Zameenon Aasmaanon Mein Khuda Ka Noor Hai Ghaalib Lyrics

Zameenon Aasmaanon Mein Khuda Ka Noor Hai Ghaalib Lyrics

 

Zameenon Aasmaanon Mein Khuda Ka Noor Hai Ghaalib Lyrics

 

ज़मीनों आसमानों में ख़ुदा का नूर है ग़ालिब / Zameenon Aasmaanon Mein Khuda Ka Noor Hai Ghaalib

 

ज़मीनों आसमानों में ख़ुदा का नूर है ग़ालिब
चमकते चाँद तारों में ख़ुदा का नूर है ग़ालिब

जो खिलते हैं, महकते हैं, चमन में फूलों को देखो
यहाँ के लाला-ज़ारों में ख़ुदा का नूर है ग़ालिब

कहीं पे फूल खिलते हैं, कहीं मुरझाने लगते हैं
ख़ज़ानों में, बहारों में ख़ुदा का नूर है ग़ालिब

वो जिस ने सारे ‘आलम को समाया है, सजाया है
पहाड़ों, आबशारों में ख़ुदा का नूर है ग़ालिब

तसव्वुर में, तख़य्युल में उसे महसूस करता हूँ
समंदर, रेग-ज़ारों में ख़ुदा का नूर है ग़ालिब

मुबारक हो तुम्हें, ग़ालिब ! सना-ख़्वानी, मदह-ख़्वानी
किताबुल्लाह के पारों में ख़ुदा का नूर है ग़ालिब

शायर:
अज़ीज़ुल्लाह ग़ालिब

ना’त-ख़्वाँ:
आइशा अब्दुल जब्बार
मुहम्मद हस्सान रज़ा क़ादरी

 

zameeno.n aasmaano.n me.n KHuda ka noor hai Gaalib
chamakte chaand taaro.n me.n KHuda ka noor hai Gaalib

jo khilte hai.n, mahakte hai.n, chaman me.n phoolo.n ko dekho
yahaa.n ke laala-zaaro.n me.n KHuda ka noor hai Gaalib

kahi.n pe phool khilte hai.n, kahi.n murjhaane lagte hai.n
KHazaano.n me.n, bahaaro.n me.n KHuda ka noor hai Gaalib

wo jis ne saare ‘aalam ko samaaya hai, sajaaya hai
pahaado.n, aabshaaro.n me.n KHuda ka noor hai Gaalib

tasawwur me.n, taKHayyul me.n use mahsoos karta hu.n
samandar, reg-zaaro.n me.n KHuda ka noor hai Gaalib

mubaarak ho tumhe.n, Gaalib ! sana-KHwaani, mad.h-KHwaani
kitaabullaah ke paaro.n me.n KHuda ka noor hai Gaalib

Poet:
Azizullah Ghalib

Naat-Khwaan:
Ayesha Abdul Jabbar
Muhammad Hassan Raza Qadri

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply