Shab E Barat Ki 6 Rakat Nafil Namaz Ka Tarika

Shab E Barat Ki 6 Rakat Nafil Namaz Ka Tarika

Shab E Barat Ki 6 Rakat Nafil Namaz Ka Tarika

Shabe Barat mein jo yeh amal karega, InshaAllah saal bhar jadoo se mahfooz rahega…

Saal bhar Jadu Se Hifazat Ke liye Shabe Barat Ka Amal:

*Hakeem ul Ummat Mufti Ahmad Yaar Khan Na’eemi Rahmatullah Alaih*
Farmate hain

Ki is raat (Shabe Barat) mein 7 patte ber ke lekar paani mein daalkar garam kar le jab paani nahaane ke laayak ho jaaye to is paani se ghusl kar le uske baad namaaze Maghrib ada karein InshaAllah poore saal bhar jadoo ke asar se mahfooz rahega

Shab E Barat Ki 6 Rakat Nafil Namaz Ka Tarika

Shabe Barat ki 6 rakat nafl namaz ka sahi tarika jaanenge. Is namaz ko hum sab Shabe Barat ki raat Maghrib ki namaz ada karne ke baad padhte hain jo bahut hi rahmat aur barkat bhari namaz hai.

Aaj isee namaz ko ada karne ka sahi aur durust tarika aap jaanenge jise aap aasani se Shabe Barat ki 6 rakat nafl namaz ada kar sakenge, isiliye aap is paigam ko dhyaan se pura aakhir tak padhein.

Shabe Barat ki 6 rakat nafl namaz bhi aap baaki nafl namazon ki tarah hi padhein 3 baar mein 2-2 rakat karke poora 6 rakat namaz mukammal karein lekin isse pehle kuch niyat aur dua karni hai jo hum aapko neeche bataye hain.

Pehli 2 Rakat Nafl Namaz

Sabse pehle 2 rakat namaz shuru karne se pehle apne Rab se arz karein ki aye Allah in do rakat ki barkat se mujhe umr daraaz aur khairo barkat ata farma iske baad 2 rakat ada karein.

Jab 2 rakat mukammal ho jaaye to bait kar Soorah Yaseen Shareef ek baar aur 21 baar Soorah Ikhlaas phir ek dua e Nisf Shaban padhein yeh durust hai.

Dusri 2 Rakat Nafl Namaz

Iske baad do rakat padhne se pehle yeh arz karein ki aye Allah in do rakat ki barkat se har tarah ki bala se hifazat farma iske baad 2 rakat nafl namaz padhein.

Yahan bhi jab do rakat namaz mukammal ho jaaye to bait kar 1 baar Soorah Yaseen Shareef 21 baar Soorah Ikhlaas aur ek baar dua e Nisf Shaban padhein.

Teesri 2 Rakat Nafl Namaz

Yahan par namaz shuru karne se pehle apne Rab se yeh arz karein ki aye mere Allah in 2 rakat namaz ki barkat se mujhe sirf apna mohtaaj rakh, ghaeroon ki mohtaaji se bacha.

Iske baad yahan bhi namaz mukammal karne ke baad Soorah Yaseen Shareef ek baar aur 21 baar Soorah Ikhlaas aur ek baar dua e Nisf Shaban padhein.

Is tarah se namaz ada karne par aapne jaana hi ki har 2 rakat ke baad 1 baar Soorah Yaseen Shareef padhna hai, phir 21 martaba Soorah Ikhlaas yaani Kul Huwallahu Shareef padhna hoga aur ek baar dua e Nisf Shaban bhi padhna hai.

Aap yahan par dhyaan dein ki is 6 rakat namaz ko 2 – 2 rakat ki niyat se 3 baar mein poora 6 rakat mukammal karna hai isiliye aap yahan is tarah se niyat karein.

Niyat ki maine 2 rakat namaz Shabe Barat ki nafl wastey Allah Ta’ala ke muh me mera Ka’aba Shareef ki taraf Allahu Akbar.

Aap isee tarah 2 – 2 rakat ki niyat kar ke poora 6 rakat 3 salaam mein mukammal karein aur har do rakat ke baad 1 baar Soorah Yaseen Shareef 21 baar Soorah Ikhlaas aur 1 baar dua e Nisf zaroor padhein.

Agar aap 2 rakat nafl namaz ka tarika bhi jaanna chahte hain to aap yahan par 2 rakat nafl namaz padhne ka tarika par click karke jaan lein.

Agar aap dua e Nisf Hindi mein padhna chahte hain to blue text pe click karke padh lein, aur Soorah Yaseen Shareef Hindi mein padhna chahte hain to bhi blue text pe click karke padh lein aur Soorah Ikhlaas bhi padh lein.

Dua e Nisf Shaban na aaye to aise dua karein.

Agar dua e Nisf Arbi mein padhne mein aasaani mehsoos nahi hoti ya lafzon ka sahi adaayegi na ho sake to aap is dua ka tarjuma is tarah padhein.

Aye mere Allah tu hi sab par ehsaan karne wala hai aur tujh par koi ehsaan nahi kar sakta, aye buzurgi aur mehrbaani rakhne wale aur aye bakhsish ka inaam karne wale tere siwa koi ma’abood nahi tu hi girahton ko thaamne wala hai bepanaahon ko panaah dene wala hai aur pareshani haalon ka sahaara hai.

Aye Allah agar tune mujhe pa ummul kitaab mein bhatakha hua ya mahroom ya kam nasib likh diya hai to aye Allah apne fazl se meri khwaari bad bakhti raandagi aur rozi ki kami ko mita de aur apne ummul kitaab mein mujhe khush nasib wasi’at rizq aur nek kar de.

Beshak tera y

eh kehna teri kitaab mein jo tere Nabi Sallallahu Ta’ala Alaihi Wasallam ke zariye hamein pahunchi hai sach hai ki Allah jo chahta hai bana deta hai aur usi ke paas ummul kitaab hai aye Khuda Tajalli Aazam ka sadqa is Nisf Shaban Mukarram ki raat mein jismein tamaam cheezon ki takseem wa nifaaz hota hai.

Meri balaon ko door kar khwah mein in ko jaanta hoon ya na jaanta hoon aur jinse tu waqif hai beshak tu hi sabse bartar aur bad kar ehsaan karne wala hai Allah ki rahmat wa salaamati ho hamare sardar Muhammad Sallallahu Ta’ala Alaihi Wasallam par aur unki aal wa aulad aur sahaba par Ameen.

Shabe Barat Kya Hai? | Shab e Barat | Hindi Aur English

Tags: Shab E Barat

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply