Tere Darbar Ki Hai Sakhawat Badi Khwaja Hindal Wali Lyrics

Tere Darbar Ki Hai Sakhawat Badi Khwaja Hindal Wali Lyrics

 

 

Khwaja hindalwali ho nigah-e-karam- aziz nazan
Khwaja hindalwali ho nigah-e-karam- aziz nazan

Aziz karar mujhko nahi hain ke bekarar hun main,
tumhari chasm-e-karam ka umeedwar hun main.
khwaja hindalwali ho nigah-e-karam
Chorus: khwaja hindalwali ho nigah-e-karam………………..2
khwaja usma ka sajda………………3
Aziz: ya gareeb nawa aa a a a a aa aaaaaa………………….
Chorus: ho nigha-e-karam……………….karam………3

Aziz: sakhi khuda ne tumhe aisa bemisal kiya,
nawaja itna ki sahil malamaal kiya……………..chorus
isiliye tumhe kehte hain sab gareeb nawaz,
kisi gareeb ka tumne na rag tumne sawaaal kiya
Chorus: ho nigha-e-karam……………….karam………3

Aziz: tere darbar mein ye baat ai eebne sakhi dekhi,
nahi banti kisise wo tere dar par bani dekhi
teri sane sakhawat humne duniya se nahi dekhi,
tumhe dete nahi dekha magar jholi bhari dekhi
isliye, yahi hain tumse meri iltija gareeb nawaj
nawaj do mujhe jalwo se ya gareeb nawa…………….chorus
suna hain sunte ho sabki sada gareeb nawaj………………. Chorus
tumhare dar pe…..e.e.e, tumhare madare akdas par
naseeb laya hun foota hua , gareeb nawaj
Chorus: ho nigha-e-karam……………….karam………3

Aziz: pukare bahle madat kyun na tumko ahle yakin,
tumhara naam hi khwaja hain jab moinudeen
moinedeen bhi ho aur duniya ke sahare bhi,
sakhib ne sakhi usmaan haru unhi ke pyaare bhi
shakhawat hazrat-e usmaaghani ke dar se ayi hian,
ye nemat apne usmaan haru unhi se payi hain…………….chorus
mera daaman gule umeed se ek baar bhar dije,
karam ki ek nazar khwaja moinudeen kar dije………………chorus
karam farmay-e alam, mere haq mein kyun hui deri,
meri bigadi banado ya mominudeen ajmeri
Chorus: ho nigha-e-karam……………….karam………3

Aziz: paresha haal hun khwaja, zamane ka sataya hun,
badi umeed leke aap ke choukhat pe aya hun
khudara ek nazar mujhepe daal do khwaja,
gareeb hun meri hasrat nikal do khwaja
fajal se main hu gareeb aur tu gareeb nawaj,
hai tere haat meri aabru gareeb nawaj………….chorus
tumhare dar ka banda hun batado main kidhar jau,
tumhi batlao kis ke dar pe jake haath failau………chorus
haath failate hue, isliye katrata hun,
sharm aati hain bhikhari tera kehlata hun
Chorus: ho nigha-e-karam……………….karam………3

Aziz: tumre karan chod diye hain saare riste nate,
laaj mohe aati hain khwaja dar dar haath badhate
tumhri galima ma aa baith hun, duniya se ubkaye
byakul manwa tadap raha hain, naina neer bahaye
tumre dware aa baitha hun , ek hi aas lagaye……..chorus
daal do ek kripa ki nazariya.a.a.a.a…., bigadi mori ban jaye
Chorus: ho nigha-e-karam……………….karam………3

Aziz: main pareshaan hun mazboor hun mere aka,
ab ye alam tabiyat meri kharai…………chorus
ye apbita nahi imaan hain mera khwaja,
khusnaseebi mujhe ajmer mein le ayi hain…………chorus
kargar hoti nahi hain koi taqdeer meri,
tum bana doge to ban jayegi taqdeer meri…………chorus
dedo taqdeer ke mare ko sahara khwaja,
main tumhara hun tumhara hun tumhara khwaja
hum pukare tumhe tum ho humare khwaja,
tum ho bekas ke gareebo ke sahare khawaja
waqt ka mara hun kismat ka sataya hun magar,
aap ki sindhu uthi hain meri betaab nazar
wakiya ye hain ki mar mar ke jiye jata hun,
ishi umeed pe fariyaad kiye jata hun…………chorus
dil-e-nasad ko khwaja mere absaad karo,
us maharumi ka sajda meri inbaad karo
Chorus: ho nigha-e-karam……………….karam………3

Aziz puri ho jayegi ya gareeb nawaj,
puri ho jayegi is dar se zarurat meri
khech kar layi hain ajmer mein kismat meri, …………chorus
teri sarkar mein main footi kismat leke aya hun,
haqiqat leke ayi hian haqiqat leke aya hun, …………chorus
tajruba bhi mera kehta hain yakeen bhi mujhe,
thokre khaunga jis din se jahan jaunga…………chorus
apni chaoukhat pe pada rehne do mujhko khawaja,
tune bhi dar se uthaya to kaha jaunga…………chorus
Chorus: ho nigha-e-karam……………….karam………3

Aziz: meri bisaat hi kya hian ye jaanta hun main,
tere karam ke sahare pe jee raha hun main…………chorus
karam kar mere khwaja gum ki badli dil pe chai hain,
meri bigadi banado tumne lakho ki banai hain…………chorus
ilaazat ki nahi haazat dilo jigar ke liye,
bas ek nazar teri kafhi hain umra bhar ke liye
Chorus: ho nigha-e-karam……………….karam………3

Aziz: bageerda de bala ustada kasti,
sayifano sikast karo do musti
bahak ke khwaja ai usmaane haru,
madad duniya moinudeen jisti
Chorus: ho nigha-e-karam……………….karam………3

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply