ARMAAN NIKALTE HAIÑ LYRICS

ARMAAN NIKALTE HAIÑ LYRICS

 

Armaan Nikalte Haiñ Dil Ke, Aaqa Ki Ziyaarat Hoti Hai
Kaun Us Ko Qiyaamat Kehta Hai, Aisi Bhi Qiyaamat Hoti Hai

My Heart’s Wishes Will Be Satisfied, When I See My Beloved King,
Who Said This Is ‘Doomsday’? Is This How Doomsday Is Being?

Taiba Ka Tasaw’wur Kya Kahiye, Ik Kaif Ki Haalat Hoti Hai
Jis Samt Nigaaheñ Ut’hti Haiñ, Bas Saamne Jannat Hoti Hai

So Exclusive Is Taiba’s Vision, In A State of Rapture I Am Being,
In Whichever Direction I Look, Before Me Jannat, I Am Seeing

Ehsaas Fuzooñ Jab Hota Hai, Us Baab e Karam Se Doori Ka
Wo Qalb Hee Jaane Be-Chaarah, Jo Qalb Ki Haalat Hoti Hai

When The Distance From His Merciful Court, I Truly Start Sensing,
Only That Helpless One Knows, What The Restless Heart Is Feeling

Hai Un Ki Raza Par Haq Ki Raza, Awr Un Ka Kiya Hai, Haq Ka Kiya
Jo Un Ka Iraadah Hota Hai, Wo Haq Ki Mashiy’yat Hoti Hai

In His Pleasure, Is Allah’s Pleasure, What He Does, Allah Is Directing,
Whatever It Is, That He Intends, By The Will of Allah, It Is Happening

Us Baa’is e Khalq e ‘Aalam Ka, Jab Naam Laboñ Par Aata Hai
Raahat Se Badal Kar Rehti Hai, Jo Koyi Musibat Hoti Hai

When I Take His Name, Due To Whom, The Creation Is Existing,
Into Peace And Relief, All My Difficulties Are Transforming

Taiba Ki Bahaar e Dilkash Ka, Jab Tazkirah Koyi Karta Hai
Us Waqt Mareez e Ulfat Ki, Kuch Awr Hee Haalat Hoti Hai

About The Striking Beauty of Taiba, When Anyone Is Speaking,
Totally Ecstatic At That Time, The Love-Sick One Is Becoming

Mukhtar e Jahaañ Haiñ Wo Tahseeñ, Jo Mango Wo Un Se Milta Hai
Taqseem Unheeñ Ke Dar Se To Kaunain Ki Daulat Hoti Hai

O Tahseen! All Is His, Whatever You Ask Him, You Will Be Getting,
Distributed From His Grand Court, The Wealth of The World Is Being

 

MA-E HUB’B E NABI

Ma-e Hub’be Nabi Se Jis Ka Dil Sharshaar Ho Jaaye
Wo Daana e Haqeeqat, Waaqif e Asraar Ho Jaaye

With The Drink of My Nabi’s Love, That Heart Which Is Saturated,
The Special Mystical Secrets, The Knower of Reality, Is Granted

Ziyaarat Raudha e Sarkaar Ki Ik Baar Ho Jaaye
Phir Us Ke Ba’ad Chaahe Ye Nazar Be-Kaar Ho Jaaye

The Honour To Visit My King’s Raudha, Even If Once, I Am Granted,
Thereafter, Even If I Lose My Sight, I Will Not Be Disconcerted

Karam Un Ka Agar Apna Shareek e Kaar Ho Jaaye
Talaatum Khez Toofaanoñ Se Ber’a Paar Ho Jaaye

By His Special Mercy, In All My Activities, If I Am Assisted,
Even From The Wildest Storms, My Ship Will Be Protected

Agar Be Pardah Husn e Sayyid e Abraar Ho Jaaye
Zameeñ Se Aasmaañ Tak ‘Aalam e Anwaar Ho Jaaye

If The Veils From My Beloved Nabi’s Beauty, Were To Be Lifted,
Between The Earth And Sky, Everything Will Be Illuminated

Nazar Aaye Jisay Husn e Shah e Kaunain Meiñ Khaami
Ilaahul Aalameeñ, Aisi Nazar Be-Kaar Ho Jaaye

A Flaw In The Nabi’s Beauty, If Anyone Claims, He Has Noted,
O Creator of The Worlds! Cause His Vision To Be Obliterated

 

‘Ata Farmaaiye Aankhoñ Ko Meri Aisi Binaayi
Nazar Jis Samt U’thay Aap Ka Deedaar Ho Jaaye

To My Eyes, May Such Powerful Vision Be Granted,
Only You Should I See, Wherever My Eyes, I Have Directed

Agar ‘Aks e Rukh e Sarkaar Ki Ho Jalwah Aaraayi
Mere Dil Ka Siyaa Khaana Tajal’li Zaar Ho Jaaye

To See The Reflection of My Master’s Face, If I Am Selected,
The Dark Chambers of My Heart, Will Be Entirely Illuminated

Sukooñ Parwar Haiñ Lamhe Zikr e Aaqa e Do ‘Aalam Ke
Khudayaa! Zindagi Waqf e Gham e Sarkaar Ho Jaaye

By The Remembrance of The King of Both Worlds, I Am Comforted,
O Allah, To Pine In My Master’s Love, May My Life Be Devoted

Tumhaara Naam Lewa Hai Gada e Be-Nawa Tahseeñ
Karam Ki Ik Nazar Us Par Bhi Ay Sarkaar Ho Jaaye

Tahseen The Mendicant, Is Your Follower, Truly Devoted,
O My Master, Upon Him, Let Your Merciful Sight Be Directed

 

 

WO YUÑ TASHREEF LAAYE

 

Wo Yuñ Tashreef Laaye Ham Gunahgaaroñ Ke Jhurmut’ Meiñ
Maseeha Jaise Aa Jaata Hai Bimaaroñ Ke Jhurmut’ Meiñ

In The Assembly of Us Sinners, In This Way, He Is Appearing,
Like A Physician Is Appearing, In The Gathering of The Ailing

Madad Farmaaiye Aaqa, Pareshaan Haal Ummat Ki
Ke Shaur e Al-Madad Barpa Hai Be-Chaaroñ Ke Jhurmut’ Meiñ

Come To Our Aid, O Beloved Master! Your Ummat Is Suffering,
For Your Aid, In Their Gatherings, The Restless Ones Are Appealing

Laraz Jaati Hai Har Mauj e Bala Se Aaj Wo Kashti
Raha Karti Thee Jo Khandaañ Kabhi, Dhaaroñ Ke Jhurmut’ Meiñ

In Every Wave of Calamity, Today, That Ship Is Trembling,
Whereas In The Raging Seas, Steadily, It Was Once Sailing

Talaash e Jazba e Imaañ Abas Hai Keena Kaaroñ Meiñ
Wafa Ki Justuju, Awr Un Jafaakaaroñ Ke Jhurmut’ Meiñ

It Is Futile, To Seek The Passion of Imaan, Amongst The Deceiving,
In the Gathering of The Deceitful, Loyalty, How Can You Be Finding?

Husain Ibn e ‘Ali Ki Aaj Bhi Ham Ko Zaroorat Hai
Ghiraa Hai Aaj Bhi Islam, Khooñ-Khaaroñ Ke Jhurmut’ Meiñ

Even In This Present Time, Husain The Son of Ali, We Are Needing,
Even Today, By Blood-Thirsty Villains, Surrounded We Are Being

 

Unheeñ Ka ‘Aks e Rukh, Jalwah-Figan Hai, Warna Ay Tahseeñ
Chamak Aisi Kahaañ Se Aagayi, Taaroñ Ke Jhurmut’ Meiñ

O Tahseen! It Is The Reflection of His Face, Which Is Manifesting,
Otherwise, In The Galaxy of The Stars, How Are They All Glowing?

 

BAAGH E IRAM SE

 

Rukta Nahiñ Hargiz Wo Ud’har Baagh e Iram Se
Waabastah Ho Jo Aap Ke Daamaan e Karam Se

Towards The Heavenly Gardens, He Will Never Stop Proceeding,
If Connected To Your Merciful Robes, He is Sincerely Being

Lil’Laah Karam Kijiye Sarkaar e Madina
Dil ‘Doob Raha Hai Mera Furqat Ke Alam Se

O King of Madina! Please Shower Upon Me Your Blessing,
Being So Distant From You, Causes My Heart To Be Sinking

Aalaam e Zamaana Ka Bhala Us Meiñ Guzar Kya?
Aabaad Hai Jo Dil, Shah e Khoobaañ Ke Alam Se

Inside It, How Can The Grief, of The World Be Entering,
When Inside That Heart, My Beloved King Is Residing

Lab Par Ho Durood Awr Hoñ Gumbad Pe Nigaaheñ
Aise Meiñ Bulaawa Mera, Aa Jaaye ‘Adam Se

Whilst Reciting Durood, And The Sacred Green Dome I Am Seeing,
To Journey Into The Hereafter, In This Way, Should Be My Calling

Manzoor Nahiñ Hai Ke Wo Paamaal Jabeeñ Ho
Yuñ Sajdah Karaaya Na Dar e Paak Pe Ham Se

For That Forehead To Be Ruined, He Was Not Wanting,
Thus, At His Pure Court, He Restrained Us From Prostrating

Deedaar Ki Um’meed Na Hoti Jo Sar e Mahshar
Bedaar Na Hote Kabhi Ham Khwaab e ‘Adam Se

If To See Him On The Day of Reckoning, We Were Not Expecting,
Then, From The Sleep of Death, We Would Never Be Awakening

Bayt’hay Haiñ Yahaañ Ch’hor’ Ke Nairangi e ‘Aalam
Ham Ko Na U’tha Hashr, Dar e Shaah e Umam Se

Forsaking The Trickery of The World, Here We Are Now Sitting,
From The Court of Our King, Wake Us Not, O Day of Reckoning!

Dekho Meri Aankhoñ Se Dar e Shaah e Umam Ko
Aati Hai Sada Ye Dar o Deewaar e Haram Se

The Court of The Grand King, With My Eyes, May I Be Seeing,
From Every Nook And Corner of The Haram, This Call Is Echoing

Ya Rab’b! Dil e Tahseen Ki Bhi Bar Aaye Taman’na
Aa Jaaye Bulaawa Dar e Sarkaar e Karam Se

O My Rab’b! Grant The Heart of Tahseen, That Which He Is Desiring,
From The Court of His King, An Invitation, May He Be Receiving

 

KAIF SAAMAAÑ HAI

Tarab Angez Hai, Raahat Fiza Hai, Kaif Saamaañ Hai
Ye Koyi Gulsitaañ Hai Ya Madina Ki Bayaabaañ Hai

The Excitement, The Serenity, And The Atmosphere Is Exhilarating,
Is This Some Flower Garden, Or The Desert of Madina, Is It Being?

Meri Jaanib Nigaah e Lutf e Sardaar e Rasoolaañ Hai
Muqad’dar Par Meiñ Naazaañ Huñ, Muqad’dar Mujh Pe Naazaañ Hai

Focused On Me, The Sight of The Leader of The Rasools Is Being,
I Am Proud Over My Destiny, Over Me, My Destiny Is Gushing

Ye Maana Baagh e Rizwaañ Rooh Parwar Kaif Saamaañ Hai
Madina Ka Gulistaañ Phir Madina Ka Gulistaañ Hai

I Acknowledge That The Garden of Rizwaan, Is Indeed Captivating,
However, The Garden of Madina, The Garden of Madina, Is Being

Mujhe Dunya Meiñ Koyi Gham, Na ‘Uqba Meiñ Pareshaani
Yahaañ Bhi Un Ka Daamaañ Hai, Wahaañ Bhi Unka Daamaañ Hai

In The World I Am Relaxed, In The Hereafter, No Agony I Am Having,
Here Too, I Have His Mantle, And There Too, His Robes I Am Having

Nabi Ki Yaad Hai Kaafi Sahaara Donoñ ‘Aalam Meiñ
Yahaañ Wajh e Sukoon e Dil, Wahaañ Bakshish Ka Saamaañ Hai

In Both Worlds, The Support of My Nabi, Sufficient For Me Is Being,
It Comforts My Heart Here, There The Means of Salvation It Is Being

 

Mujhe Parwa Nahiñ Mawjeñ U’theñ, Toofaan Aa Jaaye
Nigahbaan e Do ‘Aalam, Meri Kashti Ka Nigahbaañ Hai

I Do Not Care, If The Waves Rise, Or If The Storms Are Approaching,
The Grand Custodian of Both Worlds, My Ship’s Custodian Is Being

Nabiy’yoñ Meiñ Kuch Aisi Shaan Hai Sarkaar e Waala Ki
Ke Aglay Ambia Ko, Ummati Ban’nay Ka Armaañ Hai

So Peerless Amongst The Nabis, My Master’s Grandness Is Being,
To Be Counted Amongst His Ummah, The Past Nabis, Are Wishing

Jo Un Ke Haiñ Unheñ Naar e Jahannam Ch’hoo Nahiñ Sakti
Khuda Ke Khaas Bandoñ Par, Khuda Ka Khaas Ehsaañ Hai

The Fire of Hell Cannot Touch Those, Who To Him, Are Belonging,
Upon Allah’s Chosen Servants, Allah’s Special Mercy Is Being

Nahiñ Fe’l e ‘Abas Sarkaar e Taiba Ki Sana-Khwaani
Jo Wo Tahseen Farma Deñ, To Ye Bakhshish Ka Saamaañ Hai

It is Not A Futile Action, When The Beloved Nabi You Are Praising,
O Tahseen! It Will Be Your Salvation, If This Praise He Is Admiring

 

YAAD E SARKAAR E TAIBA
Yaad e Sarkaar e Taiba Jo Aayi
Mil Gayi Dil Ko Gham Se Rihaayi
When The Grand King of Madina, I Began Remembering,
My Heart Was Instantly Freed, I Was No Longer Grieving
Jis Ne Dekha Baayabaan e Taiba
Us Ko Rizwaañ Ki Jannat Na Bhaayi
The Sacred Deserts of Taiba, The One Who Is Seeing,
To Him, The Jannat of Rizwaan, Is Not Very Captivating
Mujh Ko Be-Bas Na Samjhe Zamaana
Un Ke Dar Tak Hai Meri Rasaayi
The World Should Not Think, That Helpless I Am Being,
To The Grand Court of My Master, Connected I Am Being
Phir Masaa-ib Ne Ghera Hai Mujh Ko
Ay Gham e ‘Ishq e Aaqa Duhaayi
Surrounded By Hardships, Once Again, I Am Being,
O Pining of The Love of My Master, Your Aid I Am Seeking
Jis Ne Samjha Unheñ Apna Jaisa
Us Ne Imaañ Ki Daulat Gawaanyi
For The One Who Alleged, Like Him, He Is Being,
The Treasure of Imaan, He Is Completely Losing
48
IMAM HUSAIN RADI ALLAHU ANHU
Khandah Peshaani Se Har Sadmah U’thaate Haiñ Husain
‘Ishq Ke Aadaab Dunya Ko Sikhaate Haiñ Husain
With Complete Serenity, Every Calamity Husain Is Facing,
The Etiquettes of Love, To The World, Husain Is Teaching
Jab Guzarti Hai Kisi Dushwaar Manzil Se Hayaat
Daf’atan Har Mubtala Ko Yaad Aate Haiñ Husain
When Through A Very Difficult Phase, One’s Life Is Passing,
Instantly, To Every Victim, The Thought of Husain Is Coming
Mohsin e Insaaniyat Haiñ Nau-Nihaal e Mustafa
Zulm Ki Zulmat Ko Dunya Se Mit’aate Hai Husain
The Benefactor of Humanity, Mustafa’s Young Descendant Is Being,
The Obscurity of Tyranny, From The World Husain Is Obliterating
Khaak Meiñ Mil Jaayega Ik Aan Meiñ Tera Ghuroor
Ay Giroh e Ashqiya! Tashreef Laate Haiñ Husain
In A Single Moment, The Dust, Your Arrogance Will Be Biting,
O Gang of Stone-Hearted Ones! Husain Is Now Arriving
Kyuñ Na Hogi Ham Gunahgaaroñ Ki Bakhshish Hashr Meiñ?
Sar Ha’theli Par Liye Tashreef Laate Haiñ Husain
Why Won’t We Sinners Be Pardoned, On The Day of Reckoning?
Carrying His Sacred Head On His Hand, Husain Will Be Coming
49
Mawj e Kawthar Jis Pe Qurbaañ, Us Muqad’das Khoon Se
Daastaan e ‘Ishq Ko Rangeeñ Banaate Haiñ Husain
Sacrificed Upon That Holy Blood, Even Kawthar’s Waves Are Being,
With That Blood, The Story of Love, Husain Is Colourfully Illustrating
50
DU’A (INVOCATION)
Khudaya Muraadoñ Se Daaman Ko Bhar De
Junoon e Muhab’bat De, Zauq e Nazar De
O Allah! Grant Me All My Wishes, Which I Have Been Seeking,
Allow Me To Love Ecstatically, Pure Insight, May I Be Having
Badal De Nawishtay, Wahi Daur Kar De
‘Ali Ki Si Haybat, Shukoh e ‘Umar De
Change Our Fortunes, Bring Back That Era, Enlightening,
The Might of Ali, And The Awe of Umar, May We Be Having
Par’ay Jo Bhi Mushkil Wo Aasaan Kar De
Musalmaan Ko Phir Musalmaan Kar De
Make Easy Upon Us, All The Trials Which We Are Facing,
As Muslims Once Again, Let The Muslims Be Behaving
51
FIRST QIT’AH – STROPHE
Note: A Qit’ah is a genre of poetry comprising at least four lines and
dealing with one subject. In English, this is called a ‘Strophe’.
‘Lan Taraani’ Naseeb, Moosa Thee
Inko Jalwe Dikhaaye Jaate Haiñ
‘You Can Never See Me’, Was Written In Moosa’s Destiny,
But Upon Him, The Manifestation, Was Manifested Directly
Wo Sar e Toor Khud Gaye Lekin
‘Arsh Par Ye Bulaaye Jaate Haiñ
To The Heights of Mount Sinai, He Went Personally,
But To The Heights of The Arsh, He Was Invited Specifically
SECOND QIT’AH – STROPHE
Rab’b Ne Sab Kuch ‘Ata Kiya Un Ko
Paane Waale Unheeñ Se Paate Haiñ
Almighty Allah Granted Everything To Him,
Whatever We Receive, We Receive From Him
Haq Shanaasi Hai Fitrat Momin Ki
Jis Ka Khaate Haiñ, Us Ka Gaate Haiñ
To Show Gratitude, Comes Naturally To A Believer,
From Whom They Eat, They Will Always Praise Forever
52
THIRD QIT’AH – STROPHE
‘Ilm e Ghaib e Rasool Ke Munkir
Ik Haqeeqat Ko Bhool Jaate Haiñ
The Rasool’s Unseen Knowledge, Those Who Are Rejecting,
This Fact And Reality, They Are Most Certainly Forgetting
Ghaib Maana, Ke Raaz Hai Lekin
Raaz Apnoñ Se Kab Ch’hupaate Haiñ
Unseen Is Indeed A Secret, This We Too Are Acknowledging,
But Secrets From Your Beloved, Who Is Ever Really Keeping?

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply