zameen-maili-nahi-hoti-zaman-maila-nahi-hota-lyrics

zameen-maili-nahi-hoti-zaman-maila-nahi-hota-lyrics

 

 

ज़मीं मैली नहीं होती ज़मन मैला नहीं होता | मुहम्मद के ग़ुलामों का कफ़न मैला नहीं होता / Zameen Maili Nahin Hoti Zaman Maila Nahin Hota | Muhammad Ke Ghulamon Ka Kafan Maila Nahin Hota

 

ज़मीं मैली नहीं होती, ज़मन मैला नहीं होता
मुहम्मद के ग़ुलामों का कफ़न मैला नहीं होता

मोहब्बत कमली वाले से वो जज़्बा है सुनो, लोगो !
ये जिस मन में समा जाए, वो मन मैला नहीं होता

मोहब्बत प्यारे आक़ा से वो जज़्बा है सुनो, लोगो !
ये जिस मन में समा जाए, वो मन मैला नहीं होता

नबी के पाक लंगर पर जो पलते हैं कभी उन की
ज़बाँ मैली नहीं होती, सुख़न मैला नहीं होता

गुलों को चूम लेते हैं सहर नम शबनमी क़तरे
नबी की ना’त सुन लें तो चमन मैला नहीं होता

जो नाम-ए-मुस्तफ़ा चूमें, नहीं दुखती कभी आँखें
पहन ले प्यार जो उन का, बदन मैला नहीं होता

तिजोरी में जो रखा है सियाही आ ही जाती है
बटे जो नाम पर उन के वो धन मैला नहीं होता

नबी का दामन-ए-रह़मत पकड़ लो, ए जहाँ वालो !
रहे जब तक ये हाथों में, चलन मैला नहीं होता

मैं नाज़ाँ तो नहीं फ़न पर मगर, नासिर ! ये दा’वा है
सना-ए-मुस्तफ़ा करने से फ़न मैला नहीं होता

शायर:
सय्यिद नासिर हुसैन चिश्ती

ना’त-ख़्वाँ:
शहबाज़ क़मर फ़रीदी
हाफ़िज़ अहमद रज़ा क़ादरी
ग़ुलाम मुस्तफ़ा क़ादरी

 

zamee.n maili nahi.n hoti, zaman maila nahi.n hota
muhammad ke Gulaamo.n ka kafan maila nahi.n hota

mohabbat kamli waale se wo jazba hai suno, logo !
ye jis man me.n sama jaae, wo man maila nahi.n hota

mohabbat pyaare aaqa se wo jazba hai suno, logo !
ye jis man me.n sama jaae, wo man maila nahi.n hota

nabi ke paak langar par jo palte hai.n kabhi un ki
zabaa.n maili nahi.n hoti, suKHan maila nahi.n hota

gulo.n ko choom lete hai.n sahar nam shabnami qatre
nabi ki naa’t sun le.n to chaman maila nahi.n hota

jo naam-e-mustafa choome.n, nahi.n dukhti kabhi aankhe.n
pahan le pyaar jo un ka, badan maila nahi.n hota

tijori me.n jo rakha hai, siyaahi aa hi jaati hai
baTe jo naam par un ke wo dhan maila nahi.n hota

nabi ka daaman-e-rahmat paka.D lo, ai jahaa.n waalo !
rahe jab tak ye haatho.n me.n, chalan maila nahi.n hota

mai.n naazaa.n to nahi.n fan par magar, Naasir ! ye daa’wa hai
sana-e-mustafa karne se fan maila nahi.n hota

Poet:
Sayed Nasir Hussain Chishti

Naat-Khwaan:
Shahbaz Qamar Fareedi
Hafiz Ahmed Raza Qadri
Ghulam Mustafa Qadri

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply