana Ka Wada Wafaa Kar Diya
Ghar Ka Ghar Sab Supurde Khuda Kar Diya
Us Hussain Ibne Haidar Pe Lakho Salam
Jinki Maa Fatima Aur Hai Nana Rasool
Kitni Pakeeza Hai Unke Qadmo Ki Dhool
Marhaba Marhaba Wo Hai Aale Rasool
Kitne Mehke Huwe Hai Madine Ke Phool
Karbala Teri Qismat Pe Laakhon Salaam
Kitni Arfaa Hai Shaane Habeebe Khuda
M a a l i k e D o S a r a a S a r w a r e A m b i y a
Muqtadi Jis Ke Sab, Sab Ka Jo Muqtada
Jis Ke Zere Liwa Aadam o Mansiva
Us Sazaa e Siyaadat Pe Laakhon Salaam
38
Dooba Suraj Kisi Ne Bhi Phera Nahi
Koi Misle Yadullah Bhi Dekha Nahi
Jiski Taaqat Ka Koi Thikaana Nahi
Jisko Baare Do Aalam Ki Parvah Nahi
Aise Baazu Ki Quwwat Pe Laakhon Salaam
Kamli Wale Ki Jisko Rafaaqat Mili
Sab Sahaba Ki Jisko Imamat Mili
Sabse Pahle Jise Hai Khilafat Mili
Baad Nabiyon Ke Jisko Hai Izzat Mili
Uske Taaje Khilafat Pe Laakhon Salaam
Deen o Duniya Diye Maal Aur Zar Diya
Hoor o Ghilman Diye Khuld o Kausar Diya
Daaman e Maqsad e Zindagi Bhar Diya
Hath Jis Samt Utha Ghani Kar Diya
Mauje Behre Samaahat Pe Laakhon Salaam
Jinki Azmat Pe Sadqe Waqaare Haram
Jinki Zulfon Pe Sadqe Bahaare Haram
Nau Shaa e Bazme Parwar Digaare Haram
Shahre Yaare Iram Taajdaare Haram
Nau Bahaar e Shafa’at Pe Laakhon Salaam
Jinke Chehre Pe Jalwon Ka Pehra Raha
Najm o Taha Ke Jhurmut Mein Chehra Raha
Husn Jiska Har Ek Shab Me Gehra Raha
Jiske Mathe Shafa’at Ka Sehra Raha
Us Jabeen e Sa’aadat Pe Laakhon Salaam
Laa Makaa(n) Ki Zamee(n) Behre Kaaba Jhuki
Rif’at e Manzil e Arsh e Aala Jhuki
Azmat e Qibla e Deen o Duniya Jhuki
Jinke Sajde Ko Mehraabe Kaaba Jhuki
Un Bhawon Ki Latafat Pe Laakhon Salaam
Pad Gayi Jis Pe Mehshar Mein Bakhsha Gaya
Dekha Jis Samt Abre Karam Chaa Gaya
Rukh Jidhar Ho Gaya Zingadi Pa Gaya
Jis Taraf Uth Gayi Dam Mein Dam Aa Gaya
Us Nigahe Inaayat Pe Laakhon Salaam
39
Jis Ke Jalwe Zamaane Pe Chaane Lage
Jiski Zou Se Andhere Thikaane Lage
Jis Se Zulmat Kade Noor Paane Lage
Jis Se Tareek Dil Jagmagane Lage
Us Chamak Wali Rangat Pe Laakhon Salaam
Kuljume Husn Ki Jinko Shakhe Kahen
Jin Se Sote Latafat Ke Futa Karen
Jin Se Nahre Tajalli Ki Jaari Rahen
Noor Ke Chashme Lehraaye Dariya Bahen
Ungliyon Ki Karamat Pe Laakhon Salaam
Kaaba e Deen o Din Yaani Naksh e Qadam
Jinki Azmat Nahi Arshe Aazam Se Kam
Har Bulandi Ka Sar Ho Gaya Jis Pe Kham
Khaayi Qur’aa(n) Ne Khake Guzar Ki Qasam
Us Kafe Paa Ki Hurmat Pe Laakhon Salaam
Main Bhi Hu Ik Gada e Dar e Auliya
Main Bhi Hu ik Sage Kuye Gousul Wara
Main Bhi Hu Zarra e Kucha e Mustafa
T e r e U n d o s t o K e T u f a i l e K h u d a
Bandaye Nange Khalqat Pe Laakhon Salaam
Abre Jood o Ataa Kis Pe Barsa Nahin
Tera Lutf o Karam Kis Pe Dekha Nahin
Kis Jagah Aur Kahan Tera Jalwa Nahin
Ek Mera Hi Rehmat Pe Daawa Nahin
Shah Ki Saari Ummat Pe Lakhon Salaam
Aftaab e Qayamat Ke Badle Hon Taur
Jab Ke Ho Har Taraf Nafsi, Nafsi Ka Daur
Jab Kisi Ko Na Ho Fursat o Fikr o Gaur
Kaash Mehshar Mein Jab Unki Aamad Ho Aur
Bhejein Sab Unki Shaukat Pe Laakhon Salaam
Murshidi Shah Ahmad Raza Khan Raza
F a i z i y a b e K a m a a l a t e H a s s a n R a z a
Saath Akhtar Bhi Ho Zam Zama Khan Raza
Mujh se Khidmat Ke Qudsi Kahe Ha Raza
Mustafa Jane Rehmat Pe Laakhon Salaam
Shamye Bazme Hidayat Pe Laakhon Salaam
40
MUSTAFA SHAAN E QUDRAT
PE LAAKHON SALAAM
(HAZRAT PEER SAYED NASEERUDDIN NASEER
ALAIHIR REHMA)
Mustafa Shaan e Qudrat Pe Laakhon Salaam
Awwalee(n) Naqshe Khilqat Pe Laakhon Salaam
Meere Jaishe Rusul Ummi o Aqle Kul
Sadre Bazme Risaalat Pe Laakhon Salaam
Qaaile Wahdahu Laa Shareeka lahu
Maahiye Shirk o Bid’at Pe Laakhon Salaam
Chaake Dil Sil Gaya Aasraa Mil Gaya
Gardishe Chashme Rehmat Pe Laakhon Salaam
Girde Chehra Woh Ik Haalaye Tamkanat
Wad Duha Ki Sabaahat Pe Laakhon Salaam
Bheeni Bheeni Woh Khushboo e Zulfe Dota
Aisi Be Misl Nikhat Pe Laakhon Salaam
Aankh Ko De Gaya Zeena e Irtiqaa
Sabz Gumbad Ki Rif’at Pe Laakhon Salaam
Dast Ki Dastgeeri Pe Daayam Durood
Paawon Ki Istiqaamat Pe Laakhon Salaam
Bheed Mein Choom L Shaah Ki Jaaliyan i
Aye Nazar ! Teri Himmat Pe Laakhon Salaam
Woh Haleema Jo Hai Saaniye Aamina
Uske Lamhaate Khidmat Pe Laakhon Salaam
Az Azal Tere Mansab Pe Laakhon Durood
Ta Abad Teri Be’sat Pe Laakhon Salaam
41
Naqshe Paa Ke Nagee(n) Jin Ko Tarse Zamee(n)
Chaal Ki Zeb o Zeenat Pe Laakhon Salaam
Kis Ki Chaukhat Pe Tu De Raha Hai Sada
Aye Gadaa! Teri Qismat Pe Laakhon Salaam
Shaana e Aqdas e Shah Pe Behad Durood
Mohre Khatme Nubuwwat Pe Laakhon Salaam
H a u s l a D e n e A a y e g i J o Q a b r M e i n
Aisi Nadeeda Soorat pe Laakhon Salaam
Kho Gaya Kis Ka Husne Guzar Dekh Kar
Naqshe Paa! Teri Hairat Pe Laakhon Salaam
Unke Roop Aur Rangat Pe Rangee(n) Durood
Unki Shakl o Shabaahat Pe Laakhon Salaam
Gardishe Tham Gayi Meh!le Jam Gayi
Kamli Waale Ki Nisbat Pe Laakhon Salaam
Ek Do Teen Kya Laakhon Sar Kat Gaye
Unki Mansoos Izzat Pe Laakhon Salaam
Umr Bhar Gham Jo Ummat Ka Khaata Raha
Aise Gham khwaare Ummat Pe Laakhon Salaam
K a l K a r e g i J o S h o r e Q a y a m a t F a r o
Us Dil Aawaiz Qaamat Pe Laakhon Salaam
Jis Ko Paakar Haleema Ghani Ho Gayi
Aamina Teri Daulat Pe Laakhon Salaam
Dekhne Waali Aankhon Pe Paiham Durood
Markaze Deed Soorat Pe Laakhon Salaam
Unki Aamad Ka Sun Kar Jo Hoga Bapaa
Aisi Shore Qayaamat Pe Laakhon Salaam
Zainab o Murtaza Phir Hussain o Hasan
Aur Khatoone Jannat Pe Laakhon Salaam
42
Chaar Yaraane Hazrat Pe Har Dam Durood
Unke Daure Khilafat Pe Laakhon Salaam
Shaahe Bagdaad Gausul Wara Muhyidee(n)
Aabroo e Tareeqat Pe Laakhon Salaam
Kijiye Band Aankhen Naseer Aur Phir
Bhejiye Unki Soorat Pe Laakhon Salaam
43
SHAFAYE ROZE MEHSHAR
PE LAAKHON SALAAM
(SAYYED AALE RASOOL HASNAIN MIYA –
NAZMI ALAIHIR REHMA)
Shafaye Roze Mehshar Pe Laakhon Sal am a
Saqiye Hauze Kausar Pe Laakhon Salaam
Qasime Ne’mat o Malike Juz o Kul
Dono Aalam ke Sarwar Pe Laakhon Salaam
A r s h S e A a g h e J i s k i R a s a i H u i
Yani Mehboobe Dawar Pe Laakhon Salaam
Zulf o Rukhsar ki khaye Qur’a(n) Qasam
Mustafa Noori Paikar Pe Laakhon Salaam
Unke Rauze Ki Hurmat Pe Behad Durood
Unke Mehrab o Mimbar Pe Laakhon Salaam
Hashr Me Ummati Ummati Ki Sada
Is Shafaat Ke Tewar Pe Laakhon Salaam
Jiske Sadqe Mein Jannat ka Muzda Mila
Sajda e Yaume Mehshar Pe Laakhon Salaam
Naaze Sidqo Safa Fakhre Jood o Sakha
Yani Siddiq e Akbar Pe Laakhon Salaam
Hazrate Usma(n) Ki Sharmo Haya Par Darood
Ibne Khattab o Haider Pe Laakhon Salaam
Jiske Bete Imam Aur Shauhar Imam
Sarware Deen ki Dukhtar Pe Laakhon Salaam
Fakhre Aale Payambar Kahen Hum Jinhe
Yani Shabbir o Shabbar Pe Laakhon Salaam
44
Mazhare Shane Qudrat hai Ghausulwara
Maarifat ke Samandar Pe Laakhon Salaam
Khawaja e Khawjgaa(n) Deene Haq Ke Moin
Ist qamat ke Jauhar Pe Laakhon Salaam i
Shahe Barkat Ki Barkat Pe Behad Darood
Bahre Irfaa(n) Ke Ghauhar Pe Laakhon Salaam
Humko Sikhlai Achche Bure ki Tameez
Aala Hazrat Jaise Rehbar Pe Laakhon Salaam
A a s h i q e M u s t a f a J i b r e i l e A m e e n
Unke Noorani Sahpar Pe Laakhon Salaam
Ishqe Ahmed Me Nazmi Jo Sarshaar Ho
Uske Oonche Muqaddar Pe Laakhon Salaam
45
AYE SHAFI E UMAM TUM
PE BEHAD SALAAM
Aye Sha! e Umam Tum Pe Behad Salaam
Aye Jameel ush Shiyam Tum Pe Behad Salaam.
Jab Madine Ke Maahe Tamaam Aa Gaye
Ho Gaya Kaaba Kham Tum Pe Behad Salaam
La Makaa(n) k Makee(n) Aap Jab Hain Huwe
Arsh Zere Qadam Tum Pe Behad Salaam.
Fikr e Ummat Mein Lab Par Duaein Rahi
Aankh Rehti Thi Nam Tum Pe Behad Salaam.
Al Madad Ya Nabi Kehte Hi Ho Gaye صلى الله عليه وسلم
Door Ranj o Alam Tum Pe Behad Salaam.
Phir Madine Mein Hum ko Bula Lijiye
Aye Mere Mohtram Tum Pe Behad Salaam.
Lab Pe Jaari Ho Kalma Zabaa(n) Par Durood
Jab Bhi Nikle Ye Dum Tum Pe Behad Salaam
Gaus o Khwaja Raza Ke Tufail Aye Kareem
Rakhna Mera Bharam Tum Pe Behad Salaam.
Chahta Hain Raza Shakire Ghamzada
Keh Do Raazi Hain Hum Tum Pe Behad Salaam
46
Ha!z o Qari Hazrat Maulana
Muhammed Shakir Noorie Sahab Qibla
TAJDAARE HARAM AYE
SHEHENSHAH E DEEN
Tajdaare Haram Aye Shahenshahe Dee(n)
Tum Pe Har Dam Karodon Duroodo Salaam
Ho Nigahe Karam Hum Pe Sultaane Dee(n)
Tum pe Har Dam Karodon Duroodo Salaam
K o i H u s n e A m a l P a a s M e r e N a h i
Fas Na Jaaun Qayaamat Me Maula Kahi
Aye Sha!ye Umam Laaj Rakhna Tumhi
Tum Pe Har Dam Karodon Duroodo Salaam
Door Reh Kar Na Dam Toot Jaaye Kahi
Kaash Taiba Mein Aaye Mere Maahe Mubeen
Dafan Hone Ko Mil Jaaye Do Gaz Zameen
Tum Pe Har Dam Karodon Duroodo Salaam
Maut Ke Waqt Kar Do Nigaahe Karam
Kaash Is Shaan Se Ye Nikal Jaaye Dam
Sange Dar Par Tumhare Ho Meri Jabeen
Tum Pe Har Dam Karodon Duroodo Salaam
Phir Bulaalo Madine Me ‘Attaar’ Ko
Ye Tadapta Hai Taiba Ke Deedar Ko
K o i I s k e S i w a A a r z o o H i N a h i
Tum pe Har dam Karodon Duroodo Salaam
47
Abul Bilal Hazrat Maulana
Ilyas Attar Qadri Sahab Qibla
DUROOD TUM PAR
SALAAM TUM PAR
Tum Hi Ho Mehboob e Rabb e Akbar
Durood Tum Par Salaam Tum Par
Tum Hi To Ho Khatime Payambar
Durood Tum Par Salaam Tum Par
Bulalo Dar Par Mujhe Bhi Sarwar
Durood Tum Par Salaam Tum Par
Main Dekhu Gumbad Tumhara Aksar
Durood Tum Par Salaam Tum Par
Isi Tarha Zeest Ye Basar Ho
Ke Pesh e Taiba Ka Wo Safar Ho
Main Aau Jaau Madine Aksar
Durood Tum Par Salaam Tum Par
Mujhe Mile Jaam Ab Karam Ka
Rahe Tasawwur Tere Haram Ka
Main Mast Ho Jaau Jaam Peekar
Durood Tum Par Salaam Tum Par
Kabhi Ho Meri Zabaan Pe Naate
Kabhi Tumhare Karam Ki Baate
Kabhi To Dekhu Rukh e Munawwar
Durood Tum Par Salaam Tum Par
Tumhari Chaukhat Pe Dum Ye Toote
Khudara Mujhse Haram Na Choote
Padhunga Us Waqt Bhi Main Dar Par
Durood Tum Par Salaam Tum Par
48
Main Tum Pe Laakhon Durood Bheju
Main Tum Pe Laakhon Salaam Bheju
Sadaa Rahe Bas Yahi Zubaan Par
Durood Tum Par Salaam Tum Par
Hai Shaane Rif’at Teri Rafaana
Kare Tera Zikr Kya Zamaana
Hai Khalq Saari Teri Sana Gar
Durood Tum Par Salaam Tum Par
Karam Se Farmaaiye Ishaara
Ye Khasta Sayyed Bhi Hai Tumhara
Ke Pesh e Jaali Padhe Ye Aakar
Durood Tum Par Salaam Tum Par
49
AYE SABA MUSTAFA
SE KEH DENA
Aye Saba Mustafa Se Keh Dena
Gham Ke Maare Salaam Kehte Hai
Yaad Karte Hai Tum ko Shaam o Sahar
Be Sahaare Salaam Kehte Hai
Jab Muhammad Ka Naam Aata Hai صلى الله عليه وسلم
Rehmato Ka Payaam Aata Hai
Lab Humare Durood Padhte Hai
Dil Humaare Salaam Kehte Hai
A l l a h A l l a h H u z o o r K i B a a t e
Marhaba Rang o Noor Ki Baate
Chand Jin ki Balaaye Leta Hai
Aur Sitaare Salaam Kehte Hai
A l l a h A l l a h H u z o o r K e G e s u
Bheeni Bheeni Mehekti Woh Khushboo
Jin se Maa’moor Hai Fazaa Har Soo
Woh Nazaare Salaam Kehte Hai
Z i k r T h a A a k h r i M a h i n e K a
Tazkira Chid Gaya Madine Ka
Haajiyon Mustafa Se Keh Dena
Ghum Ke Maare Salaam Kehte Hai
Zaaire Taiba Tu Madine Mein
Pyare Aaqa Se Itna Keh Dena
A a p K i G a r d e R a a h K o A a q a
Be Sahaare Salaam Kehte Hai
50
KHAIRUL BASHAR PAR
LAAKHON SALAAM
Khairul Bashar Par Laakhon Salaam
Laakhon Darood Aur Laakhon Salaam
Jinno Malaaik Tere Ghulaam
Sab Se Siwa Hai Tera Muqaam
Yaseen O Taha Tere Hi Naam
Khairul Bashar Par Laakhon Salaam
Laakhon Darood Aur Laakhon Salaam
A a l a S e A a l a T e r a M u q a a m
Sab Ambiya Ka Tu Hai Imaam
Kul Auliya Hai Tere Ghulaam
Khairul Bashar Par Laakhon Salaam
Laakhon Darood Aur Laakhon Salaam
Arshe Baree Tak Charcha Tera
Shamso Qamar Hai Sadqa Tera
Yeh Maahe Kamil Husne Tamaam
Khairul Bashar Par Laakhon Salaam
Laakhon Darood Aur Laakhon Salaam
Sab Ko Mayassar Ho Ye Muqaam
Pahunche Madine Ban kar Ghulaam
Padhte Darood Aur Padhte Salaam
Khairul Bashar Par Laakhon Salaam
Laakhon Darood Aur Laakhon Salaam
51
I t n a K a r a m T o F a r m a a i y e
R a u z e P e S a b K o B u l w a a i y e
Haazir Yahaan Hai Jitne Ghulaam
Khairul Bashar Par Laakhon Salaam
Laakhon Darood Aur Laakhon Salaam
T e r i S a n a H a i M e r a N a s e e b
Qurbaan Tujh Par Jaane Adeeb
Tujh Par Tassaduq Aalam Tamaam
Khairul Bashar Par Laakhon Salaam
Laakhon Darood Aur Laakhon Salaam
52
AAQA LELO SALAAM
AB HUMARA
Chaand Ke Tukde Kiye, Pedon Ne Sajde Kiye,
Suraj Palat Aa Gaya, Ye Moujize Aapke
Saari Duniya Par Hai Aaqa Kabza Tumhara
A a q a L e l o S a l a a m A b H u m a r a … .
Noore Khuda Aap Hai, Shahe Huda Aap Hai
Aye Sarware Ambiya, Behre Sakha Aap Hai
Hai Ye Azmat Rab Ne Tum Par Qur’an Utaara
A a q a L e l o S a l a a m A b H u m a r a … .
Din Raat Rooti Hain Ye, Ummat Tumhare Liye
Ho Jaye Nazre Karam, Aaqa Humare Liye
Taiba Ki Un Galiyon Ka Kab Hoga Nazara
A a q a L e l o S a l a a m A b H u m a r a … .
Sadqe Mein Gausul Wara Sadqe Mein Khwaja Piya
Sadqe Mein Ahmad Raza Meri Wahi Ho Qazaa
Rooh Nikle Padhte Padhte Kalma Tumhara
A a q a L e l o S a l a a m A b H u m a r a … …
53
AYE HABEEB E
AHMAD E MUJTABA
Aye Habeeb e Ahmed e Mujtaba
Dil e Mubtala Ka Salaam Lo
Jo Wafaa Ki Raah Mein Kho Gaya
Usi Gum Shuda Ka Salaam Lo.
Main Talab Se Baaz Na Aaunga
Tu Karam Ka Haath Badhaye Ja
Jo Tere Karam Se Hai Aashna
U s i A a s h n a K a S a l a a m L o .
Tera Noor Ho Mere Seene Mein
Mile Lutf Mujh Ko Bhi Jeene Mein
Meri Haazri Ho Madine Mein
Meri Is Duaa Ka Salaam Lo
Koi Mar Raha Hai Bahisht Par
K o i C h a h a t a H a i N a j a a t k o
Mai Tujhi Ko Chahu Khuda Kare
Meri Is Dua ka Salaam Lo.
Wo Hussain Jisne Chidak Ke Khoo(n)
Chaman e Wafaa Ko Hara iya K
Usi Jaa(n) Nisaar Ka Waasta
Ke Har Ik Gadaa Ka Salaam Lo.
Tamaam Auliya Ke Buland Sar
Hai Qadam Pe Jinke Jhuke Huwe
Usi Pyaare Ghous Ka Waasta
Ke Har Ik Gadaa Ka Salaam Lo.
Yehi Roz O Shab Hai Dua Meri
Ke Maru To Tere Dayaar Mein
Yahi Mud-da’a e Hayaat Hai
I s i M u d – d a ‘ a K a S a l a a m L o
54
HO IMAMUL AMBIYA PAR DAM
BA DAM LAAKHON SALAAM
Ho Imamul Ambiya Par Dam Ba Dam Laakhon Salaam
Ho Muhammad Mustafa Par Dam Badam Laakhon Salaam
Chand Ke Tukde Kiye The Jis Nabi Ne Marhaba
Us Habeebe Kibriya Par Dam Ba Dam Laakhon Salaam
Jisne Sooraj Ko Ubhaara Doobne Ke Baad Bhi
Us Muhammad Mustafa Par Dam Ba Dam Laakhon Salaam
Jis Ne Jo Chaha Use Woh Kar Diya Tum Ne Ataa
Rehmate Rabbul ‘Ulaa Par Dam Ba Dam Laakhon Salaam
Ummati Hi Ummati Jisne Pukaara Har Jagah
Aise Pyaare Jaan!zaa Par Dam Ba Dam Laakhon Salaam
Jisne Murdon Ko Kiya Zinda Khuda Ke Huqm Se
Us Ghulaame Mustafa Par Dam Ba Dam Laakhon Salaam
Tere Chehre Ki Ziya Se Raushni Ghar Ghar Hui
Aise Noorie Rehnuma Par Dam Ba Dam Laakhon Salaam
Zulm Seh Kar Bhi Dua Ki Dushmano Ke Waaste
Aise Pyaare Mustafa Par Dam Ba Dam Laakhon Salaam
K h u d H i f a z a t B h i T e r i A l l a h F a r m a t a R a h a
Aap Jaise Ba Wafaa Par Dam Ba Dam Laakhon Salaam
Har Dua Jin Ki Quboole Aam Hoti Hi Rahi
Aise Honton Ki Dua Par Dam Ba Dam Laakhon Salaam
Tazkiya e Nafs Jisne Ilm o Hikmat Se Kiya
Us Hakeeme Ba Shafa Par Dam Ba Dam Laakhon Salaam
55
Sab Hayaa Karte Hai Jinse Woh Farishton Ka Nabi
Aise Pyaare Ba Hayaa Par Dam Ba Dam Laakhon Salaam
Haan Shafa’at Ka Humein Muzda Sunaya Aap Ne
Mominon Ke Rehnuma Par Dam Ba Dam Laakhon Salaam
56
MEHBOOBE KIBRIYA SE
MERA SALAAM KEHNA
Mehboobe Kibriya Se Mera Salaam Kehna
Sultane Ambiya Se Mera Salaam Kehna
Tujh Par Khuda Ki Rehmat Aye ‘Aazame Madina
Noore Muhammadi Se Raushan Ho Tera Seena
Jab Saahile Arab Par Pohche Tera Safeena
Us Waqt Sar Jhuka Kar Lillah Ba Kareena
Mehboobe Kibriya Se Mera Salaam Kehna
Sultane Ambiya Se Mera Salaam Kehna
Saahil Pe Aate Aate Maujon Ko Choom Lena
Maujon Ke Baad Dilkash Zarron Ko Choom Lena
Is Paak Sar Zameen Ke Raahon Ko Choom Lena
Phoolon Ko Choom Lena Kaanton Ko Choom Lena
Phir Noore Wadduha Se Mera Salaam Kehna
Mehboobe Kibriya Se Mera Salaam Kehna
Sultane Ambiya Se Mera Salaam Kehna
Raahe Talab Ki Lazzat Jab Qalb Ko Maza De
Ishqe Nabiye Mursal Jab Rooh Ko Jilaa De
Jab Soze Aashiqana Jazbaat Ko Jagaa De
Hastee Ka Zarra Zarra Jab Aah Ki Sadaa De
Aalam Ke Dilruba Se Mera Salaam Kehna
Mehboobe Kibriya Se Mera Salaam Kehna
Sultane Ambiya Se Mera Salaam Kehna
57
Darbaare Mustafa Ki Haasil Ho Jab Huzoori
Peshe Nazar Ho Jis Dam Baargahe Noori
Jab Rooh Ko Sukoon Ho Mit Jaaye Fikre Doori
Deedare Mustafa Ki Jab Ho Aarzoo Poori
Wash-shams Ki Ziya Se Mera Salaam Kehna
Mehboobe Kibriya Se Mera Salaam Kehna
Sultane Ambiya Se Mera Salaam Kehna
Rauze Ki Jaaliyon Ke Jis Dam Kareeb Jaana
Sultane Ambiya Se Mera Salaam Kehna
Ro Ro Ke Haale Muslim Sarkaar Ko Sunana
Be Saakhta Machalna Joshe Junoon Dikhana
Seene Mein Bhi Basaana Aankhon Mein Bhi Basaana
Phir Noore Haqnuma Se Mera Salaam Kehna
Mehboobe Kibriya Se Mera Salaam Kehna
Sultane Ambiya Se Mera Salaam Kehna
Ba Sad Adab Ye Kehna Haadi e Mukarram
Aye Shafaqat Mukammal Aye Rehmate Mujassam
Teri Nazar Nazar Par Qurbaan Har Do Aalam
Shaariq Gareeb Shaariq Ye Keh Raha Tha Paiham
Sardaare Do Jahaan Se Mera Salaam Kehna
Mehboobe Kibriya Se Mera Salaam Kehna
Sultane Ambiya Se Mera Salaam Kehna
58
CHAMAN KE MAST NAZAARE
SALAAM KEHTE HAIN
Chaman Ke Mast Nazaare Salaam Kehte Hain
Falak Ke Chand Sitaare Salaam Kehte Hain
Tumhari Zaate Giraami Se Jo Mile Hum Ko
Wahi Haseen Sahaare Salaam Kehte Hain
Zara Idhar Bhi Nigaahe Karam Ki Ek Jumbish
Ke Tum Ko Dard Ke Maare Salaam Kehte Hain
Zahe Naseeb Madina Bhi Aaj Peshe Nazar
Nigaah wa Qalb Humare Salaam Kehte Hain
Kabhi Zabaan Pe Salle ‘Ala Ke Nagme Hain
Kabhi Khamosh Ishaare Salaam Kehte Hain
Tumhare Chaand Se Rukh Ki Hai Jot Aalam Mein
Seher Mein Noor Ke Dhaare Salaam Kehte Hain
Tumhara Zikr Hua Kainaat Wajd Mein Hai
Jo Hain Ghulaam Tumhare Salaam Kehte Hain
Baras Rahi Hai Ghataaon Ki Shakl Mein Rehmat
Jinaa(n) Badosh Nazaare Salaam Kehte Hain
Ataa Ho Dil Ki Sadaa Ko Qubooliyat Ka Sharaf
Adab Se Aankh Ke Taare Salaam Kehte Hain
Khuda Ne Tum Ko Banaya Hai Maalike Kaunain
Jahaan Ke Raaj Dulhare Salaam Kehte Hain
Zahe Naseeb Ke Taiba Ke Reh Guzaaron Ko
Hum Aise Dard Ke Maare Salaam Kehte Hain
Naseem Khake Dare Mustafa Ko Kya Kahiye
Ke Isko Chaand Sitaare Salaam kehte Hain
59
FAKHRE ‘ISAA NAAZE AADAM
ASSALATO WASSALAAM
Fakhre ‘Isaa Naaze Aadam Assalato Wassalaam
Roohe Imaan Jaane Aalam Assalaato Wassalaam
Taajdaare Arshe Aazam Assalaato Wassalaam
Sham’e Haq Noore Mujassam Assalaao Wassalaam
Sarware Arzo Samaa(n) Sultaane Bazme Ambiya
Khalq Mein Sab Se Mukarram Assalaao Wassalaam
Ranjo Gham Ki Shaam Ho Lutfo Raahat Ki Sahar
Ba Adab Padhte Rahe Hum Assalaato Wassalaam
Jab Shabe Me’raj Rakha Arsh Par Tumne Qadam
Muskurayi Roohe Aadam Assalaato Wassalaam
Raahate Qalbo Hazee(n) Hai Aap Ka Zikre Jameel
Aye Sukoone Chashme Paiham Assalaato Wassalaam
Hum Aseeran e Gham o Afkaar Par Behre Khuda
Ho Karam Sultaane Akram Assalaato Wassalaam
Har Ghadi Aagoshe Rehmat Mein Woh Rehta Hai Naseem
Jo Padha Karta Hai Har Dum Assalaato Wassalaam
60
SALAAM US PAR KE JISNE
BEKASON KI DASTAGIRI KI
Salaam Us Par Ke Jisne Bekason Ki Dastagiri Ki
Salaam Us Par Ke Jisne Baadshahi Mein Faqeeri Ki
Salaam Us Par Ke Asraare Mohabbat Jisne Samjhaye
Salaam Us Par Ke Jisne Zakhm Kha Kar Phool Barsaaye
Salaam Us Par Ke Jisne Bhooke Pyaason Ko Qabaayen Di
Salaam Us Par Ke Jisne Gaaliyan Sun Kar Duayen Di
Salaam Us Par Ke Jis Ka Zikr Hai Saare Wazaaif Mein
Salaam Us Par Jo Majroh Hua Bazaare Taaif Mein
Salaam Us Par Ke Jiske Sakht Ghar Ke Jung Karte The
Salaam Us Par Watan Ke Log Jisko Tang Karte The
Salaam Us Par Ke Jiske Ghar Mein Chaandi Thi Na Sona Tha
Salaam Us Par Ke Toota Boriya Jiska Bichona Tha
Salaam Us Par Jo Sachchai Ki Khaatir Dukh Uthata Tha
Salaam Us Par Jo Bhooka Rehkar Auron Ko Khilaata Tha
Salaam Us Par Ke Ummat Ke Liye Raaton Ko Rota Tha
Salaam Us Par Jo Farshe Khaak Pe Jaade Mein Sota Tha
Salaam Us Par Ke Jiski Saadgi Darse Baseerat Hai
Salaam Us Par Ke Jiski Zaat Fakhre Aadmiyat Hai
Salaam Us Par Ke Jisne Jholiyan Bhar Di Faqeeron Ki
Salaam Us Par Ke Mashken Khol Di Jisne Aseeron Ki
Salaam Us Par Ke Jiski Chaand Taaron Ne Gawaahi Di
Salaam Us Par Ke Jiski Sang Paaron Ne Gawaahi Di
61
Salaam Us Par Ke Jisne Shirk Ke Purze Udaa Daale
Salaam Us Par Ke Jisne Naksh Baatil Ke Mita Daale
Salaam Us Par Ke Jisne Zindagi Ka Raaz Samjhaya
Salaam Us Par Jo Khud Badr Ke Maidaa(n) Mein Kaam Aaya
Salaam Us Par Ke Jisne Bekason Ki Dastagiri Ki
Salaam Us Par Ke Jisne Baadshahi Mein Faqeeri Ki
62
TALA AL BADRU ALAINA
(YA NABI SALAAM ALAIKA)
Tala ‘Al Badru Alaina
Min Thani Yatil Wada‘i
Wajabash Shukru ‘Alaina
Maa Da’aa Lillahi Daa‘i
Ya Nabi Salaam Alaika
Ya Rasool Salaam Alaika
Ya Habeeb Salaam Alaika
S a l a w a a t u l l a h A l a i k a
Ayyuhal Mab‘oothu Feena
Ji’ta Bil Amril Mutaa‘i
Ji’ta Sharraftal Madina
Marhaban Ya Khaira Daa‘i
Ya Nabi Salaam Alaika
Ya Rasool Salaam Alaika
Ya Habeeb Salaam Alaika
S a l a w a a t u l l a h A l a i k a
Anta Shamsun Anta Badrun
Anta Noorun Fawqa Noori
A n t a I k s i r u l W u j o o d i
Anta Misbah Hussudoori
Ya Nabi Salaam Alaika
Ya Rasool Salaam Alaika
Ya Habeeb Salaam Alaika
S a l a w a a t u l l a h A l a i k a
Ashraqal Badru Alaina
Wakhtafat Minhul Budoori
Mithla Husnik Ma Ra’aina
Qattu Ya Wajh As Suroori
63
Ya Nabi Salaam Alaika
Ya Rasool Salaam Alaika
Ya Habeeb Salaam Alaika
S a l a w a a t u l l a h A l a i k a
Ya Habeebi Ya Muhammad
Ya Aroosal Khaa!qayni
Ya Mu’ayyad Ya Mumajjad
Ya Imaamal Qiblataini
Ya Nabi Salaam Alaika
Ya Rasool Salaam Alaika
Ya Habeeb Salaam Alaika
S a l a w a a t u l l a h A l a i k a
64
MUSTAFA KHAIRUL WARA HO
(YA NABI SALAAM ALAIKA)
Mustafa Khairul Wara Ho صلى الله عليه وسلم
Sarware Har Do Sara Ho
Apne Achchon Ka Tasadduq
Hum Bado(n) Ko Bhi Nibaho
Y a N a b i S a l a a m A l a i k a
Ya Rasool Salaam Alaika
Ya Habeeb Salaam Alaika
S a l a w a a t u l l a h A l a i k a
Kiske Phir Ho Kar Rahe(n) Hum
Gar Tumhi(n) Hum Ka Na Chaho
Bad Hanse(n) Tum Un Ki Khaatir
R a a t B h a r R o – o K a r a h o
Y a N a b i S a l a a m A l a i k a
Ya Rasool Salaam Alaika
Ya Habeeb Salaam Alaika
S a l a w a a t u l l a h A l a i k a
Bad Kare(n) Har Dum Burayi
Tum Kaho Unka Bhala Ho
Hum Wohi Nashusta Roo Hai
Tum Wohi Behre Ataa Ho
Y a N a b i S a l a a m A l a i k a
Ya Rasool Salaam Alaika
Ya Habeeb Salaam Alaika
S a l a w a a t u l l a h A l a i k a
Hum Wohi Shayaane Rad Hain
Tum Wohi Shaane Sakha Ho
Hum Wohi Besharmo Bad Hai
Tum Wohi Kaane Hayaa Ho
65
Y a N a b i S a l a a m A l a i k a
Ya Rasool Salaam Alaika
Ya Habeeb Salaam Alaika
S a l a w a a t u l l a h A l a i k a
Hum Woh Nange Jafaa Hain i
Tum Wohi Jaane Wafaa Ho
Hum Wohi Qaabil Sazaa Hai
Tum Wohi Rahme Khuda Ho
Y a N a b i S a l a a m A l a i k a
Ya Rasool Salaam Alaika
Ya Habeeb Salaam Alaika
S a l a w a a t u l l a h A l a i k a
Charkh Badle Dahr Badle
Tum Badalne Se Wara Ho
Ab Humein Ho(n) Sahw Haashaa
Aisi Bhoolo(n) Se Judaa Ho
Y a N a b i S a l a a m A l a i k a
Ya Rasool Salaam Alaika
Ya Habeeb Salaam Alaika
S a l a w a a t u l l a h A l a i k a
Umr Bhar To Yaad Rakkha
Waqt Par Kya Bhoolna Ho
Waqte Paidaaish Na Bhoole
Kaifa Yansa Kyun Saza Ho
Y a N a b i S a l a a m A l a i k a
Ya Rasool Salaam Alaika
Ya Habeeb Salaam Alaika
S a l a w a a t u l l a h A l a i k a
Yeh Bhi Maula Arz Kardu
Bhool Agar Jaao To Kya Ho
Woh Jo Ho Tum Par Giraa(n) Hai
Woh Ho Jo Hargiz Na Chaaho
66
Y a N a b i S a l a a m A l a i k a
Ya Rasool Salaam Alaika
Ya Habeeb Salaam Alaika
S a l a w a a t u l l a h A l a i k a
Woh Ho Jis Ka Naam Lete
Dushmano(n) Ka Dil Bura Ho
Woh Ho Jis Ke Rad Ki Khaatir
Raat Din Waqfe Dua Ho
Y a N a b i S a l a a m A l a i k a
Ya Rasool Salaam Alaika
Ya Habeeb Salaam Alaika
S a l a w a a t u l l a h A l a i k a
Mar Mite(n) Barbaad Bande
Khana Aabaad Aag Ka Ho
Shaad Ho Iblees Maloo(n)
Gham Kise Is Qahr Ka Ho
Y a N a b i S a l a a m A l a i k a
Ya Rasool Salaam Alaika
Ya Habeeb Salaam Alaika
S a l a w a a t u l l a h A l a i k a
Tum Ko Ho Wallah Tum Ko
Jaano Dil Tum Par Fida Ho
Tum Ko Gham Se Haq Bachaye
Gham Adoo Ko Jaa(n) Gaza Ho
Y a N a b i S a l a a m A l a i k a
Ya Rasool Salaam Alaika
Ya Habeeb Salaam Alaika
S a l a w a a t u l l a h A l a i k a
Tum Se Gham Ko Kya Ta’alluq
Be Kaso Ke Ghamzada Ho
Haq Durooden Tum Pe Bheje
Tum Mudaam Us Ko Saraaho
67
Ya Nabi Salaam Alaika
Ya Rasool Salaam Alaika
Ya Habeeb Salaam Alaika
S a l a w a a t u l l a h A l a i k a
Woh Ataa De Tum Ataa Lo
Woh Wohi Chaahe Jo Chaaho
Kyun Raza Mushkil Se Dariye
Jab Nabi Mushkil Kusha Ho
Ya Nabi Salaam Alaika
Ya Rasool Salaam Alaika
Ya Habeeb Salaam Alaika
S a l a w a a t u l l a h A l a i k a
68
APNE GIRTE KO SAMBHALO
(Ya Nabi Salaamun Alaika)
Ya Nabi Salaamun Alaika
Ya Rasool Salaamun Alaika
Ya Habeeb Salaamun Alaika
S a l a w a a t u l l a h A l a i k a
Apne Girte Ko Sambhalo
Nafs o Shaitaan Se Chhudalo
Apna Hi Banda Banaalo
Naare Dozakh Se Bachaalo
Ya Nabi Salaamun Alaika
Ya Rasool Salaamun Alaika
Ya Habeeb Salaamun Alaika
S a l a w a a t u l l a h A l a i k a
Kufr Ke Pehle The Phere
Shirk Tha Aalam Ko Ghere
Phaile Jab Anwaar Tere
Mit Gaye Saare Andhere
Ya Nabi Salaamun Alaika
Ya Rasool Salaamun Alaika
Ya Habeeb Salaamun Alaika
S a l a w a a t u l l a h A l a i k a
Aap Se Saara Jahaa(n) Hai
Aap Ka Kaun o Makaa(n) Hai
Jo Ayaa(n) Hai Aur Nihaa(n) Hai
Unki Rehmat Ka Nishaa(n) Hai
Ya Nabi Salaamun Alaika
Ya Rasool Salaamun Alaika
Ya Habeeb Salaamun Alaika
S a l a w a a t u l l a h A l a i k a
69
Daawar e Mehshar Ke Aage
Parda Mera Khul Na Jaaye
Apne Daaman Mein Chupale
Main Teri Rehmat Ke Sadqe
Ya Nabi Salaamun Alaika
Ya Rasool Salaamun Alaika
Ya Habeeb Salaamun Alaika
S a l a w a a t u l l a h A l a i k a
Ne’matur Rehaman e Timmat
Rehmatur Rehmaan e ‘Ammat
Hiqmatur Rehmaan e Jammat
Hain Ye Saa’ate Musarrat
Ya Nabi Salaamun Alaika
Ya Rasool Salaamun Alaika
Ya Habeeb Salaamun Alaika
S a l a w a a t u l l a h A l a i k a
Makhzan e Jood o Sakhawat
Mamba e Rushd o Hidaayat
Marja e Sidq o Adaalat
Maalike Shar’a o Siyaadat
Ya Nabi Salaamun Alaika
Ya Rasool Salaamun Alaika
Ya Habeeb Salaamun Alaika
S a l a w a a t u l l a h A l a i k a
Aap Ka Burhaan Ahkar
J b a Saa Hai Aastaan Par u b
Aye Mere Mehboob e Daawar
Ho Nigaah e Lutf Mujh Par
Ya Nabi Salaamun Alaika
Ya Rasool Salaamun Alaika
Ya Habeeb Salaamun Alaika
S a l a w a a t u l l a h A l a i k a
70
HASHR MEIN SAB EK KINARE
(YA NABI SALAAM ALAIKA)
Hashr Mein Sab Ek Kinare
Ummati Ke Dam Ko Maare
Aagaye Jab Woh To Saare
Dekh Kar Unko Pukaare
Ya Nabi Salaam Alaika
Ya Rasool Salaam Alaika
Ya Habeeb Salaam Alaika
S a l a w a t u l l a h A l a i k a
Ik Jhalak Jo Dekh Paau
Jaan Mai Tum Par Lootau
Raah Mein Ankhein Bichaau
Dasta Basta Phir Sounaau
Ya Nabi Salaam Alaika
Ya Rasool Salaam Alaika
Ya Habeeb Salaam Alaika
S a l a w a t u l l a h A l a i k a
Naayib-e-Ashaab-o-Sarwar
Pehle Hain Siddique-e-Akbar
Phir Umar Usman-o-Haidar
Bhejiye Salaam Un Par
Ya Nabi Salaam Alaika
Ya Rasool Salaam Alaika
Ya Habeeb Salaam Alaika
S a l a w a t u l l a h A l a i k a
Deene Haq Ki Dhaal Dono
Hain Ye Bemisaal Dono
F a t i m a K e L a a l D o n o
M u s t a f a K i A a l D o n o
71
Ya Nabi Salaam Alaika
Ya Rasool Salaam Alaika
Ya Habeeb Salaam Alaika
S a l a w a t u l l a h A l a i k a
Is Jahaa(n) Se Jab Safar Ho
Roo-e-Paak Par Nazar Ho
Ye Karam Naseer Par Ho
Uska Sar Ho Tera Dar Ho
72
JAAKANI KE WAQT AANA
(YA NABI SALAAM ALAIKA)
Jaakani Ke Waqt Aana
Kalma e Tayyab Padhana
Makr e Shaitaa(n) Se Bachana
Aur Phir Seene Lagana
Ya Nabi Salaam Alaika
Ya Rasool Salaam Alaika
Ya Habeeb Salaam Alaika
S a l a w a t u l l a h A l a i k a
Rehmaton Ke Taaj Waale
Do Jahaa(n) Ke Raaj Waale
A r s h K i M e ‘ r a j W a a l e
Aasiyon Ki Laaj Waale
Ya Nabi Salaam Alaika
Ya Rasool Salaam Alaika
Ya Habeeb Salaam Alaika
S a l a w a t u l l a h A l a i k a
Teri Jab Ke Deed Hogi
J a b h i M e r i E i d H o g i
Mere Khwab Mein Tum Aana
M a d a n i M a d i n e W a a l e
Ya Nabi Salaam Alaika
Ya Rasool Salaam Alaika
Ya Habeeb Salaam Alaika
S a l a w a t u l l a h A l a i k a
Teri Aajizi Pe Laakhon
Teri Saadgi Pe Laakhon
H o S a l a a m e A a j i z a n a
M a d a n i M a d i n e W a a l e
73
Ya Nabi Salaam Alaika
Ya Rasool Salaam Alaika
Ya Habeeb Salaam Alaika
S a l a w a t u l l a h A l a i k a
Ye Mareez Mar Raha Hai
Tere Haath Mein Shifa Hai
Aye Tabeeb Jald Aana
Madani Madine Waale
Ya Nabi Salaam Alaika
Ya Rasool Salaam Alaika
Ya Habeeb Salaam Alaika
S a l a w a t u l l a h A l a i k a
Meri Aane Wali Nasle
Tere Ishq Hi Mein Machle
Unhe Nek Tum Banana
Madani Madine Waale
Ya Nabi Salaam Alaika
Ya Rasool Salaam Alaika
Ya Habeeb Salaam Alaika
S a l a w a t u l l a h A l a i k a
Mere Gaus Ka Waseela
Rahe Shaad Sab Kabeela
Humein Khuld Mein Basana
Madani Madine Waale
Ya Nabi Salaam Alaika
Ya Rasool Salaam Alaika
Ya Habeeb Salaam Alaika
S a l a w a t u l l a h A l a i k a
Tere Dar Ki Haazri Ko
Jo Tadap Rahe Hai Unka
Shaha Jald Tum Bulaana
Madani Madine Waale
74
Ya Nabi Salaam Alaika
Ya Rasool Salaam Alaika
Ya Habeeb Salaam Alaika
S a l a w a t u l l a h A l a i k a
Az Tufail e Gause Aazam
Ganj Bakhshe Faize Aalam
Sadqa e Imaame Aazam
Door Ho Sabhi Ke Ranjo Gham
Ya Nabi Salaam Alaika
Ya Rasool Salaam Alaika
Ya Habeeb Salaam Alaika
S a l a w a t u l l a h A l a i k a
75
AAP HAI MEHBOOB E AALAM
(YA NABI SALAAM ALAIKA)
Aap Hai Mehboob e Aalam
Mazhare Rehmat Mujassam
Aap Par Qurbaa(n) Rahe Hum
Wird Rakhte Hai Ye Har Dum
Ya Nabi Salaam Alaika
Ya Rasool Salaam Alaika
Ya Habeeb Salaam Alaika
S a l a w a t u l l a h A l a i k a
Bakht Gar Bedaar Hota
Khwab Mein Deedaar Hota
Sadqe Main Sau Baar Hota
Mere Oopar Pyaar Hota
Ya Nabi Salaam Alaika
Ya Rasool Salaam Alaika
Ya Habeeb Salaam Alaika
S a l a w a t u l l a h A l a i k a
Mar Raha Hu Mai Jilaa Do
Shakl Noorani Dikha Do
Ambaree(n) Zulfein Sungha Do
Apna Shaidaayi Bana Do
Ya Nabi Salaam Alaika
Ya Rasool Salaam Alaika
Ya Habeeb Salaam Alaika
S a l a w a t u l l a h A l a i k a
Hashr Ke Din Kaam Aana
Naare Dozakh Se Bachaana
Rauza e Rizwaa(n) Dikhaana
Saagar e Kausar Pilaana
76
Ya Nabi Salaam Alaika
Ya Rasool Salaam Alaika
Ya Habeeb Salaam Alaika
S a l a w a t u l l a h A l a i k a
Ashra! Shaida Tumhara
Kar Ke Duniya Se Kinaara
Rakhta Hai Tum Se Sahaara
Lo Khabar Jaldi Khudara
77
CHANDA KARE
TUM KA SALAAM
Chanda Kare Tum ka Salaam Aye Pyare Nabi
Taare Gagan Le Tumra Naam Aye Pyare Nabi
Ek Jai Ke Lauta ek Tukde Hui Gawa
Shamso Qamar Tumre Ghulam Aye Pyare Nabi
Kausar Ki Jaanib Hum Naahi Takbe
Hame Diho Nainan Ka Jaam Aye Pyare Nabi
I t n i A r a j H a i R a u j e K e A a g e
Aike Hamau Padh Be Salaam Aye Pyare Nabi
A i j a a j H i K i E k B a a t K y a H a i
Duniya Kare Tumka Salaam Aye Pyare Nabi
78
MADINE KE ZAAIR
SALAAM UNSE KEHNA
Madine Ke Zaair Salaam Unse Kehna
Tadapte Hai Tere Ghulaam Unse Kehna
Ho Jab Saamne Sabz Gumbad Tumhare
Nigahe Aqeedat Se Daaman Pasaare
Hai Haazir Tumhara Ghulaam Unse Kehna
Madina Ke Zaair Salaam Unse Kehna
Badi Chahato Se Hai Is Dar Ko Paaya
Pada Hi Rahu Dar Na Choote Tumhara
Na Jaunga Ab Tishna Kaam Unse Kehna
Madine Ke Zaair Salaam Unse Kehna
Fire Ab Talak Dar Ba Dar Be Sahaare
Kaha Jaaye Hum Apni Dil Ki Sunaane
Tumhi To Banate Ho Kaam Unse Kehna
Madine Ke Zaair Salaam Unse Kehna
Isi Aarzoo Mein Guzarte Rahe Din
Ki Pohuche Dayaar e Nabi Hum Bhi Lekin
Nahi Hai Koi Intezaam Unse Kehna
Madine Ke Zaair Salaam Unse Kehna
Dikha Do Mujh Ko Bhi Dilkash Nazaare
Taraste Hai Jisko Musalmaan Saare
Yeh Baate Ba Sad Ahtiram Unse Kehna
Madine e Zaair Salaam Unse Kehna K
79
AYE BAYABAANE ARAB TERI
BAHARON KO SALAAM
Aye Bayabaane Arab Teri Bahaaro Ko Salaam
Teri Phoolo Ko Tere Paakiza Khaaron Ko Salaam
Jabale Noor o Jabale Saur Aur Un Ke Gaaron Ko Salaam
Noor Barsaate Pahaado Ki Qataaron Ko Salaam
Jhoomte Hai Muskurate Hai Mugilaane Arab
Khoob Soorat Wadiyon Ko Regzaaro Ko Salaam
Raat Din Rehmat Barasti Hai Jaha Par Jhoom Kar
Un Tawaafe Kaaba Ke Rangee(n) Nazaaron Ko Salaam
Sange Aswad Baab o Mizaab o Maqaam o Multazam
Aur Ghilaf e Kaaba Ke Rangee(n) Nazaaro Ko Salaam
Khoob Choome Hai Qadam Saur o Hira Ne Shah Ke
Mehke Mehke Pyaare Pyaare Dono Gaaron Ko Salaam
Jagmagaate Gumbade Khazra Pe Ho Raushan Durood
Masjide Nabvi Ke Noorani Minaaron Ko Salaam
Mimbar o Mehraabe Jaana Aur Sunehri Jaaliya
Sabz Gumbad Ke Maqeen Ko Dono Pyaaro Ko Salaam
Jis Qadar Jinn o Bashar Mein The Sahaba Shah Ke
Sab Ko Bhi Beshak Khusoosan Chaar Yaaro Ko Salaam
Jis Jagah Par Aake Soye Hai Sahaba Dus Hazaar
Us Baqi e Paak Ke Saare Mazaaro Ko Salaam
Shauqe Deedare Madina Me Tadapte Hai Jo Un
Bekaraaro Dil Figaaron Ashkbaaro Ko Salaam
80
YA RASOOLALLAH TERE DAR
KI FAZAON KO SALAAM
Ya Rasool Allah Tere Dar ki Fazaon Ko Salaam
Gumbad-e-Khazra ki Thandi, Thandi Chhaoon Ko Salaam
Walehanaa Jo Tawaafe Gumbade Khazra Karein
Mast-o-Be khud Wajd Karti Un Hawaon Ko Salaam
Jo Madine Ke Gali Koochon Mein Dete Hain Sadaa
Un Faqeeron, Raahgeeron aur Gadaoon Ko Salam
Masjid-e-Nabwi Ke Subho aur Shamo Ko Salaam
Ya Nabi Tere Ghulamo ke Ghulamo Ko Salaam
81
MADINA TUJHE SALAAM
Noor Ka Sagar Noor Ki Meh Hai
N o o r K a C h a l k a J a a m
M a d i n a T u j h e S a l a a m
Sahile Rehmat Ka Wo Saahil
K a i s e H o N a k a a m
M a d i n a T u j h e S a l a a m
Roze Qayamat Ka Wo Suraj
Hum Ko Kya Jhulsayega
K h u d H i D o o b a J a y e g a
Zulf e Muambar Ke Saaye Mein
K a r e n g e H u m A a r a m
M a d i n a T u j h e S a l a a m
Zulfe Muambar Ki Chao Mein
Raat Sawarti Rehti Hai
Subha Nikalti Rehti Hai
Roo e Nabi Ke Sadqe Mein Hai
R o s h a n S u b h a S h a a m
M a d i n a T u j h e S a l a a m
Naam Nabi Ka Hum Lete Hai
Haasid Kya Jal Jaate Hai
Maathe Par Bal Aate Hai
Dil Ki Takhti Par Likhte Hai
Hum Apne Nabi Ka Naam
M a d i n a T u j h e S a l a a m
82
83
Shehre Nabi Ka Har Zarra
Suraj Ko Aankh Dikhata Hai
K i s m a t P e I t t r a t a H a i
Pyaare Nabi Ke Sadqe Mein
Hai Tujh Ko Haseen Inaam
M a d i n a T u j h e S a l a a m
Dil Ki Rihal Par Rakh Kar Padhna
T u m A a y a a t e Q u r ‘ a a n i
H a i Y e h T a r e e q a I m a a n i
Hogi Namaz e Ishq Mukammal
U n k o K a r l o I m a m
M a d i n a T u j h e S a l a a m
S i r a t B h i Q u r ‘ a a n i H a i
Aur Soorat Bhi Qur’aani Hai
K y a C h e h r a N o o r a n i H a i
Ummat Ke Taqdeer Mein Likh Di
R a b N e k h u l d T a m a a m
M a d i n a T u j h e S a l a a m
Ishq e Nabi Ki Ek Chingaari
Khilman Dil Mein Roshan Hai
Dil Ka Sehra Gulshan Hai
Bhej Durood e Paak Ka Tohfa
M o m i n S u b h o S h a a m
M a d i n a T u j h e S a l a a m
DIL SE HAZAAR BAAR
MADINA TUJHE SALAAM
Dil Se Hazaar Baar Madina Tujhe Salaam
Aaqa Ka Tu Dayaar Madina Tujhe Salaam
Laraib Khaar e Dasht e Madina Ke Husn Par
Qurbaan Lalazaar Madina Tujhe Salaam
Tujhse Miti Hamesha Meri Be Qarariyaan
Tu Dil Ka Hai Qaraar Madina Tujhe Salaam
Toote Mera Jo Dam To Madina Ho Saamne
Yeh Dil Ki Hai Pukaar Madina Tujhe Salaam
Taiba Se Door Kaise Ujaagar Rahega Ab
Mushkil Hai Intizaar Madina Tujhe Salaam
84
SALAAT AL BADARIYYA
SALAATULLAH SALAAMULLAH
َ
AJ
َ
ا
Wa In Tardud Faman-nati
Binaili Jami ’ e Hajati
Ayaa Jalil Mulimmaati,
Bi Ahlil Badri Ya Allah
87
HUSSAIN TUM KO ZAMAANA
SALAAM KEHTA HAI
Tumhare Sajde Ko Kaaba Salam Kehta Hai
Jalaal e Quba e Khazra Salaam Kehta Hai.
Chaman Ka Har Gul o Guncha Salaam Kehta Hai
Hussain Tum Ko Zamana Salaam Kehta Hai.
Charaag o Masjid o Mimbar Salaam Kehte Hain
Nabi Rasool Payambar Salaam Kehte Hain
Ali Wa Fatima Shabbar Salaam Kehte Hain
Khuda Gawah Ke Nana Salaam Kehta Hai. Hai
Khuda Ki Raah Mein Sar Ko Kata Diya Tumne
Nabi Ke Deen Pe Ghar Ko Luta Diya Tumne
Nishaane Kufr Ko Yaksar Mita Diya Tumne
Tumhein Khuda Bhi Tumhara Salaam Kehta Hai.
Tumhein Falak Ke Sitaare Salaam Kehte Hain
Tumhein Qur’aan Ke Paare Salaam Kehte Hain
Tumhein Haram Ke Minaare Salaam Kehte Hain
Imaam Tum Ko Madina Salaam Kehta Hai.
Sana Tumhari Wazeefa Hai Mera Aabayi
Tumhari Madha To Shewah Hai Mera Mawlayi
Bas Ek Nazar Ho Jo Mujh Par To Meri Ban Aayi
Tumhara Sayyade Shaida Salaam Kehta Hai
88
MERE HUSSAIN
TUJHE SALAAM
M e r e H u s s a i n T u j h e S a l a a m
A s s a l a m Y a H u s s a i n
Karliya Nosh Jis Ne Shahadat Ka Jaam
Us Hussain Ibne Haider Pe Lakho Salaam
M e r e H u s s a i n T u j h e S a l a a m
Jin Ko Dhoke Se Koofe Bulaya Gaya
Jin Ko Baithe Bithaye Sataya Gaya
Jin Ke Bachchon Ko Pyasa Rulaya Gaya
Jin Ki Gardan Pe Khanjar Chalaya Gaya
Us Hussain Ibne Haider Pe Laakhon Salaam
Jinka Jannat Se Joda Mangaya Gaya
Jin Ko Doshe Nabi Pe Bithaya Gaya
Zehar Bhai Ko Jis Ke Pilaya Gaya
Jis Ko Teero Se Chalni Karaya Gaya
Us Hussain Ibne Haider Pe Laakhon Salaam
Jis Ne Haq Karbala Mein Aada Kardiya
Apne Nana Ka Wada Wafa Kar Diya
Sab Kuch Ummat Ki Khatir Fida Kar Diya
Ghar Ka Ghar Hi Supurde Khuda Kardiya
Us Hussain Ibne Haider Pe Lakho Salaam
Kar Chuka Wo Abhi Apni Hujjat Tamam
le Ke Allah Aur Apne Nana Ka Naam
Koo!yon Ko Sunaye Khuda Ke Kalaam
Aur Fida Hogaya Wo Wahi Tishna Kaam
Us Hussain Ibne Haider Pe Laakhon Salaam
89
SULTANE KARBALA KO
HUMARA SALAAM HO
Sultan e Karbala Ko Hamara Salaam Ho
Jaanan e Mustafa Ko Hamara Salaam Ho.
Abbas Alamdaar Hain Zakhmon Se Choor Choor
Us Paikar e Raza Ko Hamara Salaam Ho.
Akbar Se Naujwaan Bhi Ran Mein Huwe Shaheed
Hum Shakle Mustafa Ko Hamara Salaam Ho
Asghar Ki Nanhi Jaan Pe Laakhon Durood Ho
Mazloom o Be Khata Ko Hamara Salaam ho.
Bhai Bhateeje Bhanje Sab Ho Gaye Nisaar
Har Laal e Be Baha Ko Hamara Salaam Ho
Ho Kar Shaheed Qaum Ki Kashti Tira Gaye
Ummat Ke Nakhuda Ko Hamara Salaam Ho
Naasir Wilaaye Shah Mein Kehta Hai Baar Baar
Mehmaan e Karbala Ko Hamara Salaam Ho
Sultane Karbala Ko Hamara Salaam Ho
Jaanaane Mustafa Ko Hamara Salaam Ho
90
AALE AHMED KI AZMAT
PE LAAKHON SALAAM
Aale Ahmed Ki Azmat Pe Laakhon Salaam
Ibne Haider Ki Rif’at Pe Laakhon Salaam
Mustafa Ke Dil o Jaan Hussain o Hasan
Nau-jawaanane Jannat Pe Laakhon Salaam
Hum Shabihe Nabi Akbar e Mahjabeen
Noor Walon Ki Soorat Pe Laakhon Salaam
Jo Sahaabi Bhi Hai Aur Nawaase Bhi Hai
Unki Tauqeer o Nisbat Pe Laakhon Salaam
Khoon Se Karbala Jin ke Sairaab Hai
Un Shaheedon Ki Azmat Pe Laakhon Salaam
Jin Se Khush Hai Khuda Aur Khuda Ka Nabi
Unki Taabinda Qismat Pe Laakhon Salaam
Chhod Kar Apna Khutba Liya Goad Mein
Noor e Ain e Risaalat Pe Laakhon Salaam
Jisne Karbal Mein Zinda Kiya Deen Ko
Uski Shaane Shuja’at Pe Laakhon Salaam
91
KARBALA KE JAAN
NISAARON KO SALAAM
Karbala Ke Jaan Nisaaron Ko Salaam
Fatima Zehra Ke Pyaaron Ko Salaam
Jisne Apna Sar Kataaya Deen Par
Us Hussain e Ibne Haidar Ko Salaam
Kat Gaye Baazu Alam Bardaar Ke
Sabr Ke Us Jaame Paikar Ko Salaam
Nanhe Ki Sookhi Zubaan Pyaas Se
Us Ali Asghar Ki Azmat Ko Salaam
Kis Qadar Dulha Bane Ibne Hasan
Hazrate Qaasim Ki Rif’at Ko Salaam
Khoon Mein Doobi Jawaani Laal Ki
Ham Shabihe Shaahe Madani Ko Salaam
Jisne Rakhli Aabroo Islaam Ki
Chaadar e Zainab Ki Azmat Ko Salaam
Lut Gaya Sab Kuch Magar Parde Kiye
Un Sabhi Parda Nasheenon Ko Salaam
Karbala Mein Jo Huwe Jitne Shaheed
Un Sabhi Noorie Mazaaron Ko Salaam
Jinke Sadqe Razvi Bhi Noorie Hua
Paakeeza Noorie Jamaa’at Ko Salaam
92
BADHE SHABBIR JAB RAN MEIN
TO REHMAT KA SALAAM AAYA
Badhe Shabbir Jab Ran Mein To Rehmat Ka Salaam Aaya
Shahadat Ne Qadam Choome Imaamat Ka Salaam Aaya
Kiya Kuch Is Ada Se Zere Khanjar Aap Ne Sajda
Sare Aqdas Jhukaate Hi ‘Ibaadat Ka Salaam Aaya
Duaaon Se Nawaaza Isko Qadmon Mein Jagah Bakhshi
Musaa!r Leke Jab Nana Ki Ummat Ka Salaam Aaya
Kaha Sardaare Jannat Ke Jawaano Ka Jo Hazrat Ne
Ma’aa Hasnain Ko Hoorane Jannat Ka Salaam Aaya
Ali Ke Laal Ki Khidmat Mein Kis Andaaz Se Anwar
Shahadat Ka Payaam Aaya Sadaqat Ka Salaam Aaya
93
SAYYADI GAUSE AAZAM
SALAAMUN ‘ALAIK
Sayyadi Gause Aazam Salaamun ‘Alaik
Mere Aaqa e Akram Salaamun ‘Alaik
Hai Teri Pusht Par Daste Shaahe Umam
Aur Tere Haath Me Gausiyat Ka Alam
Gardane Auliya Ki Hai Tera Qadam
Aye Waliye Muazzam Salaamun ‘Alaik
Sayyadi Gause Aazam Salaamun ‘Alaik
Mere Aaqa e Akram Salaamun ‘Alaik
Iltija Tere Dar Se Nahi Hoti Radd
Tere Ahsaan Ki Bhi Nahi Koi Hadd
Shaialillah Ya Abdal Qaadir Madad
Hai Mera Wird e Paiham Salaamun ‘Alaik
Sayyadi Gause Aazam Salaamun ‘Alaik
Mere Aaqa e Akram Salaamun ‘Alaik
Aap Ke Paak Daaman Se Jo Bandh Gaya
Jo Ba Ikhlaas Dil Aap Ka Ho Gaya
Isme Aali Ka Jis Ne Wazifa Kiya
Aakhirat Se Hai Be Gham Salaamun ‘Alaik
Sayyadi Gause Aazam Salaamun ‘Alaik
Mere Aaqa e Akram Salaamun ‘Alaik
Apni Azmat Ka Sadqa Ata Kijiye
Aap Hi Ka Bhala Hai Bhala Kijiye
Apni Qudrat Se Bigdi Bana Dijiye
Aye Muhiyye Mukarram Salaamun ‘Alaik
Sayyadi Gause Aazam Salaamun ‘Alaik
Mere Aaqa e Akram Salaamun ‘Alaik
94
Jholiyan Khaali Laaye Hai Daata Mile
Kuch Nigahe Karam Ho To Qismat Khule
Hai Tumhare Hi Bande Bure Ya Bhale
Kis Ke Dar Jaaye Ab Hum Salaamun ‘Alaik
Sayyadi Gause Aazam Salaamun ‘Alaik
Mere Aaqa e Akram Salaamun ‘Alaik
Dar Pe Har Dam Jhuka Ho Woh Sar Dijiye
Sab Ke Daaman Ko Himmat Se Bhar Dijiye
Nasle Burhaa(n) Ko Ya Gaus Kar Dijiye
Mustakil Aur Mohkam Salaamun ‘Alaik
Sayyadi Gause Aazam Salaamun ‘Alaik
Mere Aaqa e Akram Salaamun ‘Alaik
95
GAUSE AAZAM KI AZMAT
PE LAAKHON SALAAM
Gause Aazam Ki Azmat Pe Laakhon Salaam
Aap Ki Shaan o Shaukat Pe Laakhon Salaam
Deed Aisi Ke Dil Aaine Ban Gaye
Unki Noorani Soorat Pe Laakhon Salaam
Chor Ko Di Muaa! Wali Kar Diya
Is Anokhi Sakhawat Pe Laakhon Salaam
Jis Se Pyaare Nabi Tak Rasaayi Hui
Us Wali Saaz Nisbat Pe Laakhon Salaam
Dekh Kar Jin Ko Daaku Bhi Taaib Huwe
Gause Ki Us Sadaqat Pe Laakhon Salaam
Jis Wilayat Ne Laakhon Wali Kar Diye
Gaus Ki Us Wilayat Pe Laakhon Salaam
Gause Aazam Ki Azmat Pe Laakhon Salaam
Aap Ki Shaan o Shaukat Pe Laakhon Salaam
96
GAUSE AAZAM LO
MUREEDON KA SALAAM
Gause Aazam Lo Mureedon Ka Salaam
Sar Jhukaye Kehte Hai Saare Ghulaam
Aap Hai Peeron Ke Peer Raushan Zameer
Naam Lab Pe Ho Tumhara Subho Shaam
Gause Aazam Lo Mureedon Ka Salaam
Sar Jhukaye Kehte Hai Saare Ghulaam
A a p K e N a n a N a b i S a l l e ‘ A l a
Khud Nawaase Ban Gaye Shaahe Anaam
Gause Aazam Lo Mureedon Ka Salaam
Sar Jhukaye Kehte Hai Saare Ghulaam
D o o b t i K a s h t i T i r a a y i A a p N e
Ab Bana Dije Humara Bigda Kaam
Gause Aazam Lo Mureedon Ka Salaam
Sar Jhukaye Kehte Hai Saare Ghulaam
Sab Pe Ho Nazre Karam Ya Dastageer
Laaj Rakh Lo Saare Waliyon Ke Imaam
Gause Aazam Lo Mureedon Ka Salaam
Sar Jhukaye Kehte Hai Saare Ghulaam
97
KHWAJA E KHWAJGAAN
TUM PE LAAKHON SALAAM
Khwaja e Khwajgaan Tum Pe Laakhon Salaam
Fakhre Hindostaan Tum Pe Laakhon Salaam
A a f t a b e R i s a l a t K e H o E k K i r a n
Naazishe Aarifaa(n) Tum Pe Laakhon Salaam
T u m N e P h a i l a y i I s l a m K i R a u s h n i
Deen ke Paasbaan Tum Pe Laakhon Salaam
Raunaqe Rauza e Paak Hai Dil Nasheen
Misle Qasre Jinaan Tum Pe Laakhon Salaam
Aap Ke Dar Se Paate Hai Shah o Gadaa
Faize Har Do Jahaan Tum Pe Laakhon Salaam
H u m K o I z n e H u z o o r i A t a K a r D i y a
Kitne Ho Maherbaan Tum Pe Laakhon Salaam
Hum Ghareebon Ke Sarkaar Khwaja Piya
Hami e Be Kasaan Tum Pe Laakhon Salaam
Naaz Hum Ko Ghulami Ki Nisbat Pe Hai
Khusrawe Ins o Jaan Tum Pe Laakhon Salaam
H u m G h u l a m e G h u l a m a n e S a r k a a r H a i
Tum Humare Hum Tumhare Tum Pe Laakhon Salaam
Aap Ke Dar Se Daulat Mil Gayi Hai Humein
Baat Hai Be Gumaan Tum Pe Laakhon Salaam
Bheek Saqib Ko Chashme Karam Ki Mile
Mohsin e Qalb o Jaan Tum Pe Laakhon Salaam
97
AYE SHAAHE DEEN KE NAAIB E
ZEESHAA(N) SALAAM LO
Aye Shaahe Deen Ke Naaib e Zeeshaa(n) Salaam Lo
Khwaja Moeen Hind Ke Sulta(n) Salaam Lo
Noore Nigaahe Sarware Duniya wa Deen Suno
Jaane Hussain Ibne Ali Ya Moee(n) Suno
Taskeen e Qalbe Khwaja e Usmaa(n) Salaam Lo
Aye Shaahe Deen Ke Naaib e Zeeshaa(n) Salaam Lo
Khwaja Moeen Hind Ke Sulta(n) Salaam Lo
Khushboo e Haq Se Aap Ne Mehkaaya Hind Ko
Imaa(n) o Dee(n) Ke Noor Se Chamkaaya Hind Ko
Deene Muhee Ki Sham’e Faroza Salaam Lo
Aye Shaahe Deen Ke Naaib e Zeeshaa(n) Salaam Lo
Khwaja Moeen Hind Ke Sulta(n) Salaam Lo
Aye Auliya e Hind Ke Saalaare Qa!la
Irfaane Haq Ka Aap Se Jaari Hai Silsila
Charkhe Wila Ke Mehre Darakhsha Salaam Lo
Aye Shaahe Deen Ke Naaib e Zeeshaa(n) Salaam Lo
Khwaja Moeen Hind Ke Sulta(n) Salaam Lo
Behre Salaam Dar Pe Hai Haazir Ghulaame Dar
Ho Jaaye Is Pe Lutf o Inaayat Ki Ik Nazar
Hai Arz Kar Raha Aap Ka Darbaan Salaam Lo
Aye Shaahe Deen Ke Naaib e Zeeshaa(n) Salaam Lo
Khwaja Moeen Hind Ke Sulta(n) Salaam Lo
99
Hai Dil Pe Naqsh Aap Ke Ahsaan Ya Moeen
Har Ek Poore Karte Ho Armaan Ya Moeen
Qurbaan Aap Par Hai Dilon Jaa(n) Salaam Lo
Aye Shaahe Deen Ke Naaib e Zeeshaa(n) Salaam Lo
Khwaja Moeen Hind Ke Sulta(n) Salaam Lo
Hai Bekaso Ke Aap Madadgaar Ya Moeen
Bechaargaa(n) Ke Mooniso Ghamkhwar Ya Moeen
Haale Dile Ghareeb Ke Pursaa(n) Salaam Lo
Aye Shaahe Deen Ke Naaib e Zeeshaa(n) Salaam Lo
Khwaja Moeen Hind Ke Sulta(n) Salaam Lo
Jis Dam Ke Rooh Jism Se Hone Lage Judaa
Us Waqt Ho Zabaa(n) Pe Meri Naame Mustafa
Ahmed Ka Hai Ye Aakhri Armaa(n) Salaam Lo
Aye Shaahe Deen Ke Naaib e Zeeshaa(n) Salaam Lo
Khwaja Moeen Hind Ke Sulta(n) Salaam Lo
100
KHWAJA E KHWAJGAA(N)
TUM PE LAAKHON SALAAM
Khwaja e Khwajgaa(n) Tum Pe Laakhon Salaam
Fakhre Hindostaa(n) Tum Pe Laakhon Salaam
Khwaja e Do Jahaa(n) Meer e Kauno Makaa(n)
Arsh Ke Raazdaan Farsh Ke Paasbaan
Q i b l a y e A a s h i q a K a a b a e A a r i f a
Aasmaan e Wilaayat Ke Maahe Tamaam
Khwaja e Khwajgaa(n) Tum Pe Laakhon Salaam
Fakhre Hindostaa(n) Tum Pe Laakhon Salaam
Aye Ata e Shehenshahe Jinn o Bashar
Panjatan Paak Ke Ghar Ke Noor e Nazar
Shaah e Gausul Wara Ke Ho Lakhte Jigar
Khalq Ke Taajwar Auliya Ke Imaam
Khwaja e Khwajgaa(n) Tum Pe Laakhon Salaam
Fakhre Hindostaa(n) Tum Pe Laakhon Salaam
Chandni Raat Ho Aur Pichla Peher
Har Taraf Ho Bicha Farsh e Qalb o Jigar
Aise Aalam Mein Tum Kaash Aao Nazar
Phir Kahe Dast Basta Tumhare Ghulam
Khwaja e Khwajgaa(n) Tum Pe Laakhon Salaam
Fakhre Hindostaa(n) Tum Pe Laakhon Salaam
Dil Hai Bechain Naqs e Qadam Ke Liye h
Marham e Sozishe Dam Ba Dam Ke Liye
Hai Khade Ik Nigaahe Karam Ke Liye
Aye Falak Aastaa(n) Aye Shahe Nek Naam
Khwaja e Khwajgaa(n) Tum Pe Laakhon Salaam
Fakhre Hindostaa(n) Tum Pe Laakhon Salaam
101
Thokare Dashte Gurbat Ki Khaaye Huwe
Gardishe Gham Ke Haathon Sataaye Huwe
Aaye Hai Aas Tum Se Lagaaye Huwe
Tum Jo Chaaho To Ban Jaaye Sab Apne Kaam
Khwaja e Khwajgaa(n) Tum Pe Laakhon Salaam
Fakhre Hindostaa(n) Tum Pe Laakhon Salaam
Mera Ooncha Humesha Sitaara Rahe
Zindagi Bhar Tumhara Sahaara Rahe
Deeda e Shauk Mehwe Nazaara Rahe
Aur Us Waqt Aaye Ajal Ka Payaam
Khwaja e Khwajgaa(n) Tum Pe Laakhon Salaam
Fakhre Hindostaa(n) Tum Pe Laakhon Salaam
102