IMAM UL AMBIA TUM HO LYRICS

IMAM UL AMBIA TUM HO LYRICS

 

Imam ul Ambia Tum Ho, Rasool e Mujtaba Tum Ho
Jo Sab Ke Peshwa Haiñ, Un Ke Aaqa, Peshwa Tum Ho

The Leader of The Prophets You Are, The Chosen Rasool You Are,
To Those Who Are The Leaders of All, Their Grand Leader You Are

Haqeeqat Aap Ki Samjheñ To Kya Samjhe Khirad Waale
Khuda Waale Ye Kehte Haiñ, Khuda Jaane Ke Kya Tum Ho

Even If The Intellectuals Try, How Will They Grasp Whom You Are?
When Allah’s Pious Servants Say, Only Allah Knows, What You Are

Tumhaari Waaq’i Tauseef, Ham Se Ghair Mumkin Hai
Ke Ham Jo Kuch Kaheñ, Us Se Haqeeqat Meiñ Siwa Tum Ho

It Is Indeed Impossible, For Us To Truly Praise Whom You Are,
No Matter What We May Say, Truly Greater Than That, You Are

Khuda Deta Hai Tum Taqseem Karte Ho Zamaane Ko
Miyaan e Khaaliq o Makhlooq, Muhkam Waastah Tum Ho

You Distribute In The World, Whatever Is Given To You By Allah,
Between The Creator And The Creation, A Lasting Means, You Are

Mujhe Parwa Nahiñ Mawjeñ U’theñ, Toofaan Aa Jaayeñ
Shikasta Hai Agar Kashti, To Gham Kya? Na-Khuda Tum Ho

If Huge Waves Rise, Or If Storms Come My Way, I Have No Fear,
If My Ship Is Ruined, Why Must I Fear, When My Captain, You Are?

 

Wo Kaa’ba Hai Jahaañ Sar Jhuk Rahe Haiñ Ahl e ‘Aalam Ke
Magar Kaa’ba Bhi Jis Ke Saamne Kham Ho Gaya Tum Ho

The Heads of The People of The World, Are Bowing At The Kaa’ba
But Before Whom, Even The Kaa’ba Bowed, That Master, You Are

Dil e Tahseen Se Gham Ki Ghat’aayeñ Ch’hut’ Gayeñ Aaqa
Suna Hai Jab Se Us Ne Shaaf’e Roz e Jaza Tum Ho

The Clouds of Grief Dispersed, From Tahseen’s Heart, O My Aaqa!
Ever Since He Heard, The Intercessor on Judgement Day, You Are

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply